Quote
"jab se teraa karam hai banda-navaaz soz hai soz aur na saaz hai saaz main huun aur meri be-par-o-baali dil hai aur dil ki jurat-e-parvaaz husn ki barhami maaaz-allaah gesuon ke bikharne kaa andaaz zulf-e-barham jhuki hui nazrein gardan-e-naaz mein kamand-e-niyaaz qadd-e-baalaa o daaman-e-kotaah manzil-e-ishq ke nasheb o faraaz qata hone lagaa hai rishta-e-zist ai gham-e-yaar teri umr daraaz"
