SHAWORDS

ek darvaaza kyaa khulaa baahar — Basir Sultan Kazmi

"ek darvaaza kyaa khulaa baahar ghar kaa har fard chal diyaa baahar dekh yakh-basta hai havaa baahar is tarah ek dam na jaa baahar chal diye yuun sanam-kade se ham jaise mil jaaegaa khudaa baahar ek tujh se rahe hamesha duur varna kyaa kuchh nahin milaa baahar ghar mein aa kar sukun milaa 'baasir' kis qadar tez thi havaa baahar"
Urdu

ایک دروازہ کیا کھلا باہر گھر کا ہر فرد چل دیا باہر دیکھ یخ بستہ ہے ہوا باہر اس طرح ایک دم نہ جا باہر چل دئے یوں صنم کدے سے ہم جیسے مل جائے گا خدا باہر ایک تجھ سے رہے ہمیشہ دور ورنہ کیا کچھ نہیں ملا باہر گھر میں آ کر سکوں ملا باصرؔ کس قدر تیز تھی ہوا باہر

Hindi

एक दरवाज़ा क्या खुला बाहर घर का हर फ़र्द चल दिया बाहर देख यख़-बस्ता है हवा बाहर इस तरह एक दम न जा बाहर चल दिए यूँ सनम-कदे से हम जैसे मिल जाएगा ख़ुदा बाहर एक तुझ से रहे हमेशा दूर वर्ना क्या कुछ नहीं मिला बाहर घर में आ कर सुकूँ मिला 'बासिर' किस क़दर तेज़ थी हवा बाहर

ek darvāza kyā khulā bāhar
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
poet62 quotes

More by Basir Sultan Kazmi

View all →
Quote
"har-chand mere haal se vo be-khabar nahin lekin vo be-kali jo idhar hai udhar nahin aavaaz-e-raftagaan mujhe laati hai is taraf ye raasta agarche miri rahguzar nahin chamki thi ek barq si phulon ke aas-paas phir kyaa huaa chaman mein mujhe kuchh khabar nahin kuchh aur ho na ho chalo apnaa hi dil jale itnaa bhi apni aah mein lekin asar nahin aati nahin hai in se shanaasaai ki mahak ye mere apne shahr ke divaar-o-dar nahin 'baasir' jagaa diyaa hai tumhein kis ne aadhi raat is dasht mein to naam-o-nishaan-e-sahar nahin"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"baadal hai aur phuul khile hain sabhi taraf kahtaa hai dil ki aaj nikal jaa kisi taraf tevar bahut kharaab the sunte hain kal tire achchhaa huaa ki ham ne na dekhaa tiri taraf jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf ai dil ye dhaDkanein tiri maamul ki nahin lagtaa hai aa rahaa hai vo fitna isi taraf khush thaa ki chaar nekiyaan hain jama us ke paas nikle gunaah bisiyon ulTaa miri taraf 'baasir' adu se ham to yunhi bad-gumaan rahe thaa un kaa iltifaat kisi aur hi taraf"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"rahtaa hai itnaa paaon ke til kaa asar savaar sar par hai ghar pahunchte hi aglaa safar savaar main chikhtaa rahaa ki nahin khat ye mere naam lekin havaa ke ghoDe pe thaa naama-bar savaar miltaa nahin hai dasht-navardi mein ab vo lutf rahne lagaa hai zehn pe ghar is qadar savaar kis chiiz ki na-jaane zarurat kahaan paDe kar luun na apne saath savaari mein ghar savaar raakib ko ek baar giraa de jo rakhsh-e-umr mumkin nahin vo is pe ho baar-e-digar savaar ye ishq kaa nasha to utartaa nahin kabhi 'baasir' yunhi rahegaa ye aasaab par savaar"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"kitni hi be-zarar sahi teri kharaabiyaan 'baasir' kharaabiyaan to hain phir bhi kharaabiyaan haalat jagah badalne se badli nahin miri hoti hain har jagah ki kuchh apni kharaabiyaan tu chaahtaa hai apni nai khubiyon ki daad mujh ko aziiz teri puraani kharaabiyaan junhi taalluqaat kisi se hue kharaab saare jahaan ki us mein mileingi kharaabiyaan sarkaar kaa hai apnaa hi meaar-e-intikhaab yaaro kahaan ki khubiyaan kaisi kharaabiyaan aadam khataa kaa putlaa hai gar maan lein ye baat nikleingi is kharaabi se kitni kharaabiyaan un hastiyon ki raah pe dekheinge chal ke ham jin mein na thiin kisi bhi tarah ki kharaabiyaan boeinge apne baagh mein sab khubiyon ke biij jaD se ukhaaD pheinkeinge saari kharaabiyaan 'baasir' kei shakhsiyat bhi ajab hai ki is mein hain kuchh khubiyaan kharaab kuchh achchhi kharaabiyaan"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi