SHAWORDS

kitnaa kaam kareinge — Basir Sultan Kazmi

"kitnaa kaam kareinge ab aaraam kareinge tere diye hue dukh tere naam kareinge ahl-e-dard hi aakhir khushiyaan aam kareinge naukri chhoD ke 'baasir' apnaa kaam kareinge"
Urdu

کتنا کام کریں گے اب آرام کریں گے تیرے دیے ہوئے دکھ تیرے نام کریں گے اہل درد ہی آخر خوشیاں عام کریں گے نوکری چھوڑ کے باصرؔ اپنا کام کریں گے

Hindi

कितना काम करेंगे अब आराम करेंगे तेरे दिए हुए दुख तेरे नाम करेंगे अहल-ए-दर्द ही आख़िर ख़ुशियाँ आम करेंगे नौकरी छोड़ के 'बासिर' अपना काम करेंगे

kitnā kaam kareñge
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
poet62 quotes

More by Basir Sultan Kazmi

View all →
Quote
"har-chand mere haal se vo be-khabar nahin lekin vo be-kali jo idhar hai udhar nahin aavaaz-e-raftagaan mujhe laati hai is taraf ye raasta agarche miri rahguzar nahin chamki thi ek barq si phulon ke aas-paas phir kyaa huaa chaman mein mujhe kuchh khabar nahin kuchh aur ho na ho chalo apnaa hi dil jale itnaa bhi apni aah mein lekin asar nahin aati nahin hai in se shanaasaai ki mahak ye mere apne shahr ke divaar-o-dar nahin 'baasir' jagaa diyaa hai tumhein kis ne aadhi raat is dasht mein to naam-o-nishaan-e-sahar nahin"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"baadal hai aur phuul khile hain sabhi taraf kahtaa hai dil ki aaj nikal jaa kisi taraf tevar bahut kharaab the sunte hain kal tire achchhaa huaa ki ham ne na dekhaa tiri taraf jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf ai dil ye dhaDkanein tiri maamul ki nahin lagtaa hai aa rahaa hai vo fitna isi taraf khush thaa ki chaar nekiyaan hain jama us ke paas nikle gunaah bisiyon ulTaa miri taraf 'baasir' adu se ham to yunhi bad-gumaan rahe thaa un kaa iltifaat kisi aur hi taraf"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"rahtaa hai itnaa paaon ke til kaa asar savaar sar par hai ghar pahunchte hi aglaa safar savaar main chikhtaa rahaa ki nahin khat ye mere naam lekin havaa ke ghoDe pe thaa naama-bar savaar miltaa nahin hai dasht-navardi mein ab vo lutf rahne lagaa hai zehn pe ghar is qadar savaar kis chiiz ki na-jaane zarurat kahaan paDe kar luun na apne saath savaari mein ghar savaar raakib ko ek baar giraa de jo rakhsh-e-umr mumkin nahin vo is pe ho baar-e-digar savaar ye ishq kaa nasha to utartaa nahin kabhi 'baasir' yunhi rahegaa ye aasaab par savaar"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"har chand rahguzar thi dushvaar qaafiye ki sun kar na rah sake ham lalkaar qaafiye ki din kaa sukun ghaarat raaton ki niind ghaaeb sar par laTak rahi hai talvaar qaafiye ki ham is ko baandhte kyaa jakDaa hai is ne ham ko ab dekhte hain surat naa-chaar qaafiye ki is aas par ki shaayad ho jaae tang ham par karte rahe khushaamad aghyaar qaafiye ki taaza havaa chali aur ik lahar dil mein uTThi roke na ruk saki phir yalghaar qaafiye ki paayaa suraagh-e-mazmun gaahe radif mein bhi laazim na thi samaajat har baar qaafiye ki dasht-e-khayaal mein phir kyaa kyaa khule manaazir kuchh der ko haTi thi divaar qaafiye ki jab sher kaa safina bahr-e-ghazal mein Dolaa us vaqt kaam aai patvaar qaafiye ki maghrib ki ho kahaani yaa mashriqi rivaayat unchi rahi hamesha dastaar qaafiye ki kuchh sher kaam ke bhi is mein nikaale ham ne vo kahte the zamin hai be-kaar qaafiye ki phir aur koi naghma bhaae na us ko 'baasir' jo ek baar sun le jhankaar qaafiye ki"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"kitni hi be-zarar sahi teri kharaabiyaan 'baasir' kharaabiyaan to hain phir bhi kharaabiyaan haalat jagah badalne se badli nahin miri hoti hain har jagah ki kuchh apni kharaabiyaan tu chaahtaa hai apni nai khubiyon ki daad mujh ko aziiz teri puraani kharaabiyaan junhi taalluqaat kisi se hue kharaab saare jahaan ki us mein mileingi kharaabiyaan sarkaar kaa hai apnaa hi meaar-e-intikhaab yaaro kahaan ki khubiyaan kaisi kharaabiyaan aadam khataa kaa putlaa hai gar maan lein ye baat nikleingi is kharaabi se kitni kharaabiyaan un hastiyon ki raah pe dekheinge chal ke ham jin mein na thiin kisi bhi tarah ki kharaabiyaan boeinge apne baagh mein sab khubiyon ke biij jaD se ukhaaD pheinkeinge saari kharaabiyaan 'baasir' kei shakhsiyat bhi ajab hai ki is mein hain kuchh khubiyaan kharaab kuchh achchhi kharaabiyaan"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid