"tauqir-e-eatibaar-e-vafaa aur baDh gai lutf-o-karam ke saath sazaa aur baDh gai dil be-niyaaz-e-chaara-e-aazaar ho gayaa kuchh aarzu-e-tegh-e-jafaa aur baDh gai jab bhi hue hain jaada-o-manzil ke tazkire divaangi-e-ahl-e-vafaa aur baDh gai ye iltifaat-e-naaz bahut khuub hai magar dil kah rahaa hai teri jafaa aur baDh gai dekhaa hai baar-baar ki fasl-e-bahaar mein viraani-e-chaman ki fazaa aur baDh gai ai intizaar-e-subh-e-tarab teri aabru gham ke tufail naam-e-khudaa aur baDh gai mahbub saa khayaal kisi kaa jab aa gayaa ummid ke ufuq ki ziyaa aur baDh gai aksar tiri inaayat-e-paiham ke baavajud mahsus ye huaa ki jafaa aur baDh gai 'azmat' kisi ke dard kaa aaya hai jab payaam kuchh raushni-e-fikr-e-rasaa aur baDh gai"
garche kuchh rang us kaa kaalaa hai — Azmatullah Khan
"garche kuchh rang us kaa kaalaa hai meraa mahbub hai niraalaa hai tujh ko miltaa hai khuub white-miT teri aankhon mein jo ujaalaa hai jo akaDtaa misaal-e-sarv rahe aise afsar kaa bol-baalaa hai jis ko rishvat ki rahguzar kahiye ham ne vo raasta nikaalaa hai chiyunTiyon ki tarah hain chimTi hui teri yaadon ne maar Daalaa hai tum jo baiThi ho saas ke nazdik zalzala koi aane vaalaa hai chhup ke apni bahan se mil jaae meraa 'azmat vahi to saalaa hai"
گرچہ کچھ رنگ اس کا کالا ہے میرا محبوب ہے نرالا ہے تجھ کو ملتا ہے خوب وائٹ میٹ تیری آنکھوں میں جو اجالا ہے جو اکڑتا مثال سرو رہے ایسے افسر کا بول بالا ہے جس کو رشوت کی رہ گزر کہیے ہم نے وہ راستہ نکالا ہے چیونٹیوں کی طرح ہیں چمٹی ہوئی تیری یادوں نے مار ڈالا ہے تم جو بیٹھی ہو ساس کے نزدیک زلزلہ کوئی آنے والا ہے چھپ کے اپنی بہن سے مل جائے میرا عظمت وہی تو سالا ہے
गरचे कुछ रंग उस का काला है मेरा महबूब है निराला है तुझ को मिलता है ख़ूब वाइट-मीट तेरी आँखों में जो उजाला है जो अकड़ता मिसाल-ए-सर्व रहे ऐसे अफ़सर का बोल-बाला है जिस को रिश्वत की रहगुज़र कहिए हम ने वो रास्ता निकाला है च्यूँटियों की तरह हैं चिमटी हुई तेरी यादों ने मार डाला है तुम जो बैठी हो सास के नज़दीक ज़लज़ला कोई आने वाला है छुप के अपनी बहन से मिल जाए मेरा 'अज़्मत वही तो साला है

More by Azmatullah Khan
View all →More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"