SHAWORDS

giraa ke bughz-o-hasad dushmani kaa darvaaza — Ali Afzal Jhanjhanvi

"giraa ke bughz-o-hasad dushmani kaa darvaaza tu apne dil mein lagaa dosti kaa darvaaza husain ibn-e-ali mujh ko yaad aate hain main jab bhi dekhtaa huun tishnagi kaa darvaaza ye soch kar main musibat pe shukr kartaa huun milegaa ek na ik din khushi kaa darvaaza jidhar bhi dekhun udhar hi hai maghribi tahzib na jaane gum hai kahaan saadgi kaa darvaaza khudaa-e-paak unhein sarfaraaz kartaa hai talaash karte hain jo aajizi kaa darvaaza qadam qadam pe musibat uThaa ke khultaa hai baDaa hi sakht hai ye zindagi kaa darvaaza khudaa ke fazl se main kohna-mashq shaair huun na main ne dekhaa kabhi khaamushi kaa darvaaza qasam khudaa ki mujhe tum dikhaai dete ho main jab bhi kholtaa huun shaaeri kaa darvaaza andhere hote hain us ki hi zindagaani mein jo DhunD saktaa nahin raushni kaa darvaaza kisi ke ishq mein barbaad ho gayaa 'afzal' magar na toD sakaa aashiqi kaa darvaaza"
Urdu

گرا کے بغض و حسد دشمنی کا دروازہ تو اپنے دل میں لگا دوستی کا دروازہ حسین ابن علی مجھ کو یاد آتے ہیں میں جب بھی دیکھتا ہوں تشنگی کا دروازہ یہ سوچ کر میں مصیبت پہ شکر کرتا ہوں ملے گا ایک نہ اک دن خوشی کا دروازہ جدھر بھی دیکھوں ادھر ہی ہے مغربی تہذیب نہ جانے گم ہے کہاں سادگی کا دروازہ خدائے پاک انہیں سرفراز کرتا ہے تلاش کرتے ہیں جو عاجزی کا دروازہ قدم قدم پہ مصیبت اٹھا کے کھلتا ہے بڑا ہی سخت ہے یہ زندگی کا دروازہ خدا کے فضل سے میں کہنہ مشق شاعر ہوں نہ میں نے دیکھا کبھی خامشی کا دروازہ قسم خدا کی مجھے تم دکھائی دیتے ہو میں جب بھی کھولتا ہوں شاعری کا دروازہ اندھیرے ہوتے ہیں اس کی ہی زندگانی میں جو ڈھونڈ سکتا نہیں روشنی کا دروازہ کسی کے عشق میں برباد ہو گیا افضلؔ مگر نہ توڑ سکا عاشقی کا دروازہ

Hindi

गिरा के बुग़्ज़-ओ-हसद दुश्मनी का दरवाज़ा तू अपने दिल में लगा दोस्ती का दरवाज़ा हुसैन इब्न-ए-अली मुझ को याद आते हैं मैं जब भी देखता हूँ तिश्नगी का दरवाज़ा ये सोच कर मैं मुसीबत पे शुक्र करता हूँ मिलेगा एक न इक दिन ख़ुशी का दरवाज़ा जिधर भी देखूँ उधर ही है मग़रिबी तहज़ीब न जाने गुम है कहाँ सादगी का दरवाज़ा ख़ुदा-ए-पाक उन्हें सरफ़राज़ करता है तलाश करते हैं जो आजिज़ी का दरवाज़ा क़दम क़दम पे मुसीबत उठा के खुलता है बड़ा ही सख़्त है ये ज़िंदगी का दरवाज़ा ख़ुदा के फ़ज़्ल से मैं कोहना-मश्क़ शाइ'र हूँ न मैं ने देखा कभी ख़ामुशी का दरवाज़ा क़सम ख़ुदा की मुझे तुम दिखाई देते हो मैं जब भी खोलता हूँ शायरी का दरवाज़ा अंधेरे होते हैं उस की ही ज़िंदगानी में जो ढूँड सकता नहीं रौशनी का दरवाज़ा किसी के इश्क़ में बर्बाद हो गया 'अफ़ज़ल' मगर न तोड़ सका आशिक़ी का दरवाज़ा

girā ke buġhz-o-hasad dushmanī kā darvāza
Ali Afzal Jhanjhanvi
Ali Afzal Jhanjhanvi
Ali Afzal Jhanjhanvi
poet4 quotes

More by Ali Afzal Jhanjhanvi

View all →
Quote
"kabhi zamin kabhi aasmaan se guzri hai miri hayaat baDe imtihaan se guzri hai khushi ki dhuup mayassar na ho saki mujh ko ghamon ki aandhi miri daastaan se guzri hai bataaun kyaa main tumhein zindagi ke baare mein miri har ek shab ashk-e-ravaan se guzri hai kisi ke hijr mein barbaad daastaan-e-hayaat ghazal ki shakl mein saare jahaan se guzri hai tumhaare hijr mein aankhein rahi hain nam har pal miri zabaan bhi aah-o-fughaan se guzri hai dhaDakne lag gayaa tezi se dil kabhi jab bhi tumhaari yaad dil-e-aashiyaan se guzri hai har ek samt se aati hai pyaar ki khushbu zabaan 'mir' ki shaayad yahaan se guzri hai har ek phuul ko murjhaa gai 'ali-afzal' na jaane kaisi havaa gulsitaan se guzri hai nabi ke diin ki 'azmat ke vaaste 'afzal' tamaam nasl-e-ali imtihaan se guzri hai"
Ali Afzal JhanjhanviAli Afzal Jhanjhanvi
Quote
"vafaa khulus mohabbat ki raushni ke charaagh hamesha main ne jalaae hain dosti ke charaagh ye mat samajhnaa ke aasaan kaam hotaa hai jigar ke khuun se jalte hain zindagi ke charaagh dilon se himmat-e-mardaan nikaal dete hain ajiib qism ke hote hain buzdili ke charaagh hui jo ishq ki mearaaj ho gayaa maalum uThaa ke mushkilein jalte hain aashiqi ke charaagh sukhan-saraai mein hoti nahin mujhe diqqat mire dimaagh mein jalte hain shaaeri ke charaagh koi kisi ki madad ke liye nahin aataa jalaane paDte hain az-khud hi zindagi ke charaagh main ek arse se ranj-o-alam ki qaid mein huun khudaayaa kar de ataa mujh ko ab khushi ke charaagh nahin hai khvaahish-e-jannat mujhe mire maulaa miri lahad mein jalaa denaa bas ali ke charaagh khudaa se hoti hai qurbat isi liye 'afzal' havaa ki tezi se Darte nahin vali ke charaagh"
Ali Afzal JhanjhanviAli Afzal Jhanjhanvi
Quote
"vo aaj ho gayaa shaamil adu ke lashkar mein jo baiThtaa thaa hamesha mire baraabar mein hamaare qalb-o-jigar ko lahuluhaan kiyaa baDaa hi vazn thaa us bevafaa ke patthar mein tamaam neamatein rab ne mujhe ataa ki hain bas ek us ko na likkhaa mire muqaddar mein main apnaa haal kisi se bayaan nahin kartaa baDi hi shaan se rahtaa huun apne chhappar mein mujhe nahin hai zarurat tiri inaayat ki khudaa ke fazl se har chiiz hai mire ghar mein har ek shakhs mein kamiyaan talaash karte ho jhalak rahaa hai takabbur tumhaare tevar mein samundaron se sadaf vo hi le ke aataa hai buland hausla hotaa hai jis shanaavar mein munaafiqon pe kabhi eatibaar mat karnaa chhupaa ke rakhte hain khanjar sadaa gul-e-tar mein tumhein bhi aa gayaa 'afzal' shuur-e-sher-o-sukhan tumhaaraa naam bhi shaamil huaa sukhnavar mein"
Ali Afzal JhanjhanviAli Afzal Jhanjhanvi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari