"yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa sar 'ishq ki muhim nahin hoti dimaagh se jo sochtaa rahegaa vo ghabraae jaaegaa itnaa bhi sabr-o-shukr kaa qaail nahin ki dil har kaifiyat mein aap ke gun gaae jaaegaa aataa hai rahm naaseh-e-mushfiq ke haal par be-chaara 'umr-bhar hamein samjhaae jaaegaa nazrein haTaa haTaa ke na kyon guftugu karein ham dekhe jaaeinge to vo sharmaae jaaegaa thoDi 'sha'ur' aur chaDhaa le to har taraf saaghar nachaae jaaegaa chhalkaae jaaegaa"
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath — Anwar Shuoor
"go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath kaaT di aadhi sadi ek ajnabi 'aurat ke saath mutmain rahtaa huun main gham yaa khushi se be-khabar vaqt puuraa ho rahaa hai ranj yaa raahat ke saath ek naa-maanus hasti ko banaa kar ham-safar main ne duuri kaa maza bhi chakh liyaa qurbat ke saath be-dili ne kuchh nahin karne diyaa sansaar mein main jiyaa is kaar-khaane mein baDi fursat ke saath go jahaan jaataa huun zauq-o-shauq se jaataa huun main kyaa akele aadmi kaa ji lage khilqat ke saath ek naa-kHush ho to ghar mein dusraa kyaa khush rahe us ki haalat bhi nahin achchhi miri haalat ke saath varghalaane kaise kaise naaznin aae magar har balaa kaa saamnaa main ne kiyaa himmat ke saath koi farmaaish nahin ki main ne khubaan se kabhi aadmi ko zinda rahnaa chaahiye 'izzat ke saath sirf mazduri nahin hoti mohabbat ai 'sha'ur' kuchh zihaanat bhi talab karti hai ye mehnat ke saath"
گو مجھے احساس تنہائی رہا شدت کے ساتھ کاٹ دی آدھی صدی ایک اجنبی عورت کے ساتھ مطمئن رہتا ہوں میں غم یا خوشی سے بے خبر وقت پورا ہو رہا ہے رنج یا راحت کے ساتھ ایک نا مانوس ہستی کو بنا کر ہم سفر میں نے دوری کا مزہ بھی چکھ لیا قربت کے ساتھ بے دلی نے کچھ نہیں کرنے دیا سنسار میں میں جیا اس کارخانے میں بڑی فرصت کے ساتھ گو جہاں جاتا ہوں ذوق و شوق سے جاتا ہوں میں کیا اکیلے آدمی کا جی لگے خلقت کے ساتھ ایک ناخوش ہو تو گھر میں دوسرا کیا خوش رہے اس کی حالت بھی نہیں اچھی مری حالت کے ساتھ ورغلانے کیسے کیسے نازنین آئے مگر ہر بلا کا سامنا میں نے کیا ہمت کے ساتھ کوئی فرمائش نہیں کی میں نے خوباں سے کبھی آدمی کو زندہ رہنا چاہئے عزت کے ساتھ صرف مزدوری نہیں ہوتی محبت اے شعورؔ کچھ ذہانت بھی طلب کرتی ہے یہ محنت کے ساتھ
गो मुझे एहसास-ए-तन्हाई रहा शिद्दत के साथ काट दी आधी सदी एक अजनबी 'औरत के साथ मुतमइन रहता हूँ मैं ग़म या ख़ुशी से बे-ख़बर वक़्त पूरा हो रहा है रंज या राहत के साथ एक ना-मानूस हस्ती को बना कर हम-सफ़र मैं ने दूरी का मज़ा भी चख लिया क़ुर्बत के साथ बे-दिली ने कुछ नहीं करने दिया संसार में मैं जिया इस कार-ख़ाने में बड़ी फ़ुर्सत के साथ गो जहाँ जाता हूँ ज़ौक़-ओ-शौक़ से जाता हूँ मैं क्या अकेले आदमी का जी लगे ख़िल्क़त के साथ एक ना-ख़ुश हो तो घर में दूसरा क्या ख़ुश रहे उस की हालत भी नहीं अच्छी मिरी हालत के साथ वरग़लाने कैसे कैसे नाज़नीन आए मगर हर बला का सामना मैं ने किया हिम्मत के साथ कोई फ़रमाइश नहीं की मैं ने ख़ूबाँ से कभी आदमी को ज़िंदा रहना चाहिए 'इज़्ज़त के साथ सिर्फ़ मज़दूरी नहीं होती मोहब्बत ऐ 'श'ऊर' कुछ ज़िहानत भी तलब करती है ये मेहनत के साथ

More by Anwar Shuoor
View all →"rahi raat un se mulaaqaat kam mudaaraat khaasi hui baat kam tiri yaad itnaa baDaa kaam hai ki maalum hote hain din raat kam kahin dil bahaltaa nahin shahr mein na baazaar kam hain na baaghaat kam mohabbat mein hoti hain insaan ko shikastein ziyaada futuhaat kam sambhaale hue hai ye shoba bhi dil ab aankhon se hoti hai barsaat kam dimaaghon ki parvaaz maalum hai savaalaat vaafir javaabaat kam bahut son se achchhaa huun phir bhi 'shuur' digar-gun nahin mere haalaat kam"
"mere siine mein kuchh zer-o-zabar hai chaman mein ghaaliban vaqt-e-sahar hai chalaa jaataa huun aksar shahr vaalo bayaabaan mein bhi meraa ek ghar hai jo chehre par nazar aati hai mere meri rangat nahin gard-e-safar hai koi Tiktaa nahin dil mein ziyaada ye goyaa ghar nahin hai rahguzar hai nazar aate hain bas aamaal sab ko mere ahvaal par kis ki nazar hai agar 'anvar-shu'ur' aisaa kare to nazar-andaaz kar denaa bashar hai"
"aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho baaz ghar shahr mein aise dekhe jaise un mein koi rahtaa hi na ho mujh se katraa ke bhalaa kyuun jaataa shaayad us ne mujhe dekhaa hi na ho ye samajhtaa hai har aane vaalaa main na aauun to tamaashaa hi na ho yuun bhaTakne pe huun qaane jaise raaston mein koi dariyaa hi na ho raat har chaap pe aataa thaa khayaal uTh ke dekhun koi aayaa hi na ho kaise chhoDun dar-o-divaar apne kyaa khabar lauT ke aanaa hi na ho hain sabhi ghair to apnaa maskan shahr kyuun ho koi sahraa hi na ho yuun to kahne ko bahut kuchh hai 'shuur' kyaa kahun jab koi suntaa hi na ho"
"ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah kuchh na kuchh sachchaai hoti hai nihaan har baat mein kahne vaale Thiik kahte hain sabhi apni jagah sirf us ke honT kaaghaz par banaa detaa huun main khud banaa leti hai honTon par hansi apni jagah dost kahtaa huun tumhein shaaer nahin kahtaa 'shuur' dosti apni jagah hai shaaeri apni jagah"
"tum guzre the kis jaldi se dekh rahaa thaa main khiDki se main imaan nahin bechungaa roTi khaa lungaa chaTni se sil ko bhi dil kar detaa hai gham achchhaa hotaa hai khushi se jis jis ne vo aankhein dekhin tauba kar li mai-noshi se nafsaa-nafsi kaa 'aalam hai rakh na 'sha'ur' ummid kisi se"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"