Quote
"vo nazron se meri nazar kaaTtaa hai mohabbat kaa pahlaa asar kaaTtaa hai mujhe ghar mein bhi chain paDtaa nahin thaa safar mein huun ab to safar kaaTtaa hai ye maan ki duaaein hifaazat kareingi ye taaviz sab ki nazar kaaTtaa hai tumhaari jafaa par main ghazlein kahungaa sunaa hai hunar ko hunar kaaTtaa hai ye firqa-parasti ye nafrat ki aandhi paDosi paDosi kaa sar kaaTtaa hai"
