SHAWORDS

haal sunaanaa hai apnaa — Mohammad Alvi

HomeMohammad AlviGhazal
"haal sunaanaa hai apnaa rang jamaanaa hai apnaa 'aadil ki kyaa baat karein dost puraanaa hai apnaa us ki yaadon mein aksar aanaa jaanaa hai apnaa vo jis shahr mein rahtaa hai vahi Thikaana hai apnaa she'r kaho tum bhi ham bhi yaar zamaana hai apnaa ham divaane she'r ke hain she'r divaana hai apnaa shohrat se jo aage hai vahi nishaana hai apnaa ham us ke divaane hain vo divaana hai apnaa ham 'aadil ke daada hain 'aadil naanaa hai apnaa baaqi 'alvi' aainda ye jo fasaana hai apnaa"
Urdu

حال سنانا ہے اپنا رنگ جمانا ہے اپنا عادل کی کیا بات کریں دوست پرانا ہے اپنا اس کی یادوں میں اکثر آنا جانا ہے اپنا وہ جس شہر میں رہتا ہے وہی ٹھکانہ ہے اپنا شعر کہو تم بھی ہم بھی یار زمانہ ہے اپنا ہم دیوانے شعر کے ہیں شعر دوانہ ہے اپنا شہرت سے جو آگے ہے وہی نشانہ ہے اپنا ہم اس کے دیوانے ہیں وہ دیوانہ ہے اپنا ہم عادل کے دادہ ہیں عادل نانا ہے اپنا باقی علویؔ آئندہ یہ جو فسانہ ہے اپنا

Hindi

हाल सुनाना है अपना रंग जमाना है अपना 'आदिल की क्या बात करें दोस्त पुराना है अपना उस की यादों में अक्सर आना जाना है अपना वो जिस शह्र में रहता है वही ठिकाना है अपना शे'र कहो तुम भी हम भी यार ज़माना है अपना हम दीवाने शे'र के हैं शे'र दिवाना है अपना शोहरत से जो आगे है वही निशाना है अपना हम उस के दीवाने हैं वो दीवाना है अपना हम 'आदिल के दादा हैं 'आदिल नाना है अपना बाक़ी 'अलवी' आइंदा ये जो फ़साना है अपना

haal sunānā hai apnā
Mohammad Alvi
Mohammad Alvi
Mohammad Alvi
poet223 quotes

More by Mohammad Alvi

View all →
Quote
"raat bhar pi ke laDkhaDaate raho subh masjid mein sar jhukaate raho toD Daalo tilism-e-bu-e-gul mausam-e-gul mein khaak uDaate raho mahl taa'mir kar lo dariyaa mein ret mein kashtiyaan chalaate raho hijr ki shab guzar hi jaaegi taaza filmon ke giit gaate raho phuns mein aag dhar ke haT jaao chain ki baansuri bajaate raho mat Daro nanhe-munne olon se be-dhaDak apnaa sar munDaate raho sab raqibon se dosti kar lo man-ghaDat vasl ki sunaate raho ab bhi milte hain gaanTh ke puure DhunDh lo aur udhaar khaate raho naam rakh lo khalil khaan apnaa aur phir faakhta uDaate raho log maghlub ho hi jaaeinge she'r ghaalib ke gungunaate raho ham bhi ustaad hain suno 'alvi' apni ghazlein hamein dikhaate raho"
Mohammad AlviMohammad Alvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari