SHAWORDS

ham alag baiTh rahe chup ho kar — Basir Sultan Kazmi

"ham alag baiTh rahe chup ho kar ab tire ji mein jo aae so kar ab tujhe kho ke khayaal aataa hai tujh ko paayaa thaa bahut kuchh kho kar kyaa buraa hai mujhe achchhaa honaa koi tadbir agar hai to kar tum ne kyaa kar liyaa rah kar bedaar ham ne to 'umr ganvaa di so kar aaj tak tum nahin sanbhle 'baasir' khaai thi kis ki gali mein Thokar"
Urdu

ہم الگ بیٹھ رہے چپ ہو کر اب ترے جی میں جو آئے سو کر اب تجھے کھو کے خیال آتا ہے تجھ کو پایا تھا بہت کچھ کھو کر کیا برا ہے مجھے اچھا ہونا کوئی تدبیر اگر ہے تو کر تم نے کیا کر لیا رہ کر بیدار ہم نے تو عمر گنوا دی سو کر آج تک تم نہیں سنبھلے باصرؔ کھائی تھی کس کی گلی میں ٹھوکر

Hindi

हम अलग बैठ रहे चुप हो कर अब तिरे जी में जो आए सो कर अब तुझे खो के ख़याल आता है तुझ को पाया था बहुत कुछ खो कर क्या बुरा है मुझे अच्छा होना कोई तदबीर अगर है तो कर तुम ने क्या कर लिया रह कर बेदार हम ने तो 'उम्र गँवा दी सो कर आज तक तुम नहीं सँभले 'बासिर' खाई थी किस की गली में ठोकर

ham alag baiTh rahe chup ho kar
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
Basir Sultan Kazmi
poet62 quotes

More by Basir Sultan Kazmi

View all →
Quote
"har-chand mere haal se vo be-khabar nahin lekin vo be-kali jo idhar hai udhar nahin aavaaz-e-raftagaan mujhe laati hai is taraf ye raasta agarche miri rahguzar nahin chamki thi ek barq si phulon ke aas-paas phir kyaa huaa chaman mein mujhe kuchh khabar nahin kuchh aur ho na ho chalo apnaa hi dil jale itnaa bhi apni aah mein lekin asar nahin aati nahin hai in se shanaasaai ki mahak ye mere apne shahr ke divaar-o-dar nahin 'baasir' jagaa diyaa hai tumhein kis ne aadhi raat is dasht mein to naam-o-nishaan-e-sahar nahin"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"baadal hai aur phuul khile hain sabhi taraf kahtaa hai dil ki aaj nikal jaa kisi taraf tevar bahut kharaab the sunte hain kal tire achchhaa huaa ki ham ne na dekhaa tiri taraf jab bhi mile ham un se unhon ne yahi kahaa bas aaj aane vaale the ham aap ki taraf ai dil ye dhaDkanein tiri maamul ki nahin lagtaa hai aa rahaa hai vo fitna isi taraf khush thaa ki chaar nekiyaan hain jama us ke paas nikle gunaah bisiyon ulTaa miri taraf 'baasir' adu se ham to yunhi bad-gumaan rahe thaa un kaa iltifaat kisi aur hi taraf"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"rahtaa hai itnaa paaon ke til kaa asar savaar sar par hai ghar pahunchte hi aglaa safar savaar main chikhtaa rahaa ki nahin khat ye mere naam lekin havaa ke ghoDe pe thaa naama-bar savaar miltaa nahin hai dasht-navardi mein ab vo lutf rahne lagaa hai zehn pe ghar is qadar savaar kis chiiz ki na-jaane zarurat kahaan paDe kar luun na apne saath savaari mein ghar savaar raakib ko ek baar giraa de jo rakhsh-e-umr mumkin nahin vo is pe ho baar-e-digar savaar ye ishq kaa nasha to utartaa nahin kabhi 'baasir' yunhi rahegaa ye aasaab par savaar"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi
Quote
"kitni hi be-zarar sahi teri kharaabiyaan 'baasir' kharaabiyaan to hain phir bhi kharaabiyaan haalat jagah badalne se badli nahin miri hoti hain har jagah ki kuchh apni kharaabiyaan tu chaahtaa hai apni nai khubiyon ki daad mujh ko aziiz teri puraani kharaabiyaan junhi taalluqaat kisi se hue kharaab saare jahaan ki us mein mileingi kharaabiyaan sarkaar kaa hai apnaa hi meaar-e-intikhaab yaaro kahaan ki khubiyaan kaisi kharaabiyaan aadam khataa kaa putlaa hai gar maan lein ye baat nikleingi is kharaabi se kitni kharaabiyaan un hastiyon ki raah pe dekheinge chal ke ham jin mein na thiin kisi bhi tarah ki kharaabiyaan boeinge apne baagh mein sab khubiyon ke biij jaD se ukhaaD pheinkeinge saari kharaabiyaan 'baasir' kei shakhsiyat bhi ajab hai ki is mein hain kuchh khubiyaan kharaab kuchh achchhi kharaabiyaan"
Basir Sultan KazmiBasir Sultan Kazmi