"andhere mein tajassus kaa taqaazaa chhoD jaanaa hai kisi din khaamushi mein khud ko tanhaa chhoD jaanaa hai samundar hai magar vo chaahtaa hai Dubnaa mujh mein mujhe bhi us ki khaatir ye kinaara chhoD jaanaa hai bahut khush huun main saahil par chamakti sipiyaan chun kar magar mujh ko to ik din ye khazaana chhoD jaanaa hai tulu-e-subh ki aahaT se lashkar jaag jaaegaa chalaa jaae abhi vo jis ko khema chhoD jaanaa hai na jaane kab koi aa kar miri takmil kar jaae isi ummid pe khud ko adhuraa chhoD jaanaa hai kahaan tak khaak kaa paikar liye phirtaa rahungaa main use baarish ke mausam mein nihattaa chhoD jaanaa hai"
ham tah-e-dariyaa tilismi bastiyaan ginte rahe — Ashar Najmi
"ham tah-e-dariyaa tilismi bastiyaan ginte rahe aur saahil par machhere machhliyaan ginte rahe naa-tavaan shaanon pe aisi khaamushi kaa bojh thaa apne us ke darmiyaan bhi siDhiyaan ginte rahe bazm-e-jaan se chupke chupke khvaab sab rukhsat hue ham bhalaa karte bhi kyaa bas gintiyaan ginte rahe baans ke jangal se ho ke jab kabhi guzri havaa ik sadaa-e-gumshuda ki dhajjiyaan ginte rahe kis havaa ne Das liyaa hai rang o roghan uD gae sehn-e-dil se is makaan ki khiDkiyaan ginte rahe pahlu-e-shab kal isi chehre se raushan thaa magar jaane kitne mausamon ki talkhiyaan ginte rahe"
ہم تہ دریا طلسمی بستیاں گنتے رہے اور ساحل پر مچھیرے مچھلیاں گنتے رہے ناتواں شانوں پہ ایسی خامشی کا بوجھ تھا اپنے اس کے درمیاں بھی سیڑھیاں گنتے رہے بزم جاں سے چپکے چپکے خواب سب رخصت ہوئے ہم بھلا کرتے بھی کیا بس گنتیاں گنتے رہے بانس کے جنگل سے ہو کے جب کبھی گزری ہوا اک صدائے گم شدہ کی دھجیاں گنتے رہے کس ہوا نے ڈس لیا ہے رنگ و روغن اڑ گئے صحن دل سے اس مکاں کی کھڑکیاں گنتے رہے پہلوئے شب کل اسی چہرے سے روشن تھا مگر جانے کتنے موسموں کی تلخیاں گنتے رہے
हम तह-ए-दरिया तिलिस्मी बस्तियाँ गिनते रहे और साहिल पर मछेरे मछलियाँ गिनते रहे ना-तवाँ शानों पे ऐसी ख़ामुशी का बोझ था अपने उस के दरमियाँ भी सीढ़ियाँ गिनते रहे बज़्म-ए-जाँ से चुपके चुपके ख़्वाब सब रुख़्सत हुए हम भला करते भी क्या बस गिनतियाँ गिनते रहे बाँस के जंगल से हो के जब कभी गुज़री हवा इक सदा-ए-गुमशुदा की धज्जियाँ गिनते रहे किस हवा ने डस लिया है रंग ओ रोग़न उड़ गए सेहन-ए-दिल से इस मकाँ की खिड़कियाँ गिनते रहे पहलू-ए-शब कल इसी चेहरे से रौशन था मगर जाने कितने मौसमों की तल्ख़ियाँ गिनते रहे

More by Ashar Najmi
View all →"mere us ke darmiyaan ye faasla apni jagah hai aahaTon aur dastakon kaa silsila apni jagah hai sina-e-aavaaz mein hai barf ki talvaar gum be-sadaa gumbad kaa lekin masala apni jagah hai main chamakti ret ki aTkheliyon kaa huun asiir eDiyon kaa iztiraabi mashghala apni jagah hai khud-farebi kaa bharam TuuTaa chalo achchhaa huaa unghti bedaariyon kaa marhala apni jagah hai"
"yahaan to har ghaDi koh-e-nidaa ki zad mein rahte hain tajaavz ke bhi mausam mein ham apni had mein rahte hain bahut mohtaat ho kar saans lenaa mo'tabar ho tum hamaaraa kyaa hai ham to khud hi apni rad mein rahte hain saraab o aab ki ye kashmakash bhi khatm hi samjho chalo mauj-e-sadaa ban kar kisi gumbad mein rahte hain saron ke bojh ko shaanon pe rakhnaa mojaza bhi hai har ik pal varna ham bhi halqa-e-sarmad mein rahte hain"
"rafta rafta khatm qissa ho gayaa honaa hi thaa vo bhi aakhir mere jaisaa ho gayaa honaa hi thaa dasht-e-imkaan mein ye meraa mashghala bhi khuub hai rauzan-e-divaar chehraa ho gayaa honaa hi thaa Dubtaa suraj tumhaari yaad vaapas kar gayaa shaam aai zakhm taaza ho gayaa honaa hi thaa ahd-e-zabt-e-gham pe qaaim thaa dam-e-rukhsat magar vo sukut-e-jaan bhi dariyaa ho gayaa honaa hi thaa ab tu hi ye faasla tai kar sake to kar bhi le main to khud apnaa hi ziina ho gayaa honaa hi thaa main ne bhi parchhaaiyon ke shahr ki phir raah li aur vo bhi apne ghar kaa ho gayaa honaa hi thaa"
"masala ye to nahin ki sin-rasidaa kaun thaa haan magar mahfil mein teri barguzida kaun thaa faislaa jis kaa bhi thaa teraa nahin meraa sahi vaqt-e-rukhsat sar jhukaae aab-dida kaun thaa ek qatre ki talab aur thaa samundar saamne bazm-e-yaaraan mein bhalaa vo bad-aqida kaun thaa tum bhi the sarshaar main bhi gharq-e-bahr-e-rang-o-bu phir bhalaa donon mein aakhir khud-kashida kaun thaa"
"is safar mein nim-jaan main bhi nahin tu bhi nahin aur zer-e-saaebaan main bhi nahin tu bhi nahin zahr mein Duubi hui parchhaaiyon kaa raqs hai khud se vaabasta yahaan main bhi nahin tu bhi nahin naa-tamaami ke sharar mein roz o shab jalte rahe sach to ye hai be-zabaan main bhi nahin tu bhi nahin zard lafzon ke dhundalke shaam ki aankhon mein hain garche zeb-e-daastaan main bhi nahin tu bhi nahin naa-tavaan jismon pe kyuun hai gardishon kaa mor-naach shab-gazida aasmaan main bhi nahin tu bhi nahin be-asar ho jaae jis se dil kaa zakhm-e-aatishin marham-e-vahm-o-gumaan main bhi nahin tu bhi nahin shab ki gahri khaamushi bhi gosh-bar-aavaaz hai aahaTon kaa kaarvaan main bhi nahin tu bhi nahin ehtiyaaton ki guzargaahein to pichhe rah gaiin ab sadaa-e-mehrbaan main bhi nahin tu bhi nahin"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"