"ye jo ishq-e-masnad ke log hain unhein ramz saare sikhaa piyaa ye junun-e-ishq ki daastaan unhein harf harf sunaa piyaa mire chaaraagar main huun dar-ba-dar main to thak gai hai ajab safar miri be-nishaan si hain manzilein mujhe raasta bhi dikhaa piyaa na hudud mein na quyud mein miraa dil tire hi vajud mein ye sujud kaa hasin pairahan miri ruuh par to sajaa piyaa main to aas thi main to pyaas thi kisi phuul ki main bhi baas thi miri pattiyaan girein jaa-ba-jaa unhein shaakh par to sajaa piyaa main faqir huun main haqir huun kisi khvaab ki na asiir huun main aziiz huun to tujhe hi bas so aziz-tar hi banaa piyaa main falak se aai khataa miri use DhunDnaa hai vafaa miri ye jafaa ki jo hain haqiqatein miri aankh ko vo dikhaa piyaa mire aasmaan mire saaebaan tu hi raaz-daan tu hi mehrbaan jahaan laa-makaan ke hain silsile vahin meraa ghar bhi banaa piyaa ye jo aarzuon kaa des hai ye jo khaak khaak saa bhes hai jo azal abad kaa ye bhed hai use bhed hi mein bataa piyaa ye qadam qadam pe bashaaratein ye nazar nazar mein ziyaaratein ye basaartein ye bujhaartein mire shahr-e-dil ko dikhaa piyaa ye jo mere man mein hai raushni yahi zindagi yahi bandagi miri fikr mein tire zikr mein jo charaagh hain vo jalaa piyaa"
har ek khvaab mein harf-o-bayaan mein rahtaa hai — Najma Shaheen Khosa
"har ek khvaab mein harf-o-bayaan mein rahtaa hai vo ek shakhs jo dil ke makaan mein rahtaa hai na dil nikaltaa hai us kaa na shaam hoti hai ab is tarah se bhi koi jahaan mein rahtaa hai yaqin hai ki vo mujh par yaqin rakhtaa hai gumaan hai to vo ab tak gumaan mein rahtaa hai main is tarah se huun aazaad apni duniyaa mein ki jaise koi parind aashiyaan mein rahtaa hai rakhaa huaa hai hifaazat ke saath use dil mein main be-amaan huun vo to amaan mein rahtaa hai"
ہر ایک خواب میں حرف و بیاں میں رہتا ہے وہ ایک شخص جو دل کے مکاں میں رہتا ہے نہ دل نکلتا ہے اس کا نہ شام ہوتی ہے اب اس طرح سے بھی کوئی جہاں میں رہتا ہے یقین ہے کہ وہ مجھ پر یقین رکھتا ہے گمان ہے تو وہ اب تک گماں میں رہتا ہے میں اس طرح سے ہوں آزاد اپنی دنیا میں کہ جیسے کوئی پرند آشیاں میں رہتا ہے رکھا ہوا ہے حفاظت کے ساتھ اسے دل میں میں بے امان ہوں وہ تو اماں میں رہتا ہے
हर एक ख़्वाब में हर्फ़-ओ-बयाँ में रहता है वो एक शख़्स जो दिल के मकाँ में रहता है न दिल निकलता है उस का न शाम होती है अब इस तरह से भी कोई जहाँ में रहता है यक़ीन है कि वो मुझ पर यक़ीन रखता है गुमान है तो वो अब तक गुमाँ में रहता है मैं इस तरह से हूँ आज़ाद अपनी दुनिया में कि जैसे कोई परिंद आशियाँ में रहता है रखा हुआ है हिफ़ाज़त के साथ उसे दिल में मैं बे-अमान हूँ वो तो अमाँ में रहता है

More by Najma Shaheen Khosa
View all →"daaimi hai ishq aur ik daaimi aavaaz hai mere kaanon mein abhi tak bas vahi aavaaz hai saath mere raat bhar jo jaagti aavaaz hai kaun jaane ye to meri ruuh ki aavaaz hai hijr ke lamhon mein ab tak ye khabar kab ho saki jaagti huun main yaa koi jaagti aavaaz hai hijr jaise vasl mein us ko sunaa to yuun lagaa maut jaisi zindagi mein zindagi aavaaz hai ajnabi si manzilon ki ajnabi si raah mein ik mukammal khvaab aur ik khvaab si aavaaz hai aane vaale daur mein 'shaahin' rahnaa hai mujhe sab kaheinge ye vahi ik dukh bhari aavaaz hai"
"ye ishq ajab lamha-e-tauqir hai jaanaan khud meraa khudaa us ki hi tafsir hai jaanaan jo naam hatheli ki lakiron mein nahin thaa kyuun aaj talak dil pe vo tahrir hai jaanaan us khvaab ki taabir to mumkin hi nahin thi aankhon mein magar us ki hi taasir hai jaanaan maanaa ki tire haathon mein hain phuul abhi tak lekin tire pairon mein jo zanjir hai jaanaan kyaa jaaniye kis roz bikhar jaae kahin bhi is aas ki dil mein jo ik tanvir hai jaanaan ye rog kahin mujh ko hi mismaar na kar de aa lauT kar aa tu hi to iksir hai jaanaan tu hijr mein Duubi hui nayyaa kaa kinaara jivan ki tire paas hi tadbir hai jaanaan ye zakhm judaai ke kabhi silne nahin hain tu jaan le apni yahi taqdir hai jaanaan us aag ke shoalon mein vo phulon kaa tabassum ik sajda-e-be-misl ki tasvir hai jaanaan ab din ki talab hi nahin 'shaahin' mujhe to ik shaam hi ab to miri jaagir hai jaanaan"
"chaandni chup rahi raushni chup rahi meri har baat par zindagi chup rahi ham to ghuT ghuT ke ik roz mar jaaeinge is ghuTan mein agar aankh bhi chup rahi dard meraa bayaan un se kab ho sakaa sher khaamosh the shaairi chup rahi ik yaqin thaa palaT aaegaa vo abhi main to bas us ki rah dekhti chup rahi mujh ko maqtal mein jis roz bhejaa gayaa sochti huun main kyuun us ghaDi chup rahi main ne 'shaahin' jivan guzaaraa hai yuun niind mein baat ki jaagti chup rahi"
"zamin mile kahin hamein kahin to aasmaan mile dukhon ki dhuup mein shajar koi to mehrbaan mile tire firaaq mein jiye tire firaaq mein mare chalo ye khvaab hi sahi visaal kaa gumaan mile alam ki shaam aa gai lo mere naam aa gai charaagh le ke raah mein ai kaash mehrbaan mile abhi talak fughaan huun main misaal-e-daastaan huun main mile to ek pal kabhi kahin to kaarvaan mile ajiib se vo rang the sabhi ke haath sang the hamein to ghair bhi sabhi misaal-e-dostaan mile jabin jabin nahin rahi to mah-jabin nahin rahi na log vo kahin mile na tujh ko aastaan mile"
"gham ke sunsaan bayaabaan se nikaltaa hi nahin dil miraa dard ke tufaan se sanbhaltaa hi nahin 'ishq ki aatish-e-khaamosh hai kab se raushan magar ehsaas kaa sho'la hai ki jaltaa hi nahin har taraf dhund hai ashkon ki faraavaani se dil-e-betaab saraabon se bahaltaa hi nahin talkhiyaan ahl-e-zamaana se vo jheli hain na puchh dil miraa fasl-e-bahaaraan mein machaltaa hi nahin kab se haalaat-e-zamaana hain digar-gun lekin dil kaa mausam kisi haalat mein badaltaa hi nahin kyaa kahun darpai-e-aazaar hai duniyaa 'shaahin' aadmi qaid-e-zamaana se nikaltaa hi nahin"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"