SHAWORDS

har samt ye ham shor-o-sharar dekh rahe hain — Ghubar Kiratpuri

"har samt ye ham shor-o-sharar dekh rahe hain mazlum ki aahon kaa asar dekh rahe hain miTte hue aslaaf ki azmat ke nishaanaat dekhe nahin jaate hain magar dekh rahe hain kal tak jo ukhuvvat ke liye phirte the parcham badli hui aaj un ki nazar dekh rahe hain arbaab-e-hukumat mein hai jahl aur taghaaful taaraaj huaa jaataa hai ghar dekh rahe hain jamhuri hukumat jise samjhe the pari ham ifrit ki surat hai jidhar dekh rahe hain kyaa baagh dikhaae gae aazaadi se pahle kis darja mile talkh samar dekh rahe hain sab ahl-e-vafaa ho gae kangaal 'ghubaar' aaj naa-ahlon ke ghar laal-o-gohar dekh rahe hain"
Urdu

ہر سمت یہ ہم شور و شرر دیکھ رہے ہیں مظلوم کی آہوں کا اثر دیکھ رہے ہیں مٹتے ہوئے اسلاف کی عظمت کے نشانات دیکھے نہیں جاتے ہیں مگر دیکھ رہے ہیں کل تک جو اخوت کے لیے پھرتے تھے پرچم بدلی ہوئی آج ان کی نظر دیکھ رہے ہیں ارباب حکومت میں ہے جہل اور تغافل تاراج ہوا جاتا ہے گھر دیکھ رہے ہیں جمہوری حکومت جسے سمجھے تھے پری ہم عفریت کی صورت ہے جدھر دیکھ رہے ہیں کیا باغ دکھائے گئے آزادی سے پہلے کس درجہ ملے تلخ ثمر دیکھ رہے ہیں سب اہل وفا ہو گئے کنگال غبارؔ آج نا اہلوں کے گھر لعل و گہر دیکھ رہے ہیں

Hindi

हर सम्त ये हम शोर-ओ-शरर देख रहे हैं मज़लूम की आहों का असर देख रहे हैं मिटते हुए अस्लाफ़ की अज़्मत के निशानात देखे नहीं जाते हैं मगर देख रहे हैं कल तक जो उख़ुव्वत के लिए फिरते थे परचम बदली हुई आज उन की नज़र देख रहे हैं अर्बाब-ए-हुकूमत में है जहल और तग़ाफ़ुल ताराज हुआ जाता है घर देख रहे हैं जम्हूरी हुकूमत जिसे समझे थे परी हम इफ़रीत की सूरत है जिधर देख रहे हैं क्या बाग़ दिखाए गए आज़ादी से पहले किस दर्जा मिले तल्ख़ समर देख रहे हैं सब अहल-ए-वफ़ा हो गए कंगाल 'ग़ुबार' आज ना-अहलों के घर लाल-ओ-गुहर देख रहे हैं

har samt ye ham shor-o-sharar dekh rahe haiñ
Ghubar Kiratpuri
Ghubar Kiratpuri
Ghubar Kiratpuri
poet12 quotes

More by Ghubar Kiratpuri

View all →
Quote
"koi dekhe to sahi ye sitam-aaraai bhi khud tamaashaa bhi huun main aur tamaashaai bhi raaz hai un kaa ajab un ki ye yaktaai bhi main tamanna bhi huun aur un kaa tamannaai bhi haath phailaaun tire hote main kis ke aage is mein meri hi nahin hai tiri rusvaai bhi aql vaalon ki nigaahon pe paDe hain parde parda-e-ishq mein duuri bhi hai yakjaai bhi haal ham ahl-e-khirad kaa hai zamaane mein ajab ham shanaasaa bhi hain mahrum-e-shanaasaai bhi vo to har haal mein maujud hai shah-rag ke qarib is ko kahte hain kahin aalam-e-tanhaai bhi koi samjhe bhi to kyaa us ko samajh paae 'ghubaar' parda-daari bhi hai aur anjuman-aaraai bhi"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri
Quote
"tujh ko mushkil nahin mushkil miri aasaan kar de khaak ke zarre ko ham-dosh-e-sulaimaan kar de mere aamaal nahin laaeq-e-bakhshish hargiz tu jo chaahe to mire dard kaa darmaan kar de haif ab zillat-o-khvaari ke sivaa kuchh bhi nahin yaa-ilaahi hamein pahlaa saa musalmaan kar de rabb-e-haajaat hamein nisbat-e-kaamil ho ataa ham ko aain-e-sadaaqat kaa nigahbaan kar de tere mahbub kaa aaiin hai ain-e-fitrat is mein tarmim ke taalib ko pashemaan kar de din-e-haq ki main hifaazat karun dil se har dam mere khaaliq mire imaan ko farozaan kar de kashti-e-jaan ko kinaare se lagaane ke liye ham mein har fard ke imaan ko farozaan kar de"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri
Quote
"kisi ke naqsh-e-paa par rakh diyaa hai jab se sar apnaa na dil apnaa na jaan apni na ghar apnaa na dar apnaa na koi kaarvaan apnaa na mir-e-kaarvaan koi khayaal-e-yaar rahtaa hai hamesha raahbar apnaa kahaan baaqi hai ab aql-o-khirad se vaasta ai dil miraa zauq-e-nazar khud ban gayaa hai raahbar apnaa nasihat karne vaalon kaa bhalaa ho kyaa vo samjheinge na qaabu ishq par hai aur na hai dil par asar apnaa khudaa jab naakhudaa khud ban gayaa hai meri kashti kaa safina manzilein tai kar rahaa hai be-khatar apnaa muqaddar se kabhi hotaa nahin maayus main hamdam mujhe kis baat kaa gham ho qavi hai chaaraagar apnaa 'ghubaar' apni haqiqat kuchh nahin hai bazm-e-hasti mein huun khush-qismat habib-e-rab huaa hai chaaraagar apnaa"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri
Quote
"gham-e-aashiqi se baDh kar gham-e-zindagi nahin hai main tire karam ke qurbaan mujhe kuchh kami nahin hai mire jaan-o-dil ke maalik mujhe be-niyaaz-e-gham kar kisi aur dar pe hargiz ye jabin jhuki nahin hai mire shahr-e-jaan-o-dil mein vo ziyaa bikherte hain miraa qalb hai mujallaa yahaan tirgi nahin hai ai amir-e-shahr-e-shaadaan mujhe apne paas rakhnaa tire dar se duur rah kar koi zindagi nahin hai vahi chaara-e-vafaa hai jahaan dil ho kaar-farmaa jahaan aql hukmraan ho rah-e-aashiqi nahin hai ye hai raaz-e-ishq-o-ulfat na samajh sakegaa vaaiz jahaan tirgi nahin hai vahaan raushni nahin hai suni dukh-bhari kahaani mujhe baaryaab kar ke mire dil mein ab tamanna koi dusri nahin hai"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri
Quote
"vo chashm-e-naaz agar khud ko vaqf-e-naaz kare har ahl-e-qalb-o-nazar kham sar-e-niyaaz kare gadaa ko shaah to shah ko gadaa-navaaz kare jise bhi jis tarah chaahe vo sarfaraaz kare haqiqat-e-bashari kyaa hai qatra-e-naachiz zabaan na had se ziyaada bashar daraaz kare tiraa ghulaam ba-sad-ehtiraam haazir hai tiri khushi hai agar is ko sarfaraaz kare khudaa hai qaadir-e-mutlaq bashar ko laazim hai usi ke saamne dast-e-talab daraaz kare jo baar-e-husn-e-azal koh-e-tur sah na sake qubul us ko miraa qalb-e-paak-baaz kare kisi ke dam ki jo raunaq hai us ki hasti mein 'ghubaar' kyon na bhalaa aaj us pe naaz kare"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri
Quote
"raahat kaa zamaane mein saamaan nahin miltaa insaan ki basti mein insaan nahin miltaa kuchh aisi havaa badli afsos zamaane ki ehsaan ke badle mein ehsaan nahin miltaa is kaar-gah-e-hasti kaa itnaa fasaana hai ho nafs jahaan baaqi irfaan nahin miltaa aaiin bahut achchhaa daave bhi hasin lekin ulfat kaa hamein phir bhi farmaan nahin miltaa shaddaad ki jannat hain jamhur ke sab vaade ab dard kaa apne kuchh darmaan nahin miltaa kyaa baDh ke nahin chume hain daar-o-rasan ham ne phir bhi hamein izzat kaa iqaan nahin miltaa go nisf sadi biiti aazaadi-e-kaamil ko raahat kaa 'ghubaar' ab tak saamaan nahin miltaa"
Ghubar KiratpuriGhubar Kiratpuri