Quote
"aankh ro-ro ke main ne giili ki har ghazal tab kahin surili ki us ki aankhon mein ghair dekhaa to main ne apni pakaD bhi Dhili ki us ne itnaa hi zahr uglaa hai us ne jitni zabaan rasili ki aaj khud ko isi pe chalnaa hai main ne jo raah khud kaTili ki zahr kuchh kam nahin piyaa main ne zindagi jaa ke tab nashili ki aag sulgaa ke khud bhi bach jaae aisi qismat nahin hai tiili ki"
