SHAWORDS

jaane kyuun log gham se Darte hain — Asar Akbarabadi

"jaane kyuun log gham se Darte hain ham to aalaam mein nikharte hain jo khushi ke saraab mein gum hain vo khushi se hi apni marte hain gham bhi rakhte hain saath khushiyon ke zindagi mein jo rang bharte hain TuuT jaate hain sab ghamon ke hisaar moti khushiyon ke jab bikharte hain laakh khushiyaan unhein mubaarak hon ham ghamon se hi dil ko bharte hain Duub jaate hain jo kinaare par vo kahaan Duub kar ubharte hain haalat-e-dil bataaein ham un ko kaise din raat ab guzarte hain khul hi jaate hain un pe aib-o-hunar aaine se jo baat karte hain aaina dekhtaa hai hairat se vo jis andaaz se sanvarte hain kyaa bharosa hai zindagi kaa 'asar' roz jiite hain roz marte hain"
Urdu

جانے کیوں لوگ غم سے ڈرتے ہیں ہم تو آلام میں نکھرتے ہیں جو خوشی کے سراب میں گم ہیں وہ خوشی سے ہی اپنی مرتے ہیں غم بھی رکھتے ہیں ساتھ خوشیوں کے زندگی میں جو رنگ بھرتے ہیں ٹوٹ جاتے ہیں سب غموں کے حصار موتی خوشیوں کے جب بکھرتے ہیں لاکھ خوشیاں انہیں مبارک ہوں ہم غموں سے ہی دل کو بھرتے ہیں ڈوب جاتے ہیں جو کنارے پر وہ کہاں ڈوب کر ابھرتے ہیں حالت دل بتائیں ہم ان کو کیسے دن رات اب گزرتے ہیں کھل ہی جاتے ہیں ان پہ عیب و ہنر آئنے سے جو بات کرتے ہیں آئنہ دیکھتا ہے حیرت سے وہ جس انداز سے سنورتے ہیں کیا بھروسہ ہے زندگی کا اثرؔ روز جیتے ہیں روز مرتے ہیں

Hindi

जाने क्यूँ लोग ग़म से डरते हैं हम तो आलाम में निखरते हैं जो ख़ुशी के सराब में गुम हैं वो ख़ुशी से ही अपनी मरते हैं ग़म भी रखते हैं साथ ख़ुशियों के ज़िंदगी में जो रंग भरते हैं टूट जाते हैं सब ग़मों के हिसार मोती ख़ुशियों के जब बिखरते हैं लाख ख़ुशियाँ उन्हें मुबारक हों हम ग़मों से ही दिल को भरते हैं डूब जाते हैं जो किनारे पर वो कहाँ डूब कर उभरते हैं हालत-ए-दिल बताएँ हम उन को कैसे दिन रात अब गुज़रते हैं खुल ही जाते हैं उन पे ऐब-ओ-हुनर आइने से जो बात करते हैं आइना देखता है हैरत से वो जिस अंदाज़ से सँवरते हैं क्या भरोसा है ज़िंदगी का 'असर' रोज़ जीते हैं रोज़ मरते हैं

jaane kyuuñ log ġham se Darte haiñ
Asar Akbarabadi
Asar Akbarabadi
Asar Akbarabadi
poet15 quotes

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb