Quote
qaafiye ki band galiyon kaa gadaagar kar diyaa
us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diyaa
ham kai the aur hamaare raaste bhi the kai
vo akelaa thaa so us ne maa'raka sar kar diyaa …
"jahaan lamha-e-shaam bikher diyaa vahin ik paighaam bikher diyaa khud us ke qadmon mein apnaa sab pukhta-o-khaam bikher diyaa chaalaak parinda thaa vo bhi ham ne bhi daam bikher diyaa jitni taklif ikaTThaa ki utnaa aaraam bikher diyaa darvaaza kholaa jaldi se aur saaraa kaam bikher diyaa"
جہاں لمحۂ شام بکھیر دیا وہیں اک پیغام بکھیر دیا خود اوس کے قدموں میں اپنا سب پختہ و خام بکھیر دیا چالاک پرندہ تھا وہ بھی ہم نے بھی دام بکھیر دیا جتنی تکلیف اکٹھا کی اتنا آرام بکھیر دیا دروازہ کھولا جلدی سے اور سارا کام بکھیر دیا
जहाँ लम्हा-ए-शाम बिखेर दिया वहीं इक पैग़ाम बिखेर दिया ख़ुद उस के क़दमों में अपना सब पुख़्ता-ओ-ख़ाम बिखेर दिया चालाक परिंदा था वो भी हम ने भी दाम बिखेर दिया जितनी तकलीफ़ इकट्ठा की उतना आराम बिखेर दिया दरवाज़ा खोला जल्दी से और सारा काम बिखेर दिया

qaafiye ki band galiyon kaa gadaagar kar diyaa
us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diyaa
ham kai the aur hamaare raaste bhi the kai
vo akelaa thaa so us ne maa'raka sar kar diyaa …
us ki har tarz-e-taghaaful pe nazar rakhti hai
aankh hai dil to nahin saari khabar rakhti hai
lab tak aaegi magar aa ke palaT jaaegi
TuTaa-phuTaa sahi ye aah bhi ghar rakhti hai …
qaafiya chaahiye khaane ke liye
yaa'ni matle' mein khapaane ke liye
khosha-chinon ko khabar hai shaayad
main kamaataa huun luTaane ke liye …
pichhe pichhe aataa huun
aankhein miche aataa huun
uupar aa nahin sakte aap
main hi niche aataa huun …
roz is dil ki sifaarish nahin ki jaa sakti
aap se aur guzaarish nahin ki jaa sakti
aap ke khvaab to ham dekhte rahte hain bahut
ik zaraa aap ki khvaahish nahin ki jaa sakti …
ye zamin aasmaan kaa mumkin
nahin saare jahaan kaa mumkin
aql ki khaar-zaar vaadi mein
rakh liyaa hai gumaan kaa mumkin …