Quote
"qaafiye ki band galiyon kaa gadaagar kar diyaa us ne kaise kaam par mujh ko muqarrar kar diyaa ham kai the aur hamaare raaste bhi the kai vo akelaa thaa so us ne maa'raka sar kar diyaa jis ne chori ki thi sau pachchaas par chhoDaa use jo saDak par jaa rahaa thaa us ko andar kar diyaa chhat zamin par aa rahi naazuk the shahtir is qadar gir paDi divaar bhi aisaa palastar kar diyaa raushni ab raah se bhaTkaa bhi deti hai miyaan us ki aankhon ki chamak ne mujh ko be-ghar kar diyaa jhuTh-muTh aakhir gale mil kar ba-zo'm-e-khud 'zafar' aglaa pichhlaa sab hisaab us ne baraabar kar diyaa"
