SHAWORDS

jitni achchhi baatein hain — Iliyas Babar Aawan

"jitni achchhi baatein hain saari teri baatein hain jin mein teraa zikr nahin vo bhi koi baatein hain jo chuTki mein kahte ho sochi samjhi baatein hain teraa meraa koi nahin teri meri baatein hain divaaron ke honTon par TuuTi phuTi baatein hain jitnaa pyaaraa chehra hai utni pyaari baatein hain nayaa nayaa to dikhtaa huun vahi puraani baatein hain ik anjaane number par khaamoshi hi baatein hain sheron se tum duur raho chikni chupDi baatein hain jinhein mukammal jaanaa thaa vahi adhuri baatein hain un ke rang bhi hote hain ye jo niili baatein hain"
Urdu

جتنی اچھی باتیں ہیں ساری تیری باتیں ہیں جن میں تیرا ذکر نہیں وہ بھی کوئی باتیں ہیں جو چٹکی میں کہتے ہو سوچی سمجھی باتیں ہیں تیرا میرا کوئی نہیں تیری میری باتیں ہیں دیواروں کے ہونٹوں پر ٹوٹی پھوٹی باتیں ہیں جتنا پیارا چہرہ ہے اتنی پیاری باتیں ہیں نیا نیا تو دکھتا ہوں وہی پرانی باتیں ہیں اک انجانے نمبر پر خاموشی ہی باتیں ہیں شعروں سے تم دور رہو چکنی چپڑی باتیں ہیں جنہیں مکمل جانا تھا وہی ادھوری باتیں ہیں ان کے رنگ بھی ہوتے ہیں یہ جو نیلی باتیں ہیں

Hindi

जितनी अच्छी बातें हैं सारी तेरी बातें हैं जिन में तेरा ज़िक्र नहीं वो भी कोई बातें हैं जो चुटकी में कहते हो सोची समझी बातें हैं तेरा मेरा कोई नहीं तेरी मेरी बातें हैं दीवारों के होंटों पर टूटी फूटी बातें हैं जितना प्यारा चेहरा है उतनी प्यारी बातें हैं नया नया तो दिखता हूँ वही पुरानी बातें हैं इक अनजाने नंबर पर ख़ामोशी ही बातें हैं शे'रों से तुम दूर रहो चिकनी चुपड़ी बातें हैं जिन्हें मुकम्मल जाना था वही अधूरी बातें हैं उन के रंग भी होते हैं ये जो नीली बातें हैं

jitnī achchhī bāteñ haiñ
Iliyas Babar Aawan
Iliyas Babar Aawan
Iliyas Babar Aawan
poet30 quotes

More by Iliyas Babar Aawan

View all →
Quote
"sirf aazaar uThaane se kahaan bantaa hai mujh saa uslub zamaane se kahaan bantaa hai aankh ko kaaT ke kuchh nok-palak sidhi ki zaaviya siidh mein aane se kahaan bantaa hai kuchh na kuchh is mein haqiqat bhi chhipi hoti hai vaaqia baat banaane se kahaan bantaa hai husn-e-yusuf si koi jins bhi rakkho is mein varna baazaar sajaane se kahaan bantaa hai is mein kuchh vahshat-e-dil bhi to rakhi jaati hai baagh bas phuul ugaane se kahaan bantaa hai raasta bantaa hai tashkil-e-nazar se 'baabar' khaak ki khaak uDaane se kahaan bantaa hai"
Iliyas Babar AawanIliyas Babar Aawan
Quote
"makin chhoD gae khvaab 'ain raat ke biich ki jaise dukh nikal aayaa ho meri baat ke biich main jis se haath milaataa huun phir nahin miltaa na jaane kaun saa rasta hai mere haath ke biich vo aaj aai to main duur se hi jaan gayaa main jis ko DhunDhtaa rahtaa thaa phul-paat ke biich isi sabab se to masraf khulaa thaa kaanon kaa vo ek phone jo aataa thaa chhe aur saat ke biich hamaare dil ko ba-har-haal sarsari na samajh zaraa zaraa si to dhaDkan hai ab bhi dhaat ke biich ham is se pahle saf-e-dushmanaan mein rahte the phir ek phuul khil aayaa thaa 'ain ghaat ke biich"
Iliyas Babar AawanIliyas Babar Aawan
Quote
"baagh ik din kaa hai so raat nahin aane ki vo pari phir se mire haat nahin aane ki ab vo laDki nahin aane ki mire college mein ab ke multaan se saughaat nahin aane ki tum chali jaao ye patthar nahin pahle jaisaa aankh se ju-e-munaajaat nahin aane ki ab jo ye vasl hai is vasl ko be-kaar samajh ham pe rangini-e-haalaat nahin aane ki dekh lo khol ke khiDki ki zaraa der hain ham dusri baar ye baaraat nahin aane ki ab tire baad faqat aab hi utregaa yahaan ab ke barsaat mein barsaat nahin aane ki"
Iliyas Babar AawanIliyas Babar Aawan
Quote
"koi bhi khush ho main apni khushi samajhtaa huun main zinda shakhs huun aur zindagi samajhtaa huun kai to tum se bhi behtar mile hain log mujhe magar kami hai jo us ko kami samajhtaa huun ye vo dikhaataa hai jo raushni dikhaati nahin so main andhere ko bhi raushni samajhtaa huun bahut si chizein hain jo meri had se baahar hain so jitni had hai miri main vahi samajhtaa huun chalaa to jaaegaa lekin nishaan chhoD ke yaar agarche dukh ko bhi main sarsari samajhtaa huun"
Iliyas Babar AawanIliyas Babar Aawan