SHAWORDS

kabhi saaya hai kabhi dhuup muqaddar meraa — Athar Nafees

HomeAthar NafeesGhazal
"kabhi saaya hai kabhi dhuup muqaddar meraa hotaa rahtaa hai yuun hi qarz baraabar meraa TuuT jaate hain kabhi mere kinaare mujh mein Duub jaataa hai kabhi mujh mein samundar meraa kisi sahraa mein bichhaD jaaeinge sab yaar mire kisi jangal mein bhaTak jaae gaa lashkar meraa baa-vafaa thaa to mujhe puchhne vaale bhi na the be-vafaa huun to huaa naam bhi ghar ghar meraa kitne hanste hue mausam abhi aate lekin ek hi dhuup ne kumhlaa diyaa manzar meraa aakhiri jura-e-pur-kaif ho shaayad baaqi ab jo chhalkaa to chhalak jaae gaa saaghar meraa"
Urdu

کبھی سایہ ہے کبھی دھوپ مقدر میرا ہوتا رہتا ہے یوں ہی قرض برابر میرا ٹوٹ جاتے ہیں کبھی میرے کنارے مجھ میں ڈوب جاتا ہے کبھی مجھ میں سمندر میرا کسی صحرا میں بچھڑ جائیں گے سب یار مرے کسی جنگل میں بھٹک جائے گا لشکر میرا باوفا تھا تو مجھے پوچھنے والے بھی نہ تھے بے وفا ہوں تو ہوا نام بھی گھر گھر میرا کتنے ہنستے ہوئے موسم ابھی آتے لیکن ایک ہی دھوپ نے کمھلا دیا منظر میرا آخری جرعہء پر کیف ہو شاید باقی اب جو چھلکا تو چھلک جائے گا ساغر میرا

Hindi

कभी साया है कभी धूप मुक़द्दर मेरा होता रहता है यूँ ही क़र्ज़ बराबर मेरा टूट जाते हैं कभी मेरे किनारे मुझ में डूब जाता है कभी मुझ में समुंदर मेरा किसी सहरा में बिछड़ जाएँगे सब यार मिरे किसी जंगल में भटक जाए गा लश्कर मेरा बा-वफ़ा था तो मुझे पूछने वाले भी न थे बे-वफ़ा हूँ तो हुआ नाम भी घर घर मेरा कितने हँसते हुए मौसम अभी आते लेकिन एक ही धूप ने कुम्हला दिया मंज़र मेरा आख़िरी ज़ुरअ-ए-पुर-कैफ़ हो शायद बाक़ी अब जो छलका तो छलक जाए गा साग़र मेरा

kabhī saaya hai kabhī dhuup muqaddar merā
Athar Nafees
Athar Nafees
Athar Nafees
poet43 quotes

More by Athar Nafees

View all →
Quote
"ik surat dil mein samaai hai ik shakl hamein phir bhaai hai ham aaj bahut sarshaar sahi par aglaa moD judaai hai phir baad-e-sabaa ke jhonke ne ik dard jagaayaa siine mein ik phuul khilaayaa daaman mein ik khush-bu dil mein basaai hai vo aglaa moD judaai kaa use aanaa hai vo to aaegaa magar aaj to apni raahon mein be-misl chaman-aaraai hai ai dida-varo ai khush-nazro zaraa dekho to us kaafir ko kyaa saj-dhaj hai kyaa tevar hain kyaa husn hai kyaa zebaai hai kuchh ham se ziyaada madh-saraa hai rang-e-shafaq un honTon kaa aur baad-e-sabaa us se bhi sivaa un zulfon ki saudaai hai ik 'umr ke is sannaaTe mein bedaar hui kyaa subh-e-tarab is 'arsa-gah-e-tanhaai mein kyaa shaam-e-tamannaa aai hai"
Athar NafeesAthar Nafees
Quote
"farzaanon ki is basti mein ek ajab saudaai hai kis ke liye ye haal hai us kaa kaun aisaa harjaai hai kis ke liye phirtaa hai akelaa shahr ke hangaamon se duur kaun hai jis ki khaatir us ko tanhaai raas aai hai kis ke lab o rukhsaar ki baatein Dhal jaati hain ghazlon mein kis ke kham-e-kaakul ki kahaani vajh-e-sukhan-aaraai hai kaun hai jis ki mahrumi ke daagh hain us ke siine mein kaun hai jis ke khvaabon ki ik duniyaa main ne sajaai hai kyuun us ki aashufta-sari kaa charchaa hai ham logon mein kyuun itni pur-kaif-o-soz us ki shab-e-tanhaai hai 'athar' aao ham bhi us ke dil ki baatein sun aaein kahte hain divaana hai vo vahshi hai saudaai hai"
Athar NafeesAthar Nafees
Quote
"dam-ba-dam baDh rahi hai ye kaisi sadaa shahr vaalo suno jaise aae dabe paanv sail-e-balaa shahr vaalo suno khaak uDaati na thi is tarah to havaa us ko kyaa ho gayaa dekho aavaaz detaa hai ik saaneha shahr vaalo suno ye jo raaton mein phirtaa hai tanhaa bahut hai akelaa bahut ho sake to kabhi us kaa bhi maajraa shahr vaalo suno ye hamin mein se hai us ke ranj-o-alam us se puchho kabhi haan suno us ki rudaad-e-mehr-o-vafaa shahr vaalo suno us ke ji mein hai kyaa us se puchho zaraa dekhein kahtaa hai kyaa kis ne us shakhs par koh-e-gham Dhaa diyaa shahr vaalo suno 'umr bhar kaa safar jis kaa haasil hai ik lamha-e-mukhtasar kis ne kyaa kho diyaa kis ne kyaa paa liyaa shahr vaalo suno us ki be-khvaab aankhon mein jhaanko kabhi us ko samjho kabhi us ko bedaar rakhtaa hai kyaa vaaqi'a shahr vaalo suno"
Athar NafeesAthar Nafees
Quote
"itne din ke baad tu aayaa hai aaj sochtaa huun kis tarah tujh se milun mere andar jaag uThi ik chaandni main zamin se aasmaan tak ang huun aur ujlaa ho gayaa qurbat kaa chaand aur gahraa ho gayaa teraa fusun ai saraapaa rang-nikhat tu bataa kis dhanak se teraa pairaahan banun saare gul-buTe tar-o-taaza hue duur tak pahunchi hai meri mauj-e-khun kar rahe hain lamhe lamhe kaa hisaab mil ke phir baiThe hain yaaraan-e-junun dasht-e-gham ki dhuup mein mujh par khulaa main khud apnaa saaya-e-divaar huun naaz kar khud par ki tu hai be-shumaar qadr kar meri ki main bas ek huun"
Athar NafeesAthar Nafees
Quote
"'athar' tum ne ishq kiyaa kuchh tum bhi kaho kyaa haal huaa koi nayaa ehsaas milaa yaa sab jaisaa ahvaal huaa ek safar hai vaadi-e-jaan mein tere dard-e-hijr ke saath teraa dard-e-hijr jo baDh kar lazzat-e-kaif-e-visaal huaa raah-e-vafaa mein jaan denaa hi pesh-ravon kaa sheva thaa ham ne jab se jiinaa sikhaa jiinaa kaar-e-misaal huaa ishq fasaana thaa jab tak apne bhi bahut afsaane the ishq sadaaqat hote hote kitnaa kam-ahvaal huaa raah-e-vafaa dushvaar bahut thi tum kyuun mere saath aae phuul saa chehra kumhlaayaa aur rang-e-hinaa paamaal huaa"
Athar NafeesAthar Nafees
Quote
"vo daur qarib aa rahaa hai jab daad-e-hunar na mil sakegi us shab kaa nuzul ho rahaa hai jis shab ki sahar na mil sakegi puchhoge har ik se ham kahaan hain aur apni khabar na mil sakegi aasaan bhi na hogaa ghar mein rahnaa taufiq-e-safar na mil sakegi khanjar si zabaan kaa zakhm khaa ke marham si nazar na mil sakegi is raah-e-safar mein saaya-e-afgan ik shaakh-e-shajar na mil sakegi jaaoge kisi ki anjuman mein par us se nazar na mil sakegi ik jins-e-vafaa hai jis ko har-su DhunDoge magar na mil sakegi sailaab-e-havas umaD rahaa hai ik tishna nazar na mil sakegi"
Athar NafeesAthar Nafees