SHAWORDS

kabhi to harf-e-duaa yuun zabaan talak aae — Fasihullah Naqeeb

"kabhi to harf-e-duaa yuun zabaan talak aae utar ke jis ki paziraai ko falak aae kam-az-kam itne to aaina-daar hon chehre ki dil ke haal ki chehre pe bhi jhalak aae to phir ye kaun saa rishta hai gar na uns kahun jo ashk mere tiri aankh se chhalak aae sajaa sajaa ke jo rakkhe the sadiyon sadiyon ne vo khvaab khvaab manaazir palak palak aae 'naqib' yuun tire lahje mein be-hijaab ho fan ghazal ke dosh se aanchal zaraa Dhalak aae"
Urdu

کبھی تو حرف دعا یوں زباں تلک آئے اتر کے جس کی پذیرائی کو فلک آئے کم از کم اتنے تو آئینہ دار ہوں چہرے کہ دل کے حال کی چہرے پہ بھی جھلک آئے تو پھر یہ کون سا رشتہ ہے گر نہ انس کہوں جو اشک میرے تری آنکھ سے چھلک آئے سجا سجا کے جو رکھے تھے صدیوں صدیوں نے وہ خواب خواب مناظر پلک پلک آئے نقیبؔ یوں ترے لہجے میں بے حجاب ہو فن غزل کے دوش سے آنچل ذرا ڈھلک آئے

Hindi

कभी तो हर्फ़-ए-दुआ यूँ ज़बाँ तलक आए उतर के जिस की पज़ीराई को फ़लक आए कम-अज़-कम इतने तो आईना-दार हों चेहरे कि दिल के हाल की चेहरे पे भी झलक आए तो फिर ये कौन सा रिश्ता है गर न उन्स कहूँ जो अश्क मेरे तिरी आँख से छलक आए सजा सजा के जो रक्खे थे सदियों सदियों ने वो ख़्वाब ख़्वाब मनाज़िर पलक पलक आए 'नक़ीब' यूँ तिरे लहजे में बे-हिजाब हो फ़न ग़ज़ल के दोश से आँचल ज़रा ढलक आए

kabhī to harf-e-duā yuuñ zabāñ talak aa.e
Fasihullah Naqeeb
Fasihullah Naqeeb
Fasihullah Naqeeb
poet12 quotes

More by Fasihullah Naqeeb

View all →
Quote
"hain mizaaj aasmaan pe jis-tis ke naaz uThaaein bhi ham to kis kis ke bijliyon ke sunahri harfon mein baadalon par hain dastakhat kis ke aankh se gar chhalak nahin paate dil pe girte hain ashk ris ris ke jaane kab hove dida-var paidaa diide pathraa gae hain nargis ke paanv chaadar mein rah na paaeinge haath phaile raheinge jis jis ke aarzuon ke sukhte gulban muntazir yaasiyat ki maachis ke kam se kam ghar ko ghar to rahne dein rakhein office ko andar office ke aks-e-dauraan 'naqib' ki ghazlein silsile chand ratb-o-yaabis ke"
Fasihullah NaqeebFasihullah Naqeeb
Quote
"jaisaa tum chaahoge vaisaa nahin hone vaalaa varna hone ko yahaan kyaa nahin hone vaalaa muqtadir ho to gharibon se jo chaaho le lo izzat-e-nafs kaa saudaa nahin hone vaalaa dil ye kahtaa hai kisi ko bhi na laa khaatir mein aql kahti hai ki achchhaa nahin hone vaalaa amn parchaar talak Thiik sahi lekin amn tum ko lagtaa hai ki hogaa nahin hone vaalaa zar ke mizaan mein har shakhs ko kyaa tolte ho har bashar to sag-e-duniyaa nahin hone vaalaa meraa chehra hai mire qalb kaa akkaas 'naqib' meraa chehra tiraa chehra nahin hone vaalaa"
Fasihullah NaqeebFasihullah Naqeeb
Quote
"junhi lab kholtaa hai vo to jaadu baandhtaa hai hasin alfaaz ke pairon mein ghunghru baandhtaa hai andheri shab ke daaman mein damakte hain sitaare khayaal-e-yaar jab palkon pe jugnu baandhtaa hai miri parvaaz ko mashrut kar ke nek sayyaad qafas gar khol detaa hai to baazu baandhtaa hai sulagtaa khaultaa maahaul aur khushki ghazal ki ki dil ik aas kaa chhappar lab-e-ju baandhtaa hai 'naqib' ashaar apne zindagaani ke safar mein koi zaad-e-safar mein jaise sattu baandhtaa hai"
Fasihullah NaqeebFasihullah Naqeeb
Quote
"khair se hoti rahi raah-numaai kyaa kyaa varna aa jaati bashar mein kaj-adaai kyaa kyaa mo'atabar kaise kahein tu ne uDaai kyaa kyaa ai nazar tujh ko ye duniyaa nazar aai kyaa kyaa be-rukhi thi vale bargashtagi aisi to na thi kyaa khabar kis ne vahaan jaa ke lagaai kyaa kyaa dil ne taslim kiyaa kab ki yaqin aa jaataa us ne ban ban ke magar baat banaai kyaa kyaa aql hushyaar thi dhire se diyaa haath dabaa kyaa kahun varna mire dil mein samaai kyaa kyaa kaise ehsaan kiye jaaein sakhaavat kaise chhoD kar naqsh gae haatim-e-taai kyaa kyaa main na haabil na yusuf na main Tiipu sultaan chaahte hain mire haq mein mire bhaai kyaa kyaa vo to bohtaan lagaane ke liye baiThe hain dil miyaan bhaai miraa degaa safaai kyaa kyaa Daal kar aankhon mein aankhein jo kahaa pahchaanaa us ne phir mujh se 'naqib' aankh churaai kyaa kyaa"
Fasihullah NaqeebFasihullah Naqeeb
Quote
"huzur mil ke aap se main aaj muskuraa diyaa tabassum aap kaa jo ik udhaar thaa chukaa diyaa bajaa ki sar-kashi ghalat qubul inkisaar bhi magar ye kyaa ki har kisi ke aage sar jhukaa diyaa main sakhtiyon mein ji gayaa main talkhiyon ko pi gayaa magar kisi ne pyaar se sadaa jo di rulaa diyaa na Dar mire khamir mein na shar mire zamir mein tamaam zaalimon ke naam main ne khat khulaa diyaa jo ham-zabaan na mil sakaa to phir ghazal 'naqib' kyaa ki jaise andhe aadmi ke haath aaina diyaa"
Fasihullah NaqeebFasihullah Naqeeb

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari