SHAWORDS

kaDaa thaa vaqt zamaane ko aazmaate kyaa — Mohan Seerat Ajmeri

"kaDaa thaa vaqt zamaane ko aazmaate kyaa nahin thaa tel charaaghon mein ham jalaate kyaa hamaare saath zamaane ke log aate kyaa bujhe diye hain unhein raasta dikhaate kyaa nahin thi jins-e-vafaa jin ke paas aate kyaa mire nagar mein vo aa kar sadaa lagaate kyaa shikasta par hain to jakDaa hai vaqt ne ham ko havaa ke dosh pe hote to haath aate kyaa bahut se log hamein paDh rahe the ai 'sirat' khuli kitaab the lekin samajh mein aate kyaa"
Urdu

کڑا تھا وقت زمانے کو آزماتے کیا نہیں تھا تیل چراغوں میں ہم جلاتے کیا ہمارے ساتھ زمانے کے لوگ آتے کیا بجھے دیے ہیں انہیں راستہ دکھاتے کیا نہیں تھی جنس وفا جن کے پاس آتے کیا مرے نگر میں وہ آ کر صدا لگاتے کیا شکستہ پر ہیں تو جکڑا ہے وقت نے ہم کو ہوا کے دوش پہ ہوتے تو ہاتھ آتے کیا بہت سے لوگ ہمیں پڑھ رہے تھے اے سیرتؔ کھلی کتاب تھے لیکن سمجھ میں آتے کیا

Hindi

कड़ा था वक़्त ज़माने को आज़माते क्या नहीं था तेल चराग़ों में हम जलाते क्या हमारे साथ ज़माने के लोग आते क्या बुझे दिए हैं उन्हें रास्ता दिखाते क्या नहीं थी जिंस-ए-वफ़ा जिन के पास आते क्या मिरे नगर में वो आ कर सदा लगाते क्या शिकस्ता पर हैं तो जकड़ा है वक़्त ने हम को हवा के दोष पे होते तो हाथ आते क्या बहुत से लोग हमें पढ़ रहे थे ऐ 'सीरत' खुली किताब थे लेकिन समझ में आते क्या

kaḌā thā vaqt zamāne ko āzmāte kyā
M
Mohan Seerat Ajmeri
Mohan Seerat Ajmeri
poet5 quotes

More by Mohan Seerat Ajmeri

View all →
Quote
"miraa hi naqsh-e-kaf-e-paa dikhaai detaa hai tire nagar kaa ye rasta dikhaai detaa hai mire qarib se guzri hai baarhaa duniyaa bahut udaas hai aisaa dikhaai detaa hai vo tishna-lab huun ki jis ko hai justuju-e-saraab miri talaash mein dariyaa dikhaai detaa hai nigal liyaa hai mujhe vaqt ke taqaazon ne miraa vajud to parda dikhaai detaa hai yahaan sunaa hai samandar thaa kuchh dinon pahle ab ek khaak kaa sahraa dikhaai detaa hai diye hain zakhm zamaane ne sainkaDon 'sirat' diyaa jo us ne vo tanhaa dikhaai detaa hai"
M
Mohan Seerat Ajmeri
Quote
"dil to pakkaa thaa magar dil ki dalilein kachchi le girin pukhta imaarat ko fasilein kachchi aa gae rang ke dhoke mein zamaane vaale surkh phulon pe jhapaTti rahin chilein kachchi aa gai baat sar-e-bazm zabaan par dil ki tu ne honTon pe jaDin zabt ki kilein kachchi kachche angur ki ik bel badan hai us kaa aur aankhein hain mai-e-naab ki jhilein kachchi le uDe abr ke TukDon ko havaa ke jhonke suukh kar baiTh gaiin khaak mein jhilein kachchi phir palaT aaeinge 'sirat' ye junun ke mausam dhajjiyaan jeb o garebaan ki si lein kachchi"
M
Mohan Seerat Ajmeri
Quote
"alfaaz hain ye saare usi ki zabaan ke pahchaantaa huun tiir main us ki kamaan ke har buund pe gumaan thaa moti ki aab kaa aankhon mein ashk aae baDi aan-baan ke har har adaa-o-naaz ki qimat the jaan-o-dil saude bahut hi mahnge the us ki dukaan ke us ke ajab savaal the mere ajab javaab parche sabhi kharaab hue imtihaan ke gham se ziyaada aur na behtar lagaa koi unvaan sainkaDon the miri daastaan ke kis saadgi se us ne ye 'sirat' kahaa mujhe taare bhi toD sakte ho kyaa aasmaan ke"
M
Mohan Seerat Ajmeri

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari