SHAWORDS

kahtaa hai koi sun ke miri aah-e-rasaa ko — Nooh Narvi

HomeNooh NarviGhazal
"kahtaa hai koi sun ke miri aah-e-rasaa ko pahchaante hain ham bhi zamaane ki havaa ko taasir ke do hisse agar hon to mazaa hai ik meri fughaan ko mile ik teri adaa ko ham saa koi banda bhi zamaane mein na hogaa gar us ne bhulaayaa to kiyaa yaad khudaa ko santaa huun ki hai khvaahish-e-paa-bos use abhi vo piis ke rakh dein na kahin barg-e-hinaa ko ai 'nuh' abhi hai miri fariyaad unhin se jab vo na suneinge to pukaarungaa khudaa ko"
Urdu

کہتا ہے کوئی سن کے مری آہ رسا کو پہچانتے ہیں ہم بھی زمانے کی ہوا کو تاثیر کے دو حصے اگر ہوں تو مزا ہے اک میری فغاں کو ملے اک تیری ادا کو ہم سا کوئی بندہ بھی زمانے میں نہ ہوگا گر اس نے بھلایا تو کیا یاد خدا کو سنتا ہوں کہ ہے خواہش پابوس اسے ابھی وہ پیس کے رکھ دیں نہ کہیں برگ حنا کو اے نوحؔ ابھی ہے مری فریاد انہیں سے جب وہ نہ سنیں گے تو پکاروں گا خدا کو

Hindi

कहता है कोई सुन के मिरी आह-ए-रसा को पहचानते हैं हम भी ज़माने की हवा को तासीर के दो हिस्से अगर हों तो मज़ा है इक मेरी फ़ुग़ाँ को मिले इक तेरी अदा को हम सा कोई बंदा भी ज़माने में न होगा गर उस ने भुलाया तो किया याद ख़ुदा को सनता हूँ कि है ख़्वाहिश-ए-पाबोस उसे अभी वो पीस के रख दें न कहीं बर्ग-ए-हिना को ऐ 'नूह' अभी है मिरी फ़रियाद उन्हीं से जब वो न सुनेंगे तो पुकारूँगा ख़ुदा को

kahtā hai koī sun ke mirī āh-e-rasā ko
Nooh Narvi
Nooh Narvi
Nooh Narvi
poet141 quotes

More by Nooh Narvi

View all →
Quote
"aap ke dil kaa mire dil kaa nafaaz kyaa kare maqtul-o-qaatil kaa nafaaz phir gayaa mujh ko zabaan de kar koi khul gayaa yuun uupri dil kaa nafaaz jaada-e-ishq-o-vafaa mein chaahiye rahravon par shauq-e-manzil kaa nafaaz mar gae laakhon galaa khud kaaT kar allaah allaah tegh-e-qaatil kaa nafaaz ham ne paayaa ham ne dekhaa jaa-ba-jaa ishq-e-saadiq husn-e-kaamil kaa nafaaz phir gae naavak bhi un ke dekh kar mere dil mein hasrat-e-dil kaa nafaaz pahle dekh aaina ai aaina-ru jaanch phir madd-e-muqaabil kaa nafaaz paanv rakhnaa mujh ko mushkil ho gayaa thaa ye hukm-e-mir-e-mahfil kaa nafaaz jazb-e-kaamil ishq mein hai khaas chiiz ho na kyunkar jazb-e-kaamil kaa nafaaz ashk aankhon se rukein mumkin nahin dil hi tak mahdud hai dil kaa nafaaz 'nuh' gharq-e-bahr-e-ulfat ho gae kaam aayaa kuchh na saahil kaa nafaaz"
Nooh NarviNooh Narvi
Quote
"hamesha tamannaa-o-hasrat kaa jhagDaa hamesha vafaa-o-mohabbat kaa hullaD thame kyaa tabi'at ruke kis tarah dil ye aafat vo fitna ye aandhi vo jhakkaD jo raaz-e-mohabbat ko jaanegaa koi to ye jaan le vo machaa degaa gaDbaD nazar ki tarah baDh nazar ki tarah ruk nazar ki tarah mil nazar ki tarah laD mire dil ke haathon se bahr-e-vafaa mein miri zindagi mein na ho jaae gaDbaD kabhi kasrat-e-ranj-o-gham kaa thapeDaa kabhi josh-e-ummid-o-hasrat ki ojhaD kahaan main huun aisaa ki tu mehrbaan ho kahaan qismat aisi ki aasaan ho mushkil agar aur gaahak nahin koi teraa to ai khanjar-e-naaz mere gale paD bashar kyaa farishte jo piTein DhinDhoraa to kyuun kar chhupe raaz kam-bakht dil kaa idhar aah nikli hamaari zabaan se udhar mach gayaa saari duniyaa mein hullaD sar-e-ham-sari husn-o-naaz-o-adaa mein na rakhtaa thaa koi na rakkhegaa koi tiraa 'aks-e-aaina hai aur tu hai jo laDnaa hai tujh ko to apne hi se laD bahaar-e-javaani hayaat-e-javaani na ye ghair-faani na vo ghair-faani urus-e-chaman kaa utartaa hai gahnaa khizaan ke zamaane mein hoti hai patjhaD hazaaron mare hain hazaaron mare hain hazaaron mareinge hazaaron miTeinge vo insaan nahin us ko samjho farishta jo bardaasht kar le mohabbat ki ojhaD vo 'arz-e-tamannaa ko fariyaad samjhe vo fariyaad ko gham ki rudaad samjhe zaraa si miri baat thi lekin us kaa huaa rafta rafta kahaan tak batangaD udhar 'aish-o-'ishrat idhar yaas-o-hasrat jahaan vaale dekhein jahaan ki do-rangi kahin koi paiham bachaataa hai baghlein koi piTtaa hai kahin sar dhaDaa-dhaD mohabbat ne chhoDaa ye turfa shagufa bahaar-e-javaani bhi dil ne na dekhi abhi phulne-phalne ke din kahaan the magar kaT gai nakhl-e-ummid ki jaD jo ik jang-ju idraak sulh-ju ho to jhagDaa na uTThe bakheDaa na uThe dil-o-dil-rubaa mein nibhe kyaa mohabbat udhar vo bhi ziddi idhar ye bhi akkhaD kiye saikDon ahd-o-paimaan-e-ulfat magar khair se koi sachchaa na niklaa vo kahte hain milne ko ab hashr ke din kahin ho na jaae kuchh us din bhi gaDbaD muqaddar mein likkhaa thaa hun kar bigaDnaa koi kyuun na martaa koi kyuun na uThtaa zamin-doz ahl-e-zamin ho gae sab paDi aasmaan se vo sar par do-hatthaD jo naavak chale aur talvaar nikli to qaaem rahaa main hi 'ahd-e-vafaa par kisi ne kisi ko bhi phir kar na dekhaa paDi imtihaan-ghar mein kuchh aisi bhaagaD samajhte hain aaghaaz-o-anjaam apnaa mah-o-mehr kyaa aaeinge tere aage idhar se udhar un kaa phir jaaegaa munh lagaaegi sharmindagi aisaa thappaD khayaal-o-tasavvur mein hargiz na laanaa hansi dil-lagi mein hamesha uDaanaa mire daav-e-ishq ki qadr kyaa ho vo is ko samajhte hain majzub ki baD jahaan dekhtaa huun vahaan dekhtaa huun jidhar dekhtaa huun udhar dekhtaa huun mohabbat ki shorish mohabbat ki udham mohabbat kaa ghaughaa mohabbat kaa hullaD mazaa jab hai aapas mein kuchh jang bhi ho mazaa jang mein jab hai kuchh sulh bhi ho dikhaa de talavvun kaa apne tamaashaa idhar laD udhar mil idhar mil udhar laD bahaayaa mazaamin kaa tum ne dariyaa ghazal mein bahut khuub ash'aar likkhe zamaane ko ai 'nuh' hairat na kyuun ho ki tufaan aisaa zamin aisi gaDbaD"
Nooh NarviNooh Narvi
Quote
"dil hamaari taraf se saaf karo jo huaa vo huaa muaaf karo ahl-e-gulshan bahaar aa pahunchi khaar-o-khas se chaman ko saaf karo jab sitam hogaa phir karam ke baad to karam se mujhe muaaf karo mujh se kahti hai us ki shaan-e-karam tum gunaahon kaa e'tiraaf karo ye bhi aadat mein koi aadat hai jo kaho us ke bar-khilaaf karo kyuun bujhaao paheliyaan be-kaar guftugu mujh se saaf saaf karo ek do tiin chaar paanch nahin sab khataaein miri muaaf karo husn un ko ye raae detaa hai kaam ummid ke khilaaf karo hazrat-e-dil yahi hai dair-o-haram mahfil-e-yaar kaa tavaaf karo tum sazaa do magar ba-hasb-e-qusur main ye kahtaa nahin muaaf karo is mein bhi shaan paai jaati hai ho koi baat inhiraaf karo sakht-jaanon kaa qatl khel nahin kuchh dinon aur haath saaf karo tum ko qahr-e-karam-numaa ki qasam faisla mere bar-khilaaf karo khulte hain dil ke itne hi jauhar jitnaa is aaine ko saaf karo dil mein hain khaar-e-aarzu laakhon aao kaanTon se ghar ko saaf karo tur-e-sinaa ki samt jaaein kalim 'nuh' tum sair-e-koh-e-qaaf karo"
Nooh NarviNooh Narvi
Quote
"koi us sitamgar ko aagaah kar de ki baaz aae aazaar dene se jhaT-paT udhar ki idhar aaj hoti hai duniyaa mariz-e-mohabbat badaltaa hai karvaT kabhi parda-daari kabhi khud-numaai kabhi kuchh rukaavaT kabhi kuchh lagaavaT tumhaari ye chaaron adaaein ghazab hain ye chaaron kareingi hazaaron ko chaupaT qayaamat na uTThe ki uTThe jahaan mein magar bil-yaqin main to uTThungaa jhaT-paT tah-e-qabr jis vaqt mujh ko milegi sar-e-qabr kuchh un ke qadmon ki aahaT koi kis tarah is ko taslim kar le ki donon akele basar kar rahe hain tire gird teri adaaon kaa majma' miri hasraton kaa mire paas jamghaT khudaa jaane aapas mein kyaa pesh aae ye taakhir-o-taajil kyaa rang laae hamaaraa iraada ki fauran na dein dil tumhaari tamannaa ki mil jaae jhaT-paT kahaan lutf-e-bazm-e-masarrat uThaayaa kahaan daur-e-pur-kaif guzre nazar se mai-e-naab auron ke hisse mein aai hamaare muqaddar mein thi sirf talchhaT udhar vo bhi sargarm-e-zulm-o-jafaa hai idhar ham bhi masruf-e-aah-o-bukaa hain kahin baDhte baDhte na baDh jaae jhagDaa kahin hote hote na ho jaae khaTpaT ye kyuun hai taammul ye kyuun hai tavaqquf ye inkaar kyaa hai ye aghmaaz kyaa hai laDaao bhi aankhein milaao bhi nazrein dikhaao bhi mukhDaa uThaao bhi ghunghaT bahut kuchh chhupaayaa bahut kuchh bachaayaa magar pesh-bandi na kuchh kaam aai kiye khanjar-e-naaz ne chaar TukDe bil-aakhir huaa dil mohabbat mein chaupaT mohabbat mein ye jhiDkiyaan bhi 'abas hain ye har vaqt ki dhamkiyaan bhi 'abas hain karam ho ki mujh par sitam ho tumhaaraa na uTThungaa dar se na chhoDungaa chaukhaT bayaan-e-tamannaa sunaa aur sun kar baDi der se ghaur farmaa rahe hain na aaeinge yaa mere ghar aa gae vo jo honaa ho irshaad ho jaae jhaT-paT sitam bhi uThaae hazaaron tarah ke balaaein bhi jhelin hazaaron tarah ki huaa tajraba ham ko ye dil lagaa kar hasinon se dil kaa lagaanaa hai jhanjhaT tire 'ishq mein kyuun na main dil ko rouun jigar ke liye kyuun na main aah khinchun shab-o-roz ki mukhtalif aafaton ne ise kar diyaa chit use kar diyaa paT banaa ghairat-e-aaina dil hamaaraa ghubaar aae kyuun kar kudurat rahe kyaa masal hai vo khas-kam jahaan paak vaali na is ghar mein kuuDaa na us ghar mein karkaT mohabbat ke raste mein ai shauq-e-manzil milegaa 'ajab lutf paa-e-talab ko udhar khaar hain aur idhar aable hain agar nazr haan vo hain to ye hain munh-phaT tire 'ishq mein chain se kyaa rahun main tire 'ishq mein jab na de chain mujh ko nazar kaa palaTnaa zabaan kaa badalnaa muqaddar ki gardish zamaane ki karvaT ye ai 'nuh' kis ne tumhein raae di thi ki tufaan uThaao zamin-daar ho kar ab achchhaa tamaashaa nazar aa rahaa hai tah-e-aab khaataa sar-e-aab khevaT"
Nooh NarviNooh Narvi
Quote
"vo kahte hain aao miri anjuman mein magar main vahaan ab nahin jaane vaalaa ki aksar bulaayaa bulaa kar biThaayaa biThaa kar uThaayaa uThaa kar nikaalaa nashaat-o-alam ke safed-o-siyah ne hamaari nigaahon ko hairat mein Daalaa idhar raushni hai udhar tirgi hai kahin hai andheraa kahin hai ujaalaa miraa dard puchhaa miraa haal dekhaa mire dil kaa armaan tum ne nikaalaa khudaa aur bhi de ziyaada maraatib sivaa aur is se bhi ho bol-baalaa paDi niiv aapas mein go dosti ki magar dosti kis tarah nibh sakegi use hai nazaakat mujhe hai naqaahat na vo aane vaalaa na main jaane vaalaa shivaale ki jaanib qadam kyuun baDhaaun nazar kis liye su-e-masjid uThaaun idhar kah rahaa hai udhar sun rahaa hai koi kahne vaalaa koi sunne vaalaa hamin par huiin kyaa hazaaron jafaaein hazaaron par aaiin hazaaron balaaein zamaane mein koi sanbhalne na paayaa kisi shokh ne hosh jab se sambhaalaa vo aae the pahlu mein behosh thaa main hui hogi dil par bahut kuchh navaazish magar kyaa khabar mujh ko allaah jaane tamannaa nikaali ki kaanTaa nikaalaa hazaaron balaa-nosh idhar bhi udhar bhi mili itni fursat kahaan mai-kade mein rahaa kaam piine pilaane se sab ko na dhoi suraahi na saaghar khangaalaa mohabbat ke jogi sitam ke birogi vafaa ke bhikaari jafaa ke pujaari jahaan dekh paate hain jalva buton kaa bichhaate hain apnaa vahin mirg-chhaalaa churaa le gayaa koi dil bhi jigar bhi uDaa le gayaa koi sabr-o-sukun bhi yaqin hai tamannaa nikalte nikalte nikal jaaegaa aashiqon kaa divaalaa vatan se nikal kar akele chale the magar khush-yaqini ke qurbaan jaaein milaa dasht-e-ghurbat mein ik ik qadam par hamein ik na ik jaan-pahchaan vaalaa fughaan ki bhi imdaad haasil karun main mohabbat ko bhi kuchh tavajjoh dilaaun bharam jazb-e-dil kaa nikalne na paae nikal aae parde se vo parde vaalaa ghazab Dhaa gaiin sidhi-saadi adaaein sitam kar gaiin tirchhi baanki nigaahein yahi shor uTThaa jidhar se vo guzre mujhe maar Daalaa mujhe maar Daalaa idhar tuur par ghash mein muusaa paDe hain udhar haatif-e-ghaib ye kah rahaa hai zaraa kholiye aap aankhein to apni qarib aa gayaa dekhiye duur vaalaa ye matlab thaa armaan us ke na niklein jo taDpein to kuchh aur pechidgi ho mire khaana-e-dil mein ranj-o-alam ne tanaa har taraf khuub makDi kaa jaalaa tumhaaraa sanaa-khvaan tumhaaraa duaa-go tumhaaraa fidaai tumhaaraa salaami ye kyaa kah diyaa us ne vaaqif nahin ham vahi haan vahi 'nuh' tufaan vaalaa"
Nooh NarviNooh Narvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari