SHAWORDS

khalaa ke dasht se ab rishta apnaa qata karun — Ghazanfar

HomeGhazanfarGhazal
"khalaa ke dasht se ab rishta apnaa qata karun safar tavil hai behtar hai ghar ko lauT chalun buland hotaa hai jab jab bhi shor naalon kaa khayaal aataa hai dil mein ki main bhi chikh paDun tumhaare hote hue log kyuun bhaTakte hain kahin pe khizr nazar aae to savaal karun maaal jo bhi ho jis tarah bhi kaTe ye umr tumhaare naaz uThaaun tumhaare ranj sahun adhuri an-kahi be-rabt daastaan-e-hayaat lahu se likh nahin saktaa to aansuon se likhun"
Urdu

خلا کے دشت سے اب رشتہ اپنا قطع کروں سفر طویل ہے بہتر ہے گھر کو لوٹ چلوں بلند ہوتا ہے جب جب بھی شور نالوں کا خیال آتا ہے دل میں کہ میں بھی چیخ پڑوں تمہارے ہوتے ہوئے لوگ کیوں بھٹکتے ہیں کہیں پہ خضر نظر آئے تو سوال کروں مآل جو بھی ہو جس طرح بھی کٹے یہ عمر تمہارے ناز اٹھاؤں تمہارے رنج سہوں ادھوری ان کہی بے ربط داستان حیات لہو سے لکھ نہیں سکتا تو آنسوؤں سے لکھوں

Hindi

ख़ला के दश्त से अब रिश्ता अपना क़त्अ करूँ सफ़र तवील है बेहतर है घर को लौट चलूँ बुलंद होता है जब जब भी शोर नालों का ख़याल आता है दिल में कि मैं भी चीख़ पड़ूँ तुम्हारे होते हुए लोग क्यूँ भटकते हैं कहीं पे ख़िज़्र नज़र आए तो सवाल करूँ मआल जो भी हो जिस तरह भी कटे ये उम्र तुम्हारे नाज़ उठाऊँ तुम्हारे रंज सहूँ अधूरी अन-कही बे-रब्त दास्तान-ए-हयात लहू से लिख नहीं सकता तो आँसुओं से लिखूँ

ḳhalā ke dasht se ab rishta apnā qat.a karūñ
Ghazanfar
Ghazanfar
Ghazanfar
poet27 quotes

More by Ghazanfar

View all →
Quote
"ajiib shakhs hai pahle mujhe hansaataa hai phir is ke baad bahut der tak rulaataa hai vo bevafaa hai hamesha hi dil dukhaataa hai magar ye kyaa ki vahi ek ham ko bhaataa hai vo hosh gosh kaa insaan hai phir bhi sahraa mein kisi divaane ki surat sadaa lagaataa hai khizar to aate nahin hain mire kharaabe mein ye kaun hai jo mujhe raasta dikhaataa hai har ek raat kahin duur bhaag jaataa huun har ek subh koi mujh ko khinch laataa hai kabhi vo mujh ko uDaataa hai aasmaanon mein kabhi zamin pe laa kar mujhe giraataa hai"
GhazanfarGhazanfar
Quote
"kai aise bhi raste mein hamaare moD aate hain ki ghar aate hue apne ko aksar chhoD aate hain hamein rishton se kyaa matlub hai aakhir ki rozaana kisi se toD aate hain kisi se joD aate hain na jaane kis tarah bistar mein ghus kar baiTh jaati hain vo aavaazein jinhein ham roz baahar chhoD aate hain koi to maslahat hogi ki ham khaamosh baiThe hain hamein bhi varna un ke ToTkon ke toD aate hain chubhan sahte hain un ki par unhein khulne nahin dete hamaare darmiyaan aise bhi kuchh gaTh-joD aate hain"
GhazanfarGhazanfar
Quote
"taariki mein nuur kaa manzar suraj mein shab dekhoge jis din tum aankhein khologe duniyaa ko jab dekhoge dhire dhire har jaanib sannaaTaa saa chhaa jaaegaa so jaaeingi rafta rafta aavaazein sab dekhoge khambe saare TuuT chuke hain chhappar girne vaalaa hai buniyaadon par jiine vaalo uupar tum kab dekhoge shaayad tum bhi mere jaise ho jaaoge aankhon se sahme chehre gung zabaanein zard badan jab dekhoge vo to baazigar hain un kaa maqsad khel dikhaanaa hai tum to farzaane ho saahib kab tak kartab dekhoge pahle to sarsabz rahoge phir piile paD jaaoge jis din tum bhi rang-nagar mein surkh koi lab dekhoge baiThe baiThe ghar mein yuun hi pal pal ghuT ghuT marnaa hai yaa nikaloge ghar aangan se jiine kaa Dhab dekhoge kal tak jo shaffaaf the chehre aavaazon se khaali the aaDi-tirchhi surkh lakirein un par bhi ab dekhoge khambe to ye gaaD chuke hain rassi bhi ab taaneinge ye bhi khel hi khuleinge in ke bhi kartab dekhoge"
GhazanfarGhazanfar
Quote
"kabhi to muund lein aankhein kabhi nazar kholein kisi tarah se koi raushni kaa dar kholein havaaein sard hain uupar se tez baarish hai parind kaise bhalaa apne baal-o-par kholein hamaare saamne ab aisaa vaqt aa pahunchaa ki ham dimaagh ko baandhein dil-o-jigar kholein bajaae aab ho shoraab se numu jin ki vo peD kaise baDhein kaise barg-o-bar kholein yaqin kaise dilaaein vafaa-shiaari kaa dilon ko chaak karein yaa ki ham jigar kholein nahin hai kuchh bhi magar dil ye chaahtaa hai bahut ki ek roz zaraa chal ke apnaa ghar kholein har ek samt hai divaar sar uThaae hue koi bataae ki ham khiDkiyaan kidhar kholein har ek aankh ki putli hai motiyaa ki shikaar kise kamaal dikhaaein kahaan hunar kholein"
GhazanfarGhazanfar

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil