"mire ahbaab jo kuchh mere baare mujh se kahte hain main us par kuchh nahin kahtaa to saare mujh se kahte hain zaraa Thahro abhi ummid kaa daaman nahin chhoDo main raushan hone vaalaa huun sitaare mujh se kahte hain vo do aankhein samundar hain tum un mein kyon utarte ho koi puchhe to kahtaa huun kinaare mujh se kahte hain mujhe ik mehrbaan ne khaamushi sunnaa sikhaayaa to jinhein bhi un kaa khaali-pan pukaare mujh se kahte hain mujhe lagtaa hai jaise main koi autaar utraa huun Duboe yaa unhein koi ubhaare mujh se kahte hain hamein bhi to nai tahzib ke pannon mein rahne do patangein kaaghazi kashti ghubaare mujh se kahte hain"
khud se rahtaa hai ikhtilaaf mujhe — Altaf Babar
"khud se rahtaa hai ikhtilaaf mujhe main bhi kartaa nahin muaaf mujhe tum mire saamne nahin aanaa kah diyaa main ne saaf saaf mujhe ye saraapaa ye khaal-o-khad tere kar rahe hain mire khilaaf mujhe lams bhi chaahtaa huun hiddat bhi dijiye jism kaa lihaaf mujhe tum faqat jism Dhaanp sakte ho chaahiye ruuh kaa ghilaaf mujhe kyunki izhaar-e-shauq kar baiThaa Das rahaa hai vo e'tiraaf mujhe ek duniyaa hai naaf ke uupar ek duniyaa hai zer-e-naaf mujhe"
خود سے رہتا ہے اختلاف مجھے میں بھی کرتا نہیں معاف مجھے تم مرے سامنے نہیں آنا کہہ دیا میں نے صاف صاف مجھے یہ سراپا یہ خال و خد تیرے کر رہے ہیں مرے خلاف مجھے لمس بھی چاہتا ہوں حدت بھی دیجئے جسم کا لحاف مجھے تم فقط جسم ڈھانپ سکتے ہو چاہئے روح کا غلاف مجھے کیونکہ اظہار شوق کر بیٹھا ڈس رہا ہے وہ اعتراف مجھے ایک دنیا ہے ناف کے اوپر ایک دنیا ہے زیر ناف مجھے
ख़ुद से रहता है इख़्तिलाफ़ मुझे मैं भी करता नहीं मुआ'फ़ मुझे तुम मिरे सामने नहीं आना कह दिया मैं ने साफ़ साफ़ मुझे ये सरापा ये ख़ाल-ओ-ख़द तेरे कर रहे हैं मिरे ख़िलाफ़ मुझे लम्स भी चाहता हूँ हिद्दत भी दीजिए जिस्म का लिहाफ़ मुझे तुम फ़क़त जिस्म ढाँप सकते हो चाहिए रूह का ग़िलाफ़ मुझे क्यूँकि इज़हार-ए-शौक़ कर बैठा डस रहा है वो ए'तिराफ़ मुझे एक दुनिया है नाफ़ के ऊपर एक दुनिया है ज़ेर-ए-नाफ़ मुझे

More by Altaf Babar
View all →"samundar ko sahaaraa kar liyaa hai kinaaron se kinaaraa kar liyaa hai garebaan chaak thaa pahle hi apnaa jigar bhi paara-paara kar liyaa hai tiri divaar ke saae ko ham ne safar kaa istiaara kar liyaa hai shab-e-hijraan tiri vaabastagi ko muqaddar kaa sitaara kar liyaa hai bahut mushkil thaa tere baad jiinaa magar phir bhi guzaaraa kar liyaa hai mire hisse mein raaegaaniyaan hain kai baar istikhaara kar liyaa hai"
"naqsh-e-paa us kaa zer-e-zamin rah gayaa main falak tak bichhaataa jabin rah gayaa is kaa matlab main saae ke hamraah thaa shaam phaili to kuchh bhi nahin rah gayaa vaqt ne ek pal ki bhi mohlat na di jo jahaan thaa vahin kaa vahin rah gayaa meri taamir par ik nazar aur bhi ek nukta mire nukta-chin rah gayaa us ko jaanaa thaa vo chal diyaa chhoD kar mujh ko achchhaa lagaa main yahin rah gayaa ai mire dida-var tu bataa kaise main bad-gumaan rah gayaa be-yaqin rah gayaa"
"baankpan khul na sakaa paD gai tasvir pe khaak khaak hasrat pe miri sabr ki jaagir pe khaak jaan jaati to mohabbat kaa bharam rah jaataa surkh-ru ho na sakaa khaae hue tiir pe khaak chand alfaaz ki tartib ko kahte ho ghazal aise alfaaz ki tartib pe tahrir pe khaak khvaab dekhaa hai ki pahlu mein kinaara-kash ho khaak us khvaab pe us khvaab ki taabir pe khaak main falak-bos na ho paayaa kisi bhi fan mein khaam buniyaad pe rakkhi miri taamir pe khaak"
"ai maqsad-e-hayaat mujhe raasta dikhaa sun le guzaarishaat mujhe raasta dikhaa sadiyon se meri zaat ke andar chhupi hui kahne lagi hai raat mujhe raasta dikhaa dil hai yaa koi sang-sifat aaina hai ye TuuTe ye somnaat mujhe raasta dikhaa dil hai tumhaare khvaab ki aaghosh mein kahin mahv-e-tasavvuraat mujhe raasta dikhaa ab tak to aa gayaa huun sahaaraa liye baghair aage hain mushkilaat mujhe raasta dikhaa bakhsho miri hayaat ko ik raasta nayaa yaa phir nai hayaat mujhe raasta dikhaa 'baabar' ulajh gayaa hai tumhaari talaash mein ai rabb-e-kaainaat mujhe raasta dikhaa"
"main karaamaat par nahin aaya vo miri baat par nahin aaya bad-gumaani bharaa miraa siina kabhi isbaat par nahin aaya aaine kaa javaab sun kar bhi apni auqaat par nahin aaya main tiri samt aane vaalaa thaa chand shubhaat par nahin aaya shukr kar main javaab detaa rahaa khud savaalaat par nahin aaya ek duniyaa luTaa ke aaya huun ji main khairaat par nahin aaya main darogha se roz puchhtaa huun vo mulaaqaat par nahin aaya"