SHAWORDS

manzar-e-shaam-e-alam bhi nahin dekhe jaate — Akhtar Wajidi

HomeAkhtar WajidiGhazal
"manzar-e-shaam-e-alam bhi nahin dekhe jaate kyaa sitam hai ki sitam bhi nahin dekhe jaate ahl-e-gham apni tabiat se hain majbur bahut tere andaaz-e-karam bhi nahin dekhe jaate itni ujlat se jabin jhukti hai sajde ke liye aankh se naqsh-e-qadam bhi nahin dekhe jaate kam-nigaahi bhi musibat hai sharifon ke liye band muTThi ke bharam bhi nahin dekhe jaate tabsira karte hain kyon log miri haalat par jaane kyon un ke karam bhi nahin dekhe jaate un ki manzil ki taraf baDhte hain jis dam 'akhtar' raah mein dair-o-haram bhi nahin dekhe jaate"
Urdu

منظر شام الم بھی نہیں دیکھے جاتے کیا ستم ہے کہ ستم بھی نہیں دیکھے جاتے اہل غم اپنی طبیعت سے ہیں مجبور بہت تیرے انداز کرم بھی نہیں دیکھے جاتے اتنی عجلت سے جبیں جھکتی ہے سجدے کے لئے آنکھ سے نقش قدم بھی نہیں دیکھے جاتے کم نگاہی بھی مصیبت ہے شریفوں کے لئے بند مٹھی کے بھرم بھی نہیں دیکھے جاتے تبصرہ کرتے ہیں کیوں لوگ مری حالت پر جانے کیوں ان کے کرم بھی نہیں دیکھے جاتے ان کی منزل کی طرف بڑھتے ہیں جس دم اخترؔ راہ میں دیر و حرم بھی نہیں دیکھے جاتے

Hindi

मंज़र-ए-शाम-ए-अलम भी नहीं देखे जाते क्या सितम है कि सितम भी नहीं देखे जाते अहल-ए-ग़म अपनी तबीअ'त से हैं मजबूर बहुत तेरे अंदाज़-ए-करम भी नहीं देखे जाते इतनी उजलत से जबीं झुकती है सज्दे के लिए आँख से नक़्श-ए-क़दम भी नहीं देखे जाते कम-निगाही भी मुसीबत है शरीफ़ों के लिए बंद मुट्ठी के भरम भी नहीं देखे जाते तब्सिरा करते हैं क्यों लोग मिरी हालत पर जाने क्यों उन के करम भी नहीं देखे जाते उन की मंज़िल की तरफ़ बढ़ते हैं जिस दम 'अख़्तर' राह में दैर-ओ-हरम भी नहीं देखे जाते

manzar-e-shām-e-alam bhī nahīñ dekhe jaate
A
Akhtar Wajidi
Akhtar Wajidi
poet9 quotes

More by Akhtar Wajidi

View all →
Quote
"nahin milte jahaan mein zakhm-e-pinhaan dekhne vaale bahut mil jaaeinge chaak-e-garebaan dekhne vaale khudaa jaane ye kyaa taasir hai zulf-e-pareshaan mein pareshaan hain tiri zulf-e-pareshaan dekhne vaale nazar ke hosh uD jaate hain baaz-auqaat ujaale mein nazar rakkhein andhere mein charaaghaan dekhne vaale tumhein tufaan se kyaa nisbat tumhein saahil pe rahnaa hai salaamat hain abhi ham zor-e-tufaan dekhne vaale yahaan insaaniyat ki nabz hai bechain rukne ko khudaa jaane kahaan hain nabz-e-dauraan dekhne vaale dil-e-pur-dard mein kuchh daagh raushan ham bhi rakhte hain idhar aaein zaraa bazm-e-charaaghaan dekhne vaale tasavvur mein safar nazron kaa kis se tai huaa 'akhtar' kahaan hain un ko nazdik-e-rag-e-jaan dekhne vaale"
A
Akhtar Wajidi
Quote
"majbur-e-shab ko subh kaa mukhtaar dekh kar hairaan hai aql vaqt ki raftaar dekh kar bimaar ko hai aap ke aane kaa intizaar sab ro rahe hain haalat-e-bimaar dekh kar ahbaab ki tasalliyaan khud zakhm ban gaiin ghabraa rahaa huun kasrat-e-gham-khvaar dekh kar anjaam-e-fasl-e-gul pe hai meri nigaah dost khuun ro rahaa huun rang-e-chaman-zaar dekh kar kis ne falak kaa chaand zamin par bichhaa diyaa aaya khayaal rahguzar-e-yaar dekh kar shabnam ho jaise daaman-e-nargis mein khanda-zan samjhaa main un ki chashm-e-guhar-baar dekh kar phir mere ghaur-o-fikr ki qismat jagaa bhi de muddat hui hai tujh ko ziyaa-baar dekh kar 'akhtar' sukun-e-dil ke sivaa thi har ek shai ham lauT aae raunaq-e-baazaar dekh kar"
A
Akhtar Wajidi
Quote
"gham tabassum mein jo Dhal jaataa hai gham kaa mafhum badal jaataa hai ham ne dekhaa hai yahi har haasid apni hi aag mein jal jaataa hai koi maqsad ho ravaabit kaa agar rabt har rukh se badal jaataa hai aur ho jaataa hai ehsaas shadid naghma jab dard mein Dhal jaataa hai zindagi kyaa tire divaane ki daaman-e-gham mein bhi pal jaataa hai ab na farmaaiye taakhir-e-karam dekhiye vaqt nikal jaataa hai us taraqqi ko salaam ai 'akhtar' jis mein sab lutf-e-ghazal jaataa hai"
A
Akhtar Wajidi