"subh-e-nau koi dam mein jagmagaane vaali hai raat se na ghabraao raat jaane vaali hai baaghbaan ke tevar se jhaankte hain andeshe fasl-e-gul na jaane kyaa gul khilaane vaali hai kitne haadson ko ham kar chuke hain sharminda zindagi hamein kab tak aazmaane vaali hai zindagi ko nafrat kaa zahr kyon pilaate ho zindagi mohabbat ke giit gaane vaali hai un ki chashm-e-mast 'akhtar' tishnigaan-e-ulfat ko mast karne vaali hai ras pilaane vaali hai"
kyaa kuchh milaa na ham ko mahrumi-e-nazar se — Akhtar Wajidi
"kyaa kuchh milaa na ham ko mahrumi-e-nazar se kuchh daav mustanad se kuchh zakhm mo'atabar se chheDo na saaz dil kaa sahmi hui nazar se baDhti hai be-qaraari taskin-e-mukhtasar se kitni badal gai hain insaaniyat ki qadrein ham zindagi ke haathon khud zindagi ko tarse kitni buland himmat hain zindagi ki nazrein Takraa rahi hain baDh kar ab vaqt ki nazar se kaam aai apne 'akhtar' divaangi khud apni bach bach ke chal rahe hain har ek ki nazar se"
کیا کچھ ملا نہ ہم کو محرومیٔ نظر سے کچھ داؤ مستند سے کچھ زخم معتبر سے چھیڑو نہ ساز دل کا سہمی ہوئی نظر سے بڑھتی ہے بے قراری تسکین مختصر سے کتنی بدل گئی ہیں انسانیت کی قدریں ہم زندگی کے ہاتھوں خود زندگی کو ترسے کتنی بلند ہمت ہیں زندگی کی نظریں ٹکرا رہی ہیں بڑھ کر اب وقت کی نظر سے کام آئی اپنے اخترؔ دیوانگی خود اپنی بچ بچ کے چل رہے ہیں ہر ایک کی نظر سے
क्या कुछ मिला न हम को महरूमी-ए-नज़र से कुछ दाव मुस्तनद से कुछ ज़ख़्म मो'तबर से छेड़ो न साज़ दिल का सहमी हुई नज़र से बढ़ती है बे-क़रारी तस्कीन-ए-मुख़्तसर से कितनी बदल गई हैं इंसानियत की क़द्रें हम ज़िंदगी के हाथों ख़ुद ज़िंदगी को तरसे कितनी बुलंद हिम्मत हैं ज़िंदगी की नज़रें टकरा रही हैं बढ़ कर अब वक़्त की नज़र से काम आई अपने 'अख़्तर' दीवानगी ख़ुद अपनी बच बच के चल रहे हैं हर एक की नज़र से
More by Akhtar Wajidi
View all →"hayaat aaj giraan ho gai sabhi ke liye taras rahaa hai har insaan zindagi ke liye nashaat-e-zist ki takmil ho nahin sakti tumhaaraa dard zaruri hai zindagi ke liye riyaa numud-o-numaaish kahaan ibaadat mein khulus-e-qalb zaruri hai bandagi ke liye agar hon qalb mein ehsaas ke diye raushan bahut se raaste milte hain shaaeri ke liye sukhanvaraan-e-dakan muttafiq hain sab 'akhtar' ‘safi' ghazal ke liye thaa ghazal ‘safi' ke liye"
"nahin milte jahaan mein zakhm-e-pinhaan dekhne vaale bahut mil jaaeinge chaak-e-garebaan dekhne vaale khudaa jaane ye kyaa taasir hai zulf-e-pareshaan mein pareshaan hain tiri zulf-e-pareshaan dekhne vaale nazar ke hosh uD jaate hain baaz-auqaat ujaale mein nazar rakkhein andhere mein charaaghaan dekhne vaale tumhein tufaan se kyaa nisbat tumhein saahil pe rahnaa hai salaamat hain abhi ham zor-e-tufaan dekhne vaale yahaan insaaniyat ki nabz hai bechain rukne ko khudaa jaane kahaan hain nabz-e-dauraan dekhne vaale dil-e-pur-dard mein kuchh daagh raushan ham bhi rakhte hain idhar aaein zaraa bazm-e-charaaghaan dekhne vaale tasavvur mein safar nazron kaa kis se tai huaa 'akhtar' kahaan hain un ko nazdik-e-rag-e-jaan dekhne vaale"
"majbur-e-shab ko subh kaa mukhtaar dekh kar hairaan hai aql vaqt ki raftaar dekh kar bimaar ko hai aap ke aane kaa intizaar sab ro rahe hain haalat-e-bimaar dekh kar ahbaab ki tasalliyaan khud zakhm ban gaiin ghabraa rahaa huun kasrat-e-gham-khvaar dekh kar anjaam-e-fasl-e-gul pe hai meri nigaah dost khuun ro rahaa huun rang-e-chaman-zaar dekh kar kis ne falak kaa chaand zamin par bichhaa diyaa aaya khayaal rahguzar-e-yaar dekh kar shabnam ho jaise daaman-e-nargis mein khanda-zan samjhaa main un ki chashm-e-guhar-baar dekh kar phir mere ghaur-o-fikr ki qismat jagaa bhi de muddat hui hai tujh ko ziyaa-baar dekh kar 'akhtar' sukun-e-dil ke sivaa thi har ek shai ham lauT aae raunaq-e-baazaar dekh kar"
"gham tabassum mein jo Dhal jaataa hai gham kaa mafhum badal jaataa hai ham ne dekhaa hai yahi har haasid apni hi aag mein jal jaataa hai koi maqsad ho ravaabit kaa agar rabt har rukh se badal jaataa hai aur ho jaataa hai ehsaas shadid naghma jab dard mein Dhal jaataa hai zindagi kyaa tire divaane ki daaman-e-gham mein bhi pal jaataa hai ab na farmaaiye taakhir-e-karam dekhiye vaqt nikal jaataa hai us taraqqi ko salaam ai 'akhtar' jis mein sab lutf-e-ghazal jaataa hai"
"manzar-e-shaam-e-alam bhi nahin dekhe jaate kyaa sitam hai ki sitam bhi nahin dekhe jaate ahl-e-gham apni tabiat se hain majbur bahut tere andaaz-e-karam bhi nahin dekhe jaate itni ujlat se jabin jhukti hai sajde ke liye aankh se naqsh-e-qadam bhi nahin dekhe jaate kam-nigaahi bhi musibat hai sharifon ke liye band muTThi ke bharam bhi nahin dekhe jaate tabsira karte hain kyon log miri haalat par jaane kyon un ke karam bhi nahin dekhe jaate un ki manzil ki taraf baDhte hain jis dam 'akhtar' raah mein dair-o-haram bhi nahin dekhe jaate"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"