SHAWORDS

mere hisse ki udaasi mujhe lauTaa denaa — Wafa Naqvi

HomeWafa NaqviGhazal
"mere hisse ki udaasi mujhe lauTaa denaa jaa rahe ho to mujhe koi to tohfa denaa ek qatra bhi miri pyaas bujhaa saktaa hai main ne kab tum se kahaa hai mujhe dariyaa denaa mere sahraa mujhe honaa hai andheron ke khilaaf jis mein suraj bhi chalaa aae vo khema denaa kaun laaegaa kisi pyaas ke sajde kaa javaab ai khudaa dasht na ab karb-o-balaa saa denaa ek tinkaa na nikaalegaa bhanvar se mujh ko main samundar se ye kahtaa huun safina denaa"
Urdu

میرے حصے کی اداسی مجھے لوٹا دینا جا رہے ہو تو مجھے کوئی تو تحفہ دینا ایک قطرہ بھی مری پیاس بجھا سکتا ہے میں نے کب تم سے کہا ہے مجھے دریا دینا میرے صحرا مجھے ہونا ہے اندھیروں کے خلاف جس میں سورج بھی چلا آئے وہ خیمہ دینا کون لائے گا کسی پیاس کے سجدے کا جواب اے خدا دشت نہ اب کرب و بلا سا دینا ایک تنکا نہ نکالے گا بھنور سے مجھ کو میں سمندر سے یہ کہتا ہوں سفینہ دینا

Hindi

मेरे हिस्से की उदासी मुझे लौटा देना जा रहे हो तो मुझे कोई तो तोहफ़ा देना एक क़तरा भी मिरी प्यास बुझा सकता है मैं ने कब तुम से कहा है मुझे दरिया देना मेरे सहरा मुझे होना है अँधेरों के ख़िलाफ़ जिस में सूरज भी चला आए वो ख़ेमा देना कौन लाएगा किसी प्यास के सज्दे का जवाब ऐ ख़ुदा दश्त न अब कर्ब-ओ-बला सा देना एक तिनका न निकालेगा भँवर से मुझ को मैं समुंदर से ये कहता हूँ सफ़ीना देना

mere hisse kī udāsī mujhe lauTā denā
Wafa Naqvi
Wafa Naqvi
Wafa Naqvi
poet29 quotes

More by Wafa Naqvi

View all →
Quote
"yaadon se mahakti hui is raat mein kyaa hai ye raaz khulaa aaj ki jazbaat mein kyaa hai ik tujh se hi ummid lagaa rakkhi hai varna ye mujh ko khabar hai ki miri zaat mein kyaa hai ye kah ke parindon ne bhari aaj uDaanein shahron ki taraf chalte hain dehaat mein kyaa hai yuun ghaur se haathon ki lakirein na paDhaa kar bigDeinge sanvar jaaeinge haalaat mein kyaa hai khinchte hi chale aate hain dil shahr-e-havas mein jaadu tiri aankhon mein tiri baat mein kyaa hai pahle to darakhton se nikalti thiin karaahein is baar zaraa dekhiye barsaat mein kyaa hai"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"bahte hue dariyaa ke kinaaron ki tarah thaa tujh se miraa rishta kabhi khvaabon ki tarah thaa bistar pe utar aai thiin mahtaab ki kirnein lahja tiraa kal raat ujaalon ki tarah thaa main us ko paDhaa kartaa thaa har raat bahut der vo shakhs mire paas kitaabon ki tarah thaa kyaa lams thaa kyaa zulf thi kyaa surkhi-e-lab thi har rang tiraa jaise sharaabon ki tarah thaa kuchh der ko khush kar ke chale saare jahaan ko kyaa apnaa taalluq bhi tamaashon ki tarah thaa duniyaa ne bahut chaahaa ki naam us kaa bataa duun vo dafn thaa mujh mein mire raazon ki tarah thaa khone nahin detaa thaa mujhe bhiiD mein ehsaas jakDe hue mujh ko tiri baanhon ki tarah thaa"
Wafa NaqviWafa Naqvi
Quote
"ye Thiik hai vo ham ko mayassar nahin huaa lekin kahaan kahaan vo munavvar nahin huaa lauTaa jo shaam ko to koi muntazir na thaa is baar be-qaraar miraa ghar nahin huaa kyaa jaane kab utarne lage vo dimaagh par koi junun kaa vaqt muqarrar nahin huaa sab jitne ki zid pe yahaan haarne lage sadiyon se koi shakhs sikandar nahin huaa baazu to kaT ke juD gae meri hayaat se lekin abhi nasib mujhe sar nahin huaa phal toD letaa aaj main apni hayaat kaa achchhaa huaa ki haath mein patthar nahin huaa sahraa se laakhon baar nichoDi gai hai pyaas phir bhi samundaron kaa galaa tar nahin huaa"
Wafa NaqviWafa Naqvi