"be-kasi ne ghar banaayaa mere ghar ke saamne ro rahaa huun baiTh kar divaar-o-dar ke saamne bas-ki nairang-e-taghaaful thaa nazar ke saamne maut bhi khoi gai kyaa banjar ke saamne ibrat-e-vaamaandgaan huun hasrat-e-vaaraftagaan ik taraf baiThaa huaa huun rahguzar ke saamne shauq-e-rusvaai ko bhi khaaka uDaanaa thaa zarur hashr ik tasvir-e-aksi hai nazar ke saamne bakht-e-bad ne fitna-e-roz-e-jazaa ke parde mein aaina rakkhaa junun-e-be-khabar ke saamne umr baDhti hai fareb-e-aarzu ki yaad mein aarzu miTti hai us bedaad-gar ke saamne hon vo mast-e-sheva-e-saaqi ki saaghar ki tarah sainkaDon maikhaane phirte hain nazar ke saamne intizaar-e-shauq ki ye naa-tamaami haae haae mar gayaa huun naama de kar naama-bar ke saamne bakht-e-mehnat-aazmaa ki naa-rasaai haae haae miT gayaa huun jaada-e-raah-e-safar ke saamne raahzan ko DhunDhtaa hai shauq-e-aazaadi talab shikva-e-baad-e-garaan hai raahbar ke saamne aaine se khinchte hain goyaa bahut hi saade hain vo na Thahre apni chashm-e-fitnagar ke saamne haan abhi bazm-e-khayaal-e-ghair se aayaa huun main tum na aanaa mere shauq-e-parda-dar ke saamne rahguzaar-e-kaarvaan-e-aarzu ab miT gayaa manzilein thiin dil ki pahlu mein jigar ke saamne ai 'vafaa' qatra bhi hai shaamil kamaal-e-bahr mein aib ho kar aae ham ahl-e-hunar ke saamne"
phir ehtimaam-e-taalea-e-naa-saazgaar hai — Abdul Hadi Wafa
"phir ehtimaam-e-taalea-e-naa-saazgaar hai phir imtihaan-e-gardish-e-lail-o-nahaar hai phir dil-nashin hai sheva-e-rusvaai aah-aah phir haae haae ruuh rag-e-intizaar hai zabt-e-vafaa kaa phir ye taqaazaa ki haan khamosh lab par hai phir ye uzr ki dil be-qaraar hai Tapkaa rahi hai rang-e-junun phir havaa-e-shauq mauj-e-ghubaar phir rag-e-abr-e-bahaar hai phir naqsh-e-yaas bol uThaa ai khushaa-fareb dast-e-havas mein khaama-e-jaadu-nigaar hai sun lo pukaare kahti hai phir masti-e-khayaal kah do naved-e-vaada-e-didaar-e-yaar hai khaakistar-e-khayaal se chamke sharaar-e-shauq phir intizaar-e-jumbish-e-daamaan-e-yaar hai phir josh-e-khvaab-e-bakht-e-siyah ke phire hain din phir main huun aur fasaana-e-shab-haa-e-taar hai be-rangiyon mein jalva-e-sad-rang dekhnaa khvaab-e-adam bhi aaina-e-intizaar hai sab kuchh sahi 'vafaa' magar itnaa bhi soch lo aalam tilism-e-aaina-e-eatibaar hai"
پھر اہتمام طالع نا سازگار ہے پھر امتحان گردش لیل و نہار ہے پھر دل نشیں ہے شیوۂ رسوائی آہ آہ پھر ہائے ہائے روح رگ انتظار ہے ضبط وفا کا پھر یہ تقاضا کہ ہاں خموش لب پر ہے پھر یہ عذر کہ دل بے قرار ہے ٹپکا رہی ہے رنگ جنوں پھر ہوائے شوق موج غبار پھر رگ ابر بہار ہے پھر نقش یاس بول اٹھا اے خوشا فریب دست ہوس میں خامۂ جادو نگار ہے سن لو پکارے کہتی ہے پھر مستیٔ خیال کہہ دو نوید وعدۂ دیدار یار ہے خاکستر خیال سے چمکے شرار شوق پھر انتظار جنبش دامان یار ہے پھر جوش خواب بخت سیہ کے پھرے ہیں دن پھر میں ہوں اور فسانۂ شب ہائے تار ہے بے رنگیوں میں جلوۂ صد رنگ دیکھنا خواب عدم بھی آئنۂ انتظار ہے سب کچھ سہی وفاؔ مگر اتنا بھی سوچ لو عالم طلسم آئنۂ اعتبار ہے
फिर एहतिमाम-ए-तालेअ'-ए-ना-साज़गार है फिर इम्तिहान-ए-गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार है फिर दिल-नशीं है शेवा-ए-रुस्वाई आह-आह फिर हाए हाए रूह रग-ए-इंतिज़ार है ज़ब्त-ए-वफ़ा का फिर ये तक़ाज़ा कि हाँ ख़मोश लब पर है फिर ये उज़्र कि दिल बे-क़रार है टपका रही है रंग-ए-जुनूँ फिर हवा-ए-शौक़ मौज-ए-ग़ुबार फिर रग-ए-अब्र-ए-बहार है फिर नक़्श-ए-यास बोल उठा ऐ ख़ुशा-फ़रेब दस्त-ए-हवस में ख़ामा-ए-जादू-निगार है सुन लो पुकारे कहती है फिर मस्ती-ए-ख़याल कह दो नवेद-ए-वा'दा-ए-दीदार-ए-यार है ख़ाकिस्तर-ए-ख़याल से चमके शरार-ए-शौक़ फिर इंतिज़ार-ए-जुम्बिश-ए-दामान-ए-यार है फिर जोश-ए-ख़्वाब-ए-बख़्त-ए-सियह के फिरे हैं दिन फिर मैं हूँ और फ़साना-ए-शब-हा-ए-तार है बे-रंगियों में जल्वा-ए-सद-रंग देखना ख़्वाब-ए-अदम भी आइना-ए-इन्तिज़ार है सब कुछ सही 'वफ़ा' मगर इतना भी सोच लो आलम तिलिस्म-ए-आइना-ए-ए'तिबार है

More by Abdul Hadi Wafa
View all →"dil mein rah kar chhupaa kare koi aankh ban kar hayaa kare koi ham ne maanaa vafaa kare koi chaara-e-yaas kyaa kare koi us ki shokhi pukaare kahti hai khul gae ham chhupaa kare koi tiri mahfil se fitna-gar kab tak dard ban kar uThaa kare koi naaz hai apni be-niyaazi par vaqf-e-mehnat rahaa kare koi sabr-e-ayyub se gharaz kis ko shukr-e-neamat adaa kare koi rashk-e-dushman bhi hai aziiz mujhe teri baatein kiyaa kare koi donon aalam ko kyaa karun le kar qimat-e-dil adaa kare koi tu bigaaDe to phir banaae kaun tu jo ruThe to kyaa kare koi jurat-e-naaz taab-farsaa hai kyaa kahe aur kyaa kare koi sar-e-mahshar bhi ye taqaazaa hai haan hamaaraa gilaa kare koi haae kis dil se kah diyaa us ne ghair ban kar milaa kare koi daulat-e-husn-o-ishq baDhti jaae aap kosein duaa kare koi kaash vo intizaar-e-marg sahi dard ho kar davaa kare koi apne aaine se mukaddar ho khaak tum par miTaa kare koi dil huaa zauq-e-dard se khaali ab namak-daan bharaa kare koi zakhm kambakht ji churaane lagaa namak-afshaan huaa kare koi ai 'vafaa' baad mirzaa-'ghaalib' ke haan ghazal yuun likhaa kare koi"
"hairat ko muzhda garm hai baazaar-e-aaina khubaan-e-khud-numaa hain kharidaar-e-aaina haan 'aashiqon ko kashmakash-e-jaur se faraagh vo hai asir-e-shaana giraftaar-e-aaina mujh ko bhi yuun hai zaanu-e-hasrat se vaasta tu jaise har ghaDi hai nigah-daar-e-aaina dallaal chashm-e-shokh hai qimat nazaara hai aur husn be-hijaab kharidaar-e-aaina naakaam tiri diid se hain khvaab mein bhi ham laaein kahaan se taalea-e-be-daar-e-aaina husn-e-'amal ki daad sikandar ko mil gai vo rashk-e-aaina hai talabgaar aaina"
"bhuul kar pahlu-e-ummid main aayaa na gayaa jo pataa ham ko bataayaa thaa vo paayaa na gayaa qalam-andaaz-e-fanaa huun miri vaqat dekho main huun vo harf-e-mukarrar jo miTaayaa na gayaa is takalluf pe kahaan lutf ham-aaghoshi kaa aap se pahlu-e-tasvir mein aayaa na gayaa vo adaa aur thi ye aur hai phir aur sahi be-niyaazi se koi rang jamaayaa na gayaa is rukaavaT mein bhi nairang-e-dil-aavezi hai ruuTh jaane ki hai khubi ki manaayaa na gayaa de diyaa taaq se aaina uThaa kar un ko haal mujh se dil-e-hairaan kaa dikhaayaa na gayaa varaq-e-hashr lagaayaa hai adam ke pichhe jab miraa haal khamoshi se jataayaa na gayaa rabt-o-be-rabti-e-anfaas se kuchh bhi na huaa ye ghubaar-e-gham-e-dil thaa ki uDaayaa na gayaa bekasi-haa-e-tamannaa se hayaa aane lagi teri tasvir ko siine se lagaayaa na gayaa dekhnaa charkh-e-jafaa-kaar ki majburi ko is tarah ham ko giraayaa ki uThaayaa na gayaa ai 'vafaa' aarzu-e-marg ne ji chhoD diyaa dast-e-ahbaab se ab zahr bhi khaayaa na gayaa"
"kaam aasaan nazar aayaa mujhe mushkil ho kar haasil-e-umr milaa hasrat-e-haasil ho kar do jahaan mujh ko mile hain tapish-e-dil ho kar ik nazar dekh to luun dida-e-bismil ho kar kis par aataa hai ye ilzaam khudaa khair kare mein tumhein bhuul gayaa ghair pe maail ho kar kaun si baat hai aaine mein jo mujh mein nahin baiTh to jaao zaraa mere muqaabil ho kar vahshat-e-be-kasi-e-shauq liye jaati hai naqsh-e-paa aage baDhaa duri-e-manzil ho kar khvaahish-e-marg sar-e-rishta-e-ummid sahi aakhir uljhe na kahin vo girah-e-dil ho kar parda-poshi bhi maze de gai allaah allaah saamne aai ajal khanda-e-qaatil ho kar nashsha-e-khvaab-e-adam surma-e-bedaari hai aankhein khul jaati hain is parda mein ghaafil ho kar saf-e-mehshar hai miraa halqa-e-aaghosh nahin kyaa bache jaate ho aghyaar mein shaamil ho kar dil mein rah kar bhi tamannaa ki khabar rakhte nahin qaafile saikDon guzre pas-e-mahmil ho kar meri nazron mein hai khurshid-e-qayaamat ki numud barson pahlu mein rahaa aabla-e-dil ho kar aankhein phir uThne lagin sharm kaa parda ban kar lo vo phir aate hain rang-e-rukh-e-mahfil ho kar gila-e-tishnagi-e-shauq hai ik tul-e-amal mil gae khaak mein aakhir lab-e-saahil ho kar tira-bakhti se milaa roz-e-jazaa ko hissa rah gayaa hai rukh-e-afsos pe ik til ho kar saaf aataa hai nazar tum ho miTaane vaale kyaa kiyaa parda-e-taqdir ne haail ho kar ahl-e-duniyaa ki taraf dast-e-duaa kyon uTThein bhiik aghyaar se ik dost ke saail ho kar jalva un kaa hai kalim un ke hain aiman un kaa tuur kyon jalne lagaa beach mein haail ho kar asar-e-ghamza-e-shirin dil-e-khusrav mein sahi rah gayaa sinaa-e-farhaad agar sil ho kar ai 'vafaa' taalea-e-naashaad ko rashk aataa hai ham rahe jaate hain nuqsaan mein kaamil ho kar"
"do-jahaan ko nigah-e-ijz se aksar dekhaa ham ne ummid ko hirmaan ke baraabar dekhaa taalea-e-be-hunari auj-e-falak par dekhaa jis jagah vahm na pahunchaa thaa vahaan sar dekhaa is bure vaqt mein bhi laakh se achchhaa huun main main ne maa'shuq ke parda mein muqaddar dekhaa kyaa kahun qissa-e-dilchaspi-e-haal-e-abtar doston ne mujhe aghyaar se baDh kar dekhaa ai ajal khuub bataayaa vo qayaamat hogi jis ke aaghosh mein tu ne dil-e-muztar dekhaa bekasi-haa-e-tamannaa ne sulaayaa hai mujhe phir na jaagungaa agar khvaab mein mahshar dekhaa yaar jab parda-nashin hai to kahaan kaa parda parda ye hai ki use parde se baahar dekhaa paanv phailaae hain bejaa havas-e-duniyaa ne ham ne duniyaa hi ko lipTaa huaa bistar dekhaa is khule zulm ne sab khol diye hain parde ham ne dekhaa tujhe sau baar sitamgar dekhaa Tapkaa paDtaa hai rag-e-shauq se khun-e-hasrat kyaa 'vafaa' dast-e-qazaa mein koi nashtar dekhaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"