Quote
bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne
tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne
zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe
baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne …
N
Naeem Sameerbistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne
tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne
zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe
baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne …
hisaar-e-gosh-e-samaaat ki dastaras mein kahaan
tu vo sadaa jo faqat jism ko sunaai de
sunaa rahaa huun nakirain ko fasaana-e-hijr
savaal un ke judaa hain mire javaab judaa
juun kali vo khil gaiin bakht-e-sikandar dekh kar
aap ki tasvir ko aaiin na andar dekh kar
saari baahar vaaliyaan aaiin na andar dekh kar
aaina-khaane mein tujh ko ai sikandar dekh kar …
taqaaze dahr ke deinge faraagh bhi kab tak
rahegaa arsh pe teraa dimaagh bhi kab tak
rahegi raushni kab tak ye dastaras mein miri
jalegaa mere lahu se charaagh bhi kab tak …
phir hashr ke parda mein taqdir nazar aai
aaina-e-vahshat mein tasvir nazar aai
jab qaid se ham chhuTe tadbir nazar aai
jab paa-e-junun TuuTe zanjir nazar aai …
zulf dekhi vo dhuaan-dhaar vo chehraa dekhaa
sach bataa dekhne vaale use kaisaa dekhaa
raat saari kisi TuuTi hui kashti mein kaTi
aankh bistar pe khuli khvaab mein dariyaa dekhaa …
paate hain apne ko ab tak lutf se begaana ham
ai haram vaale karein aabaad kyaa but-khaana ham
mere divaane kahaa thaa tu ne ik din naaz se
ab tak apne ko samajhte hain tiraa divaana ham …
suno jab ghaib kaa par jaagtaa hai
havaaon kaa samundar jaagtaa hai
sabhon mein jis ne ki taqsim nindein
khudaa hai jo baraabar jaagtaa hai …
adiib yuun to lagaate hain dhaar muddat se
magar milaa na adab ko qaraar muddat se
dabe hain raakh mein jo bhi sharaar muddat se
unhin havaaon kaa hai intizaar muddat se …
lawn mein baiThaa darvaaze par dastak sun kar chaunk paDaa
kaun hai jis ne vahshat toDi mujh saa patthar chaunk paDaa
teri yaad mein rote rote shab bhar jaagaa lekin phir
hichki sun ke kachchi niind mein soyaa bistar chaunk paDaa …
jo baaqi hai vo bhi ganvaane baiThaa huun
aaj main teraa sog manaane baiThaa huun
dekho apni sahraa jaisi aankhon se
main dariyaa ki pyaas bujhaane baiThaa huun …
ham ji rahe hain koi bahaana kiye baghair
us ke baghair us ki tamannaa kiye baghair
ambaar us kaa parda-e-hurmat banaa miyaan
divaar tak nahin giri pardaa kiye baghair …
hasin khvaabon ke bistar se uThaane aa gae shaayad
nae suraj miri nindein uDaane aa gae shaayad
bahut maayus nazron se hamaari or takti hai
safiraan-e-sahar shab ko bulaane aa gae shaayad …
masaail ye bhi hal kar dekhtaa huun
kabhi khud se nikal kar dekhtaa huun
mire dil tak koi aataa nahin kyon
chalo chehra badal kar dekhtaa huun …
jo tum ne puchhaa to harf-e-ulfat bar aayaa saahib hamaare lab se
so is ko sun kar hue khafaa tum na kahte the ham isi sabab se
na dete ham to kabhi dil apnaa na hote hargiz kharaab-o-rusvaa
vale karein kyaa ki tum ne ham ko dikhaain jhumkin ajab hi chhab se …
main khush nahin huun magar do hazaar das tak thaa
miraa kisi se ta'alluq usi baras tak thaa
'ajib vaqt pa kaaTaa thaa us ne rabt kaa peD
jab us pe bisiyon phal the phalon mein ras tak thaa …
bichhDaa to lafz-e-dard ki tafsir kar gayaa
naafiz mire vujud pe taa'zir kar gayaa
aankhein sunahri dekh ke main sochne lagaa
ye kaun kahkashaaon ko tasvir kar gayaa …
ye kaar-e-khair hai is ko na kaar-e-bad samho
mujhe tabaah karo aur ise madad samho
main is kahaani mein tarmim kar ke laayaa huun
jo tum ko pahle sunaai thi mustarad samho …
ye dil kahtaa hai koi aa rahaa hai
nazar kahti hai vo bahlaa rahaa hai
har ik ke dil pe kartaa hai hukumat
vo apni saltanat phailaa rahaa hai …