SHAWORDS

phir se lahu lahu dar-o-divaar dekh le — Sadiq

HomeSadiqGhazal
"phir se lahu lahu dar-o-divaar dekh le jo bhi dikhaae vaqt vo naa-chaar dekh le apne gale pe chalti chhuri kaa bhi dhyaan rakh vo tez hai yaa kund zaraa dhaar dekh le phir chhuTne se pahle hi apne vajud ko maujud bachpanon mein giraftaar dekh le ghustaa chalaa hai peT mein har aadmi kaa sar tujh se bhi ho sakegaa na inkaar dekh le yuun roz roz karte adaa-kaariyaan tiri surat badal gai hai mire yaar dekh le"
Urdu

پھر سے لہو لہو در و دیوار دیکھ لے جو بھی دکھائے وقت وہ ناچار دیکھ لے اپنے گلے پہ چلتی چھری کا بھی دھیان رکھ وہ تیز ہے یا کند ذرا دھار دیکھ لے پھر چھوٹنے سے پہلے ہی اپنے وجود کو موجود بچپنوں میں گرفتار دیکھ لے گھستا چلا ہے پیٹ میں ہر آدمی کا سر تجھ سے بھی ہو سکے گا نہ انکار دیکھ لے یوں روز روز کرتے ادا کاریاں تری صورت بدل گئی ہے مرے یار دیکھ لے

Hindi

फिर से लहू लहू दर-ओ-दीवार देख ले जो भी दिखाए वक़्त वो नाचार देख ले अपने गले पे चलती छुरी का भी ध्यान रख वो तेज़ है या कुंद ज़रा धार देख ले फिर छूटने से पहले ही अपने वजूद को मौजूद बचपनों में गिरफ़्तार देख ले घुसता चला है पेट में हर आदमी का सर तुझ से भी हो सकेगा न इंकार देख ले यूँ रोज़ रोज़ करते अदा-कारियाँ तिरी सूरत बदल गई है मिरे यार देख ले

phir se lahū lahū dar-o-dīvār dekh le
Sadiq
Sadiq
Sadiq
poet11 quotes

More on Bachpan

View all →
Quote
"havaa rah mein diye taaqon mein maddham ho gae hain mahaaz ab duriyon ke kitne mohkam ho gae hain hujum-e-naa-shanaasaan mein hai itnaa hi ghanimat ye rishte ajnabiyyat ke jo qaaem ho gae hain chaTTaanon se jahaan thi guftugu-e-sakht laazim vahin shirin-sukhan lahje mulaaem ho gae hain mire bachche tiraa bachpan to main ne bech Daalaa buzurgi oDh kar kaandhe tire kham ho gae hain azaabon se Tapakti ye chhatein barson chaleingi abhi se kyuun makin masruf-e-maatam ho gae hain"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari
Quote
"vo tohmatein na lagaataa to aur kyaa kartaa mire hunar na chhupaataa to aur kyaa kartaa khaDi thiin har-su mazaalim ki aandhiyaan phir main charaagh-e-haq na jalaataa to aur kyaa kartaa gharibi saath miraa de rahi thi bachpan se na us kaa saath nibhaataa to aur kyaa kartaa main chhaale maan ki hatheli pe dekhtaa kaise kamaane shahr na aataa to aur kyaa kartaa tamaam basti pareshaan thi raushni ke liye main apnaa ghar na jalaataa to aur kyaa kartaa samajh rahaa thaa farishta vo khud ko ai 'aalam' main aaina na dikhaataa to aur kyaa kartaa"
Aalam NizamiAalam Nizami
Quote
"na bachpan mein kaho ham ko kaDi baat na khulvaao ki chhoTaa munh baDi baat suno to gauhar-e-dandaan ki taarif abhi ho jaae moti ki laDi baat baDe andher ki tazin hai aaj na hone degi missi ki dhaDi baat jahaan aghyaar un ke paas baiThe vahin bas ho gai koi ghaDi baat payaam-e-vasl par vo ho gae tursh ghazab aayaa khaTaai mein paDi baat ham un se aaj kaa shikva kareinge ukhaaDeinge vo barson ki gaDi baat tabiat un ki hai kuchh ukhDi ukhDi kisi ne phir vahaan meri juDi baat ye kis mizhgaan ki barchhi kaa thaa mazkur ani ho kar kaleje mein aDi baat 'sakhi' vo yuun to boleinge na ham se kabhi ho jaaegi dhoke-dhaDi baat"
Sakhi LakhnviSakhi Lakhnvi