"miltaa hi nahin dard kaa paikar koi mujh saa aaine mein ik shakhs hai kamtar koi mujh saa imaan bhi tanhaa hai miraa kufr bhi tanhaa momin koi mujh saa hai na kaafir koi mujh saa hai kaun jo is abr ke parde mein ravaan hai divaana hai divaana saraasar koi mujh saa kohsaar ke daaman mein milaataa hai nihaan kaun aavaaz se aavaaz baraabar koi mujh saa lene nahin detaa kisi karvaT mujhe aaraam ik shakhs haTilaa mire andar koi mujh saa main TuTtaa taaraa huun nazar mujh se milaa lo phir kaahe ko dekhoge mukarrar koi mujh saa aaina huun aur chehra-e-'khurshid' pe vaa huun hogaa kahin qismat kaa sikandar koi mujh saa"
rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kyaa kyaa — Khursheed Rizvi
"rahi hai parda-e-ulfat mein maslahat kyaa kyaa adaavaton mein hui hai mufaahamat kyaa kyaa mire aziiz vatan ki fazaa ne bhar di hai miri sarisht ke andar munaafiqat kyaa kyaa kabhi usuul ki ghairat kabhi ziyaan kaa savaal dimaagh-o-dil mein rahi hai mushaavrat kyaa kyaa sadaa-e-dil ko tah-e-dil mein qaid kar ke rakhaa rahaa hai tauq-e-gulu shauq-e-aafiyat kyaa kyaa mahak thami jo lahu ki to chaunk kar ham ne havaa se puchhi hai zakhmon ki khairiyat kyaa kyaa bahut aziiz hain aankhon ki putliyaan lekin mile hain dukh bhi mujhe un ki maarifat kyaa kyaa bahut dinon mein kal aaina saamne paa kar hui hai umr-e-guzishta ki taaziyat kyaa kyaa aTaa huaa ba-sar-o-chehra sim-o-zar kaa ghubaar mili hai laasha-e-afkaar ki diyat kyaa kyaa nihaan hai tarkash-e-imkaan mein naavak-e-taqdir mudaam sar pe sitaare hain an-ginat kyaa kyaa"
رہی ہے پردۂ الفت میں مصلحت کیا کیا عداوتوں میں ہوئی ہے مفاہمت کیا کیا مرے عزیز وطن کی فضا نے بھر دی ہے مری سرشت کے اندر منافقت کیا کیا کبھی اصول کی غیرت کبھی زیاں کا سوال دماغ و دل میں رہی ہے مشاورت کیا کیا صدائے دل کو تہ دل میں قید کر کے رکھا رہا ہے طوق گلو شوق عافیت کیا کیا مہک تھمی جو لہو کی تو چونک کر ہم نے ہوا سے پوچھی ہے زخموں کی خیریت کیا کیا بہت عزیز ہیں آنکھوں کی پتلیاں لیکن ملے ہیں دکھ بھی مجھے ان کی معرفت کیا کیا بہت دنوں میں کل آئینہ سامنے پا کر ہوئی ہے عمر گزشتہ کی تعزیت کیا کیا اٹا ہوا بسر و چہرہ سیم و زر کا غبار ملی ہے لاشۂ افکار کی دیت کیا کیا نہاں ہے ترکش امکاں میں ناوک تقدیر مدام سر پہ ستارے ہیں ان گنت کیا کیا
रही है पर्दा-ए-उलफ़त में मस्लहत क्या क्या अदावतों में हुई है मुफ़ाहमत क्या क्या मिरे अज़ीज़ वतन की फ़ज़ा ने भर दी है मिरी सरिश्त के अंदर मुनाफ़िक़त क्या क्या कभी उसूल की ग़ैरत कभी ज़ियाँ का सवाल दिमाग़-ओ-दिल में रही है मुशावरत क्या क्या सदा-ए-दिल को तह-ए-दिल में क़ैद कर के रखा रहा है तौक़-ए-गुलू शौक़-ए-आफ़ियत क्या क्या महक थमी जो लहू की तो चौंक कर हम ने हवा से पूछी है ज़ख़्मों की ख़ैरियत क्या क्या बहुत अज़ीज़ हैं आँखों की पुतलियाँ लेकिन मिले हैं दुख भी मुझे उन की मा'रिफ़त क्या क्या बहुत दिनों में कल आईना सामने पा कर हुई है उम्र-ए-गुज़िश्ता की ताज़ियत क्या क्या अटा हुआ ब-सर-ओ-चेहरा सीम-ओ-ज़र का ग़ुबार मिली है लाशा-ए-अफ़्क़ार की दियत क्या क्या निहाँ है तरकश-ए-इम्काँ में नावक-ए-तक़दीर मुदाम सर पे सितारे हैं अन-गिनत क्या क्या

More by Khursheed Rizvi
View all →"bisaat-e-vaqt pe sadiyon ke faasle ham log kanaar-e-shaam-o-sahar mein kahaan Dhale ham log na kaarvaan na musaafir magar jaras na thami na raushni na haraarat magar jale ham log maqaam jin kaa muarrikh ke haafize mein nahin shikast o fath ke maabain marhale ham log numud-e-jism ki shorida khvaahishein duniyaa fishaar-e-ruh ke naadida valvale ham log na jaane kab koi karvaT hamein jagaa Daale zamin ke batn mein khvaabida zalzale ham log fasaad-e-koh-kani hila-haa-e-parvezi hazaar rang ke kaanTon mein aable ham log amir-e-shahr ki moTi samajh mein kyaa aate zamir-e-dahr ke naazuk muaamle ham log hujum-e-sang-e-aziyyat mein sar jhukaae hue ravaan hain le ke mashiyyat ke qaafile ham log zabaan-burida o be-dast-o-paa sahi lekin zamir-e-kaun-o-makaan hain bure bhale ham log"
"abru-e-abr se kartaa hai ishaara mujh ko jhalak us aankh ki dikhlaa ke sitaara mujh ko huun main vo shama sar-e-taaq jalaa kar sar-e-shaam bhuul jaataa hai miraa anjuman-aaraa mujh ko raaegaan vusat-e-viraan mein ye khilte hue phuul un ko dekhun to ye dete hain sahaaraa mujh ko meri hasti hai faqat mauj-e-havaa naqsh-e-habaab koi dam aur karein aap gavaaraa mujh ko daam phailaati rahi sud-o-ziyaan ki ye bisaat haan magar mere junun ne nahin haaraa mujh ko kuchh shab-o-roz-o-mah-o-saal guzar kar mujh par vaqt ne taa-ba-abad khud pe guzaaraa mujh ko mauj-e-be-taab huun main mere anaasir hain kuchh aur chaahiye sohbat-e-saahil se kinaaraa mujh ko rizq se mere mire dil ko hai ranjish 'khurshid' aasmaanon se zaminon pe utaaraa mujh ko"
"dar-e-khazina-e-sad-raaz kholtaa hai koi na jaane kaun hai vo mujh mein boltaa hai koi ajab kured ajab bekali si hai jaise mujhe miri rag-e-jaan tak TaToltaa hai koi hujum hai mire siine mein abr-paaron kaa guhar bikherne vaalaa huun roltaa hai koi hayaat-o-marg-o-tulu-o-ghurub hai duniyaa ki par sameTtaa hai koi toltaa hai koi havaa kaa lams ye bundein khunuk khunuk 'khurshid' mujhe to aaj fazaaon mein gholtaa hai koi"
"baDaa ajiib samaan aaj raat khvaab mein thaa main un ke paas thaa sayyaara aaftaab mein thaa sadaf sadaf jise DhunD aae DhunDne vaale khudaa ki shaan vo moti kisi hubaab mein thaa idhar se dast o nigaah o zabaan tamaam savaal udhar se ek sukut-e-giraan javaab mein thaa havaa mein ek adhuraa fasaana kahtaa huaa ye chaak chaak varaq jaane kis kitaab mein thaa tumhaari bazm se tanhaa nahin uThaa 'khurshid' hujum-e-dard kaa ik qaafila rikaab mein thaa"
"lab se dil kaa dil se lab kaa raabta koi nahin hasratein hi hasratein hain muddaaa koi nahin harf-e-gham-e-naa-paid hai aankhon mein nam naapaid hai dard kaa sail-e-ravaan hai raastaa koi nahin apne man kaa aks hai apni sadaa ki baazgasht dost dushman aashnaa naa-aashnaa koi nahin sab ke sab apne garebaanon mein hain Duube hue gul se gul tak rishta-e-mauj-e-sabaa koi nahin haal-e-zaar aisaa ki dekhe se taras aane lage sang-dil itne ki honTon par duaa koi nahin kyaa koi raakib nahin ham mein samand-e-vaqt kaa naqsh-e-paa sab hain to kyaa zanjir-e-paa koi nahin main to aaina huun sab ki shakl kaa aaina-daar bazm mein lekin mujhe pahchaantaa koi nahin dil ke Duube se miTi dast-e-shanaavar ki sakat mauj ki tughyaaniyon se Dubtaa koi nahin aankh michoge to kaanon se guzar aaegaa husn sail ko divaar-o-dar se vaasta koi nahin arsh ki chaahat ho yaa paataal kaa shauq-e-safar ibtidaa ki der hai phir intihaa koi nahin kaarvaan 'khurshid' jaane kis guphaa mein kho gayaa raushni kaisi ki sahraa mein sadaa koi nahin"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"