Quote
"bas ek maah-e-junun-khez ki ziyaa ke sivaa nagar mein kuchh nahin baaqi rahaa havaa ke sivaa hai ek aur bhi surat kahin miri hi tarah ik aur shahr bhi hai qarya-e-sadaa ke sivaa ik aur samt bhi hai us se jaa ke milne ki nishaan aur bhi hai ek nishaan-e-paa ke sivaa zavaal-e-asr hai kuufe mein aur gadaagar hain khulaa nahin koi dar baab-e-iltijaa ke sivaa makaan-e-zar lab-e-goyaa had-e-sipahr-o-zamin dikhaai detaa hai sab kuchh yahaan khudaa ke sivaa miri hi khvaahishein baais hain mere gham ki 'munir' azaab mujh pe nahin harf-e-muddaaa ke sivaa"
