SHAWORDS

shaayad aaghaaz huaa phir kisi afsaane kaa — Shakeel Badayuni

"shaayad aaghaaz huaa phir kisi afsaane kaa hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kaa un se kuchh kah to rahaa huun magar allaah kare vo bhi mafhum na samjhein mire afsaane kaa dekhnaa dekhnaa ye hazrat-e-vaaiz hi na hon raasta puchh rahaa hai koi mai-khaane kaa be-taalluq tire aage se guzar jaataa hai ye bhi ik husn-e-talab hai tire divaane kaa hashr tak garmi-e-hangaama-e-hasti hai 'shakil' silsila khatm na hogaa mire afsaane kaa"
Urdu

شاید آغاز ہوا پھر کسی افسانے کا حکم آدم کو ہے جنت سے نکل جانے کا ان سے کچھ کہہ تو رہا ہوں مگر اللہ کرے وہ بھی مفہوم نہ سمجھیں مرے افسانے کا دیکھنا دیکھنا یہ حضرت واعظ ہی نہ ہوں راستہ پوچھ رہا ہے کوئی مے خانہ کا بے تعلق ترے آگے سے گزر جاتا ہے یہ بھی اک حسن طلب ہے ترے دیوانے کا حشر تک گرمئ ہنگامۂ ہستی ہے شکیلؔ سلسلہ ختم نہ ہوگا مرے افسانے کا

Hindi

शायद आग़ाज़ हुआ फिर किसी अफ़्साने का हुक्म आदम को है जन्नत से निकल जाने का उन से कुछ कह तो रहा हूँ मगर अल्लाह करे वो भी मफ़्हूम न समझें मिरे अफ़्साने का देखना देखना ये हज़रत-ए-वाइज़ ही न हों रास्ता पूछ रहा है कोई मय-ख़ाने का बे-तअल्लुक़ तिरे आगे से गुज़र जाता है ये भी इक हुस्न-ए-तलब है तिरे दीवाने का हश्र तक गर्मी-ए-हँगामा-ए-हस्ती है 'शकील' सिलसिला ख़त्म न होगा मिरे अफ़्साने का

shāyad āġhāz huā phir kisī afsāne kā
Shakeel Badayuni
Shakeel Badayuni
Shakeel Badayuni
poet195 quotes

More by Shakeel Badayuni

View all →
Quote
"niyaaz-o-naaz ki ye shaan-e-zebaai nahin jaati hamaari khud-sari un ki khud-aaraai nahin jaati hazaaron aaine ho kar muqaabil TuuT jaate hain magar husn-e-azal ki shaan-e-yaktaai nahin jaati koi dilkash nazaara ho koi dilchasp manzar ho tabi'at khud bahal jaati hai bahlaai nahin jaati mohabbat ki haqiqat kam nahin asraar-e-hasti se samajh letaa huun lekin mujh se samjhaai nahin jaati ba-zaahir zabt-e-paiham bhi sharik-e-dard-e-ulfat hai 'shakil' is par bhi apne dil ki rusvaai nahin jaati"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"dil lazzat-e-nigaah karam paa ke rah gayaa kitnaa hasin khvaab nazar aa ke rah gayaa lab tak shikaayat-e-gham-e-dil laa ke rah gayaa un ki nadaamaton pe main sharmaa ke rah gayaa mere dil-e-tabaah kaa aalam na puchhiye ik phuul thaa jo khilte hi murjhaa ke rah gayaa manzil se duur rahrav-e-manzil thaa mutmain manzil qarib aai to ghabraa ke rah gayaa shoridgi-e-naala-e-gustaakh kyaa kahun is qalb-e-naaznin ko bhi taDpaa ke rah gayaa be-gaana-vaar jab vo guzarte chale gae kuchh be-qaraar dil mujhe samjhaa ke rah gayaa un ke huzur lab to mukarrar na khul sake rudaad-e-gham nigaah se dohraa ke rah gayaa yuun khatm daastaan-e-mohabbat hui 'shakil' jaise koi hasin ghazal gaa ke rah gayaa"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni
Quote
"bekaar gai aaD tire parda-e-dar ki allaah-re vusat mire aaghosh-e-nazar ki pi shauq se vaaiz are kyaa baat hai Dar ki dozakh tire qabze mein hai jannat tire ghar ki imaan ki daulat se tire husn kaa saudaa imaan ki daulat hai tiri ek nazar ki aa jaae tasavvur mein koi hashr-ba-daamaan phir meri shab-e-gham ko zarurat hai sahar ki vo saamne hain phir bhi unhein DhunDh rahaa huun aakhir koi had bhi hai hijaabaat-e-nazar ki tanhaai-e-furqat mein jo aalam hai idhar kaa hangaama-e-mahfil mein vo haalat hai udhar ki kuchh sahl na paae hain mohabbat ke maraatib chhaani hai bahut khaak tiri raah-guzar ki"
Shakeel BadayuniShakeel Badayuni