"yaadon mein teri ashk bahaae ko din hue yaad aa ki ab ye lutf uThaae ko din hue muddat hui tu milne na aaya kabhi mujhe mujh ko bhi teri yaad sataae ko din hue har subh fikr-e-kaar-e-jahaan mein khuli hai aankh khvaabon mein koi raat bitaae ko din hue haae vo mai-kade ke sabhi dil-figaar log jin sang koi shaam sajaae ko din hue taaza rafaaqaton ke nae zakhm khaaiye pichhli adaavatein jo ganvaae ko din hue aane lage nigaah mein is vaqt sab ke aib khud se kabhi nazar jo milaae ko din hue mahfil ki samt aanaa paDaa aakhirash hamein khalvat-kade mein dil jo dukhaae ko din hue jab se huaa huun aap mein apne se ham-sukhan auron ko apne sher sunaae ko din hue"
sharaabon par guzaaraa hai — Amardeep Singh
"sharaabon par guzaaraa hai khasaaraa hi khasaaraa hai nahin niyyat sanbhalne ki vagarna har sahaaraa hai gumaan hone ke sau manzar yaqin ko ik nazaaraa hai lo aankhein muund liin ham ne magar jo aashkaaraa hai takhayyul ki riaayat mein tu ab tak bhi hamaaraa hai tabiat be-niyaazi ki takalluf har gavaara hai baDe naazaan hain dukh sah kar baDaa hi tiir maaraa hai hamein kis baat ki diqqat jo pyaaraa hai vo pyaaraa hai chalo phir zindagi ji lein agarche kuchh na chaara hai 'amar' saahib hue faarigh sabhi kuchh jiit haaraa hai"
شرابوں پر گزارا ہے خسارا ہی خسارا ہے نہیں نیت سنبھلنے کی وگرنہ ہر سہارا ہے گماں ہونے کے سو منظر یقیں کو اک نظارا ہے لو آنکھیں موند لیں ہم نے مگر جو آشکارا ہے تخیل کی رعایت میں تو اب تک بھی ہمارا ہے طبیعت بے نیازی کی تکلف ہر گوارہ ہے بڑے نازاں ہیں دکھ سہ کر بڑا ہی تیر مارا ہے ہمیں کس بات کی دقت جو پیارا ہے وہ پیارا ہے چلو پھر زندگی جی لیں اگرچہ کچھ نہ چارہ ہے امرؔ صاحب ہوئے فارغ سبھی کچھ جیت ہارا ہے
शराबों पर गुज़ारा है ख़सारा ही ख़सारा है नहीं निय्यत सँभलने की वगर्ना हर सहारा है गुमाँ होने के सौ मंज़र यक़ीं को इक नज़ारा है लो आँखें मूँद लीं हम ने मगर जो आश्कारा है तख़य्युल की रिआ'यत में तू अब तक भी हमारा है तबीअ'त बे-नियाज़ी की तकल्लुफ़ हर गवारा है बड़े नाज़ाँ हैं दुख सह कर बड़ा ही तीर मारा है हमें किस बात की दिक़्क़त जो प्यारा है वो प्यारा है चलो फिर ज़िंदगी जी लें अगरचे कुछ न चारा है 'अमर' साहिब हुए फ़ारिग़ सभी कुछ जीत हारा है

More by Amardeep Singh
View all →"chehre par ik chehraa lagaanaa siikh liyaa aakhir ham ne taur-e-zamaanaa siikh liyaa kab tak tujh ko zahmat ho katraane ki ham ne bhi ab aankh churaanaa siikh liyaa haae tum to dil se milne vaale the tum ne kab se haath milaanaa siikh liyaa zikr to us kaa ab bhi hotaa hai lekin baat pe ham ne baat banaanaa siikh liyaa dekho laDki Thiik nahin kam-umri mein ye jo tum ne aankh laDaanaa siikh liyaa kaun yahaan par aisaa jis ne vaqt milaa to ham se behtar vaqt ganvaanaa siikh liyaa ham bhi ab kuchh narm tabiat vaale hain bachchon ne bhi haath uThaanaa siikh liyaa"
"udaas rahne ki aadaton kaa shikaar ho kar tu rah na jaanaa ai zindagi taar-taar ho kar faqat sharaabon ke aasre kaT rahe hain din-raat utar chukaa ham ko aur to har khumaar ho kar ham apne hone ki khush-gumaani mein chuur the jab guzar gai ham se yaad-e-parvardigaar ho kar ye be-yaqini hai aadmi tak to Thiik lekin main rah na jaaun khudaa se be-e'tibaar ho kar main kab se qaid-e-vajud mein ghuT rahaa huun lekin mujhe sukun bhi nahin hai khud se faraar ho kar vo bhole-pan ko pahan ke phirtaa hai is jahaan mein tum us se milnaa to bas zaraa hoshiyaar ho kar vo kaam jis ki hamein tavaqqo thi dushmanon se amal mein kuchh log laae to hain pa yaar ho kar abhi to un ko fazaa mein har samt thaa mahaknaa jo khushbuein rah gaiin supurd-e-ghubaar ho kar 'amar' kahin khul na jaae haalat sukun-e-dil ki milo har ik shakhs se baDe be-qaraar ho kar"
"ik faqat khud se gilaa baaqi rahaa varna is dil mein to kyaa baaqi rahaa ik taraf teri kami khalti rahi ik taraf apnaa khalaa baaqi rahaa raah ki aasaaniyaan jaati rahin manzilon kaa marhala baaqi rahaa zindagi-dar-zindagi chalti rahi masala-dar-masala baaqi rahaa ham had-e-idraak se majbur the ham se jo thaa maavaraa baaqi rahaa ho raheinge ham bhi us ke ek din haan agar dil mein khudaa baaqi rahaa shahr-e-dil ke baa-vafaa jab kho gae aakhirash ik be-vafaa baaqi rahaa dil se teri yaad bhi rukhsat hui aur ab kyaa moajiza baaqi rahaa ai dil-e-naakaam kuchh to kar guzar yaa abhi kuchh sochnaa baaqi rahaa"
"gae vo din ki koi gham-shanaas aaegaa jo aa gayaa bhi to kyaa dil ko raas aaegaa chalo to raah-e-mohabbat mein be-talab ho kar maza safar kaa to bin-bhuk-pyaas aaegaa madad ko jis ki khaDaa huun main sar-nigun ho kar baDe ghurur mein vo naa-sipaas aaegaa vo saaf-go hai magar baat kaa hunar sikhe badan hasin hai to kyaa be-libaas aaegaa ajab nahin ki tire dar pe ek roz ye shakhs har ek samt se ho kar udaas aaegaa main duriyon kaa nayaa baab khol rakhtaa huun abhi vo shakhs mire aur paas aaegaa"
"jahaan-e-aam ko yaksar fareb detaa hai vo gham-zada ho to hans kar fareb detaa hai kuchh us ki tarz-e-adaa bhi kamaal hai kuchh vo nazar nazar se milaa kar fareb detaa hai main aise maahir-e-fan kaa murid huun jo mujhe mire gumaan se baDh kar fareb detaa hai miTaa gai hai mujhe ik nigaah-e-naaz to kyaa baDe-baDon ko ye manzar fareb detaa hai ham ahl-e-dil bhi isi par yaqin karte hain hamein ye dil jo ki aksar fareb detaa hai main is liye bhi tiraa ehtiraam kartaa huun tu mujh ko mujh se bhi behtar fareb detaa hai 'amar' ye us kaa karam hai ki vo ik ahl-e-kamaal agarche de bhi to kah kar fareb detaa hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"