SHAWORDS

suraakh kashti munh-zor dariyaa — Muzaffar Hanfi

HomeMuzaffar HanfiGhazal
"suraakh kashti munh-zor dariyaa taslim chaahe jis or dariyaa ye tisraa kaun apne milan mein sangam ke niche ik chor dariyaa apni taraf se ham bhi gurezaan bosida saahil ghanghor dariyaa jangal mein mangal mangal mein ketu ik mor shoala ik mor dariyaa jabbaar maujein qahhaar maujein munh-zor dariyaa pur-shor dariyaa yuun bhi 'muzaffar' dekhe gae hain kaanTe mein to’ma lam-Dor dariyaa"
Urdu

سوراخ کشتی منہ زور دریا تسلیم چاہے جس اور دریا یہ تیسرا کون اپنے ملن میں سنگم کے نیچے اک چور دریا اپنی طرف سے ہم بھی گریزاں بوسیدہ ساحل گھنگھور دریا جنگل میں منگل منگل میں کیتو اک مور شعلہ اک مور دریا جبار موجیں قہار موجیں منہ زور دریا پر شور دریا یوں بھی مظفرؔ دیکھے گئے ہیں کانٹے میں طعمہ لم ڈور دریا

Hindi

सूराख़ कश्ती मुँह-ज़ोर दरिया तस्लीम चाहे जिस ओर दरिया ये तीसरा कौन अपने मिलन में संगम के नीचे इक चोर दरिया अपनी तरफ़ से हम भी गुरेज़ाँ बोसीदा साहिल घनघोर दरिया जंगल में मंगल मंगल में केतू इक मोर शोला इक मोर दरिया जब्बार मौजें क़हहार मौजें मुँह-ज़ोर दरिया पुर-शोर दरिया यूँ भी 'मुज़फ़्फ़र' देखे गए हैं काँटे में तो’मा लम-डोर दरिया

sūrāḳh kashtī muñh-zor dariyā
Muzaffar Hanfi
Muzaffar Hanfi
Muzaffar Hanfi
poet93 quotes

More by Muzaffar Hanfi

View all →
Quote
"mil kar har ek shakhs se dil itnaa bhar gayaa ab apnaa hi vajud nazar se utar gayaa kyaa jaane kyon ye hotaa hai mahsus in dinon main ji rahaa huun mujh mein koi thaa jo mar gayaa pahlaa saa vo kharosh samundar mein ab kahaan sailaab khatm ho gayaa tufaan guzar gayaa mausam ne jab bhi chupke se kuchh gul khilaae hain ilzaam shokh tez havaaon ke sar gayaa paani ki tarah bah gaiin sadiyaan kabhi kabhi aksar huaa hai yuun bhi ki lamha Thahar gayaa muddat ke baa'd aaina kal saamne paDaa dekhi jo apni shakl to chehra utar gayaa"
Muzaffar HanfiMuzaffar Hanfi
Quote
"jo honTon pe mohr-e-khamoshi lagaa di to mil kar nigaahon ne taali bajaa di kisi ke liye main pareshaan nahin huun raqibon ne jaane kahaan ki uDaa di junun apni taqdir se kheltaa hai miTaai banaa di banaai miTaa di abhi nuur o zulmat mein chalti rahegi na vo is ke aadi na main us kaa aadi khabar kaarvaan ki na ho rahzanon ko yahi soch kar main ne mishal bujhaa di gulon ne jab ilzaam rakkhaa khizaan par to vo khaar ko dekh kar muskuraa di tavaqqoa nahin thi 'muzaffar' se un ko khari baat sun kar qayaamat uThaa di"
Muzaffar HanfiMuzaffar Hanfi
Quote
"bachche laae anokhi titli aur niraale phuul khushbu dene vaali titli uDne vaale phuul jis din gulshan mein nafrat ki aandhi chalti hai shaakhon par ugne lagte hain kaale kaale phuul us ke pairon mein kaanTe the chhaale haathon mein uupar se pariyon ne us bachche par Daale phuul hamraa aur samra ne saalgirah par aiman ki khuub chhuDaai aatish-baazi khuub uchhaale phuul meri god mein poti hai to potaa kandhe par jaise jhilmil jhilmil jugnu bhole-bhaale phuul lafzon ke is jaadugar ke pyaare pyaare sher angaare daaman mein rakkhe aur nikaale phuul"
Muzaffar HanfiMuzaffar Hanfi
Quote
"taalaab se nikal ke samandar mein aa gayaa is baar sindbaad mire ghar mein aa gayaa be-chehra gardanon ki shikaayat fuzul hai maa'sum haath qabza-e-khanjar mein aa gayaa dekhaa hi thaa khalaa se palaT kar zamin ko har qatra-e-lahu mire shahpar mein aa gayaa dariyaa ke laakh haath mujhe rokte rahe main ne lagaam uThaai bahattar mein aa gayaa aisi bulandiyon ki tamannaa kabhi na thi zarra huun gard-baad ke chakkar mein aa gayaa sar par gunaahgaar ke pheinkaa nahin abhi dhabba kahaan se haath ke patthar mein aa gayaa is 'ahd mein jahaan bhi havaa tez-o-tund ho tufaan saa bayaaz-e-'muzaffar' mein aa gayaa"
Muzaffar HanfiMuzaffar Hanfi