SHAWORDS

teri rahmat ne kar diyaa gustaakh — Jaimini Sarshar

"teri rahmat ne kar diyaa gustaakh ''varna pahle to main na thaa gustaakh aap jo kuchh kahein sar aankhon par aur main ne jo kuchh kahaa gustaakh saaf-goi se kaam letaa huun tum ne mujh ko samajh liyaa gustaakh kaaT dete vo kyuun na haath miraa un ke daaman pe baDh chalaa gustaakh khul gai aankh ab to ai nargis aur un se nazar milaa gustaakh munh pe kahte use nahin bantaa varna 'sarshaar' hai baDaa gustaakh"
Urdu

تیری رحمت نے کر دیا گستاخ ورنہ پہلے تو میں نہ تھا گستاخ آپ جو کچھ کہیں سر آنکھوں پر اور میں نے جو کچھ کہا گستاخ صاف گوئی سے کام لیتا ہوں تم نے مجھ کو سمجھ لیا گستاخ کاٹ دیتے وہ کیوں نہ ہاتھ مرا ان کے دامن پہ بڑھ چلا گستاخ کھل گئی آنکھ اب تو اے نرگس اور ان سے نظر ملا گستاخ منہ پہ کہتے اسے نہیں بنتا ورنہ سرشارؔ ہے بڑا گستاخ

Hindi

तेरी रहमत ने कर दिया गुस्ताख़ ''वर्ना पहले तो मैं न था गुस्ताख़ आप जो कुछ कहें सर आँखों पर और मैं ने जो कुछ कहा गुस्ताख़ साफ़-गोई से काम लेता हूँ तुम ने मुझ को समझ लिया गुस्ताख़ काट देते वो क्यूँ न हाथ मिरा उन के दामन पे बढ़ चला गुस्ताख़ खुल गई आँख अब तो ऐ नर्गिस और उन से नज़र मिला गुस्ताख़ मुँह पे कहते उसे नहीं बनता वर्ना 'सरशार' है बड़ा गुस्ताख़

terī rahmat ne kar diyā gustāḳh
Jaimini Sarshar
Jaimini Sarshar
Jaimini Sarshar
poet10 quotes

More by Jaimini Sarshar

View all →
Quote
"bahut khush the saahil qarib aa gayaa safina kinaare se Takraa gayaa hai behad khatarnaak bahr-e-jahaan jo insaan bhi is mein Duubaa gayaa tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham gayaa shaikh ab vo zamaana gayaa mujhe zindagi ki duaaein na do main aisi duaaon se uktaa gayaa na samho kisi ki kisi baat ko tumhein kaun ye baat samjhaa gayaa vafaaein nahin vo jafaaein nahin nizaam-e-jahaan kuchh badal saa gayaa ye chhup chhup ke milnaa bhi hai ik azaab koi aa gayaa vo koi aa gayaa yahaan the to 'sarshaar' kyaa kuchh na the gae vo to khat bhi na bhejaa gayaa"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar
Quote
"jab qaum par aafat aai ho jab mulk paDaa ho mushkil mein insaan vo kyaa mar miTne kaa ehsaas na ho jis ke dil mein hansne kaa tariqa paidaa kar rone kaa saliqa paidaa kar hans phuul ki surat gulshan mein ro shama ki surat mahfil mein qaatil ke dil ki kamzori ne saaraa kaam bigaaD diyaa ham tishna-e-shauq-e-shahaadat the khanjar bhi thaa dast-e-qaatil mein mahfil ki mahfil behis hai taari hai jumud insaanon par uTh soz kaa aalam barpaa kar aur aag lagaa de har dil mein har qatra dariyaa banne ko betaab dikhaai detaa hai har mauj-e-ravaan bechain nazar aati hai firaaq-e-saahil mein 'sarshaar' vo kyunkar kahte hain ham qaum o vatan ke khaadim hain Daale na gae jo zindaan mein jakDe na gae jo salaasil mein"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar
Quote
"be-hijaab aap ke aane ki zarurat kyaa thi yuun mire hosh uDaane ki zarurat kyaa thi ham se kahnaa thaa Dubo dete safina apnaa itne tufaan uThaane ki zarurat kyaa thi jab se aayaa huun yahaan mohr-ba-lab baiThaa huun mujh ko mahfil mein bulaane ki zarurat kyaa thi apne kirdaar-o-amal par jo bharosa hotaa aap ke naaz uThaane ki zarurat kyaa thi yuun bhi ho sakte the aabaad tire viraane ham ko divaana banaane ki zarurat kyaa thi ashk-e-khun baad mein 'sarshaar' bahaane the agar khun-e-ushshaaq bahaane ki zarurat kyaa thi"
Jaimini SarsharJaimini Sarshar