Quote
"bahut khush the saahil qarib aa gayaa safina kinaare se Takraa gayaa hai behad khatarnaak bahr-e-jahaan jo insaan bhi is mein Duubaa gayaa tire Dar se chhup-chhup ke piite the ham gayaa shaikh ab vo zamaana gayaa mujhe zindagi ki duaaein na do main aisi duaaon se uktaa gayaa na samho kisi ki kisi baat ko tumhein kaun ye baat samjhaa gayaa vafaaein nahin vo jafaaein nahin nizaam-e-jahaan kuchh badal saa gayaa ye chhup chhup ke milnaa bhi hai ik azaab koi aa gayaa vo koi aa gayaa yahaan the to 'sarshaar' kyaa kuchh na the gae vo to khat bhi na bhejaa gayaa"
