SHAWORDS

tez hai meraa qalam talvaar se — Ezaz Kazmi

HomeEzaz KazmiGhazal
"tez hai meraa qalam talvaar se dost khaaif hain miri raftaar se jeb mein kuchh bhi nahin thaa is liye lauT kar main aa gayaa baazaar se jholiyaan bhar bhar ke jaate hain sabhi nausha-e-lajpaal ke darbaar se phir rasaai mein nahin rah paayaa vo chaand uupar ho gayaa divaar se aap ghusse mein rahein aur mere dost luuT kar sab le gae hain pyaar se ek dil TuuTaa huaa hai ek main aur kuchh jazbaat hain be-kaar se thoDaa thoDaa khud se main khaaif rahaa thoDaa thoDaa ghaib ke asraar se"
Urdu

تیز ہے میرا قلم تلوار سے دوست خائف ہیں مری رفتار سے جیب میں کچھ بھی نہیں تھا اس لئے لوٹ کر میں آ گیا بازار سے جھولیاں بھر بھر کے جاتے ہیں سبھی نوشۂ لجپال کے دربار سے پھر رسائی میں نہیں رہ پایا وہ چاند اوپر ہو گیا دیوار سے آپ غصے میں رہیں اور میرے دوست لوٹ کر سب لے گئے ہیں پیار سے ایک دل ٹوٹا ہوا ہے ایک میں اور کچھ جذبات ہیں بیکار سے تھوڑا تھوڑا خود سے میں خائف رہا تھوڑا تھوڑا غیب کے اسرار سے

Hindi

तेज़ है मेरा क़लम तलवार से दोस्त ख़ाइफ़ हैं मिरी रफ़्तार से जेब में कुछ भी नहीं था इस लिए लौट कर मैं आ गया बाज़ार से झोलियाँ भर भर के जाते हैं सभी नौशा-ए-लजपाल के दरबार से फिर रसाई में नहीं रह पाया वो चाँद ऊपर हो गया दीवार से आप ग़ुस्से में रहें और मेरे दोस्त लूट कर सब ले गए हैं प्यार से एक दिल टूटा हुआ है एक मैं और कुछ जज़्बात हैं बे-कार से थोड़ा थोड़ा ख़ुद से मैं ख़ाइफ़ रहा थोड़ा थोड़ा ग़ैब के असरार से

tez hai merā qalam talvār se
E
Ezaz Kazmi
Ezaz Kazmi
poet11 quotes

More by Ezaz Kazmi

View all →
Quote
"tire liye to mire paas bas duaa hai yaar tu is zamin pe bahut unchaa uD rahaa hai yaar ye khiDkiyaan to mujhe aur kah rahi hain kuchh samajh mire dil naadaan ye huaa hai yaar ye duniyaa-daar mujhe kis tarah se dekhte hain ki ye bashar hai farishta hai devtaa hai yaar agar ye shauq nahin hai to kyaa hai batlaa de tu kis liye mujhe khiDki se jhaanktaa hai yaar tu jis ko DhunD rahaa hai tujhe milegaa nahin vo shakhs mujh se kahin kab kaa jaa chukaa hai yaar ye tirgi ki hain aankhein ki hijr ki lau hai jo jal rahaa hai vahaan saamne diyaa hai yaar tu jaanaa chaahtaa hai to tujhe ijaazat hai magar pataa to chale main ne kyaa kahaa hai yaar"
E
Ezaz Kazmi
Quote
"zinda rakhni hai mujhe ijz ke meaar ki dhun ek sandesa hai ye hukm se inkaar ki dhun tu palaT aa ki tujhe meri zarurat paDegi tujh ko zinda nahin chhoDegi ye be-kaar ki dhun dost mansur se hoti hui ham tak pahunchi haq ki aavaaz pe DaT jaate hue daar ki dhun aap aate hain chale jaate hain milte hi nahin dil mein rah jaati hai har baar hi izhaar ki dhun ai khudaa izn mile teri taraf aane kaa kitni betaab hai ab tere gunahgaar ki dhun shahr chhoDaa hai tire ishq ki vahshat ke sabab jaane le jaae kahaan ab dil-e-bimaar ki dhun"
E
Ezaz Kazmi
Quote
"nahin ki zinda hai bas ek meri zaat mein ishq main sach kahun to faqat hai hi kaaenaat mein ishq main ishq-zaad charaaghon ki bazm mein rahaa huun so jal rahaa hai abhi mere daaein haat mein ishq vo husn nuur ki baarish mein jab nahaa rahaa thaa machal rahaa thaa bahut tab tajalliyaat mein ishq main sochtaa huun ki kyaa hotaa dahr mein har su agar na hotaa kahin tere shash-jahaat mein ishq qalam se likkhaa gayaa hai varaq pe harf-e-sukut taDap rahaa hai miri nilgun davaat mein ishq kahin pe zinda hai ye jiit ke har ik baazi kahin pe raushaniyaan kar rahaa hai maat mein ishq kahin hain duniyaa ki ranginiyaan taaaqub mein kahin jhalaktaa hai meri har ek baat mein ishq"
E
Ezaz Kazmi
Quote
"musalsal ik mashaqqat be-sabab hai mohabbat bhi bahut mehnat-talab hai tumhaaraa gham hai rishta-daar meraa tumhaari yaad hi meraa nasab hai tum aa jaate to achchhaa thaa magar ab mire dil mein yahi ik aas kab hai yunhi aate nahin ahvaal takne vo aae hain to phir koi sabab hai mire daalaan mein ganjina-e-yaad muravvat aashti uftaad sab hai main raushan huun tire partav ke baais mire chehre pe teri taab-o-tab hai qayaamat ki ghaDi guzri hai aur tu abhi maujud-o-zinda hai ajab hai"
E
Ezaz Kazmi

More on Dosti

View all →
Quote
"mahv-e-hairat huun miraa khaar ne rasta dekhaa ek kirdaar kaa kirdaar ne rasta dekhaa kaun kahtaa hai talabgaar ne rasta dekhaa ek be-daar kaa bedaar ne rasta dekhaa kam-nasibi ki mulaaqaat se mahrum rahe khush-nasibi ki mire yaar ne rasta dekhaa anginat aae ruke aur ravaana bhi hue kab kisi shakhs kaa sansaar ne rasta dekhaa apne vaalon ne musibat mein bhulaayaa lekin dosti ke liye aghyaar ne rasta dekhaa main ne sachchaai ko jis roz se apnaayaa hai meraa aksar rasan-o-daar ne rasta dekhaa tujh se 'mahmud' use pyaar bahut thaa shaayad marte dam tak tire bimaar ne rasta dekhaa"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"miri jaanib nigaah-e-naaz kar aahista aahista mire dil ke jazire mein utar aahista aahista mohabbat donon jaanib hai tafaavut sirf itnaa hai idhar hai tez-rau lekin udhar aahista aahista tiri beTi kaa qad tere baraabar ho gayaa shaayad tu apni khud-kushi par ghaur kar aahista aahista sahar aai na aae vo sitaaro jaao so jaao ki ab chalte hain ham bhi apne ghar aahista aahista jo kal tak meri barbaadi ki qasmein khaate phirte the vahi ab ho rahe hain dar-ba-dar aahista aahista na jaane rah-ravaan-e-raah kaa ab hashr kyaa hogaa bhaTakte jaa rahe hain raahbar aahista aahista khudaa ke vaaste samjhaa-bujhaa kar rok le koi vo dekho jaa rahe hain ruuTh kar aahista aahista adaavat dil mein rakhnaa muskuraa kar guftugu karnaa sabhi ko aa gayaa hai ye hunar aahista aahista nimaT luun doston ki dosti se pahle ai 'hamza' to lungaa dushmanon ki bhi khabar aahista aahista"
A
Ameer Hamza Aazmi
Quote
"gila hai apne muqaddar ki be-hisi se hamein aur is se baDh ke shikaayat hai zindagi se hamein kabhi nigaar-e-lab-e-shoala-vash kaa zikr chalaa kabhi hisaar-e-gham-e-jaan milaa kisi se hamein kabhi thaa qurb mein ik iztiraab kaa aalam kabhi qaraar milaa teri be-rukhi se hamein kabhi malaal huaa iltifaat-e-paiham se kabhi khushi thi bahut tark-e-dosti se hamein kabhi gumaan ki ye duniyaa hai ik fareb-e-nazar yaqin bhi hai khudaa ke vajud hi se hamein hayaat-e-jehd-e-musalsal mein kyon hai sargardaan zaraa pataa to chale ilm-o-aagahi se hamein agarche dil ko mili thi naved-e-subh-e-jamaal najaat mil na saki shab ki tirgi se hamein khaDe hain dasht-e-balaa-khez mein barahna-paa milaa hai izn-e-safar jazba-e-khudi se hamein 'sabaa' ye kaun si manzil hai dasht-e-imkaan mein na aashnaa se gharaz hai na ajnabi se hamein"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"ek dariyaa saa musalsal hai ravaan jaante hain ham zamaane se zamaane ko yahaan jaante hain raah-e-haq par hamein rakhnaa hain akele hi qadam saath degaa na hamaaraa ye jahaan jaante hain ham ne jo baat kahi vo bhi na samjhi tum ne dost to dost ki khaamosh zabaan jaante hain laakh aaraaishein mil jaaein magar un ke baghair ghar na ho paaegaa ham se ye makaan jaante hain daa'vaa karte hain khudaa ko bhi samajhne kaa magar ham yahaan Thiik se khud ko bhi kahaan jaante hain jism ke zakhm to sab bhar gae kab ke lekin ruuh par ab bhi jo hain ham vo nishaan jaante hain 'aarzu' kyon ho hamein ‘umr-daraazi ki jab zindagi ham tire sab sud-o-ziyaan jaante hain"
Anjuman Mansury ArzooAnjuman Mansury Arzoo
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba