SHAWORDS

tumhaare bin guzaaraa ho rahaa hai — Hadeed Fatema

HomeHadeed FatemaGhazal
"tumhaare bin guzaaraa ho rahaa hai magar ye dil tumhaaraa ho rahaa hai idhar is dil ko aadat ho rahi hai udhar ham se kinaaraa ho rahaa hai tujhe har shakhs pyaaraa ho rahaa hai ye dil ko kab gavaara ho rahaa hai ki rah kar duur bhi tujh se miri jaan khasaara to hamaaraa ho rahaa hai mataa-e-jaan tumhaaraa khvaab thaa jo miri aankhon kaa taaraa ho rahaa hai"
Urdu

تمہارے بن گزارا ہو رہا ہے مگر یہ دل تمہارا ہو رہا ہے ادھر اس دل کو عادت ہو رہی ہے ادھر ہم سے کنارا ہو رہا ہے تجھے ہر شخص پیارا ہو رہا ہے یہ دل کو کب گوارہ ہو رہا ہے کہ رہ کر دور بھی تجھ سے مری جاں خسارہ تو ہمارا ہو رہا ہے متاع جاں تمہارا خواب تھا جو مری آنکھوں کا تارا ہو رہا ہے

Hindi

तुम्हारे बिन गुज़ारा हो रहा है मगर ये दिल तुम्हारा हो रहा है इधर इस दिल को आदत हो रही है उधर हम से किनारा हो रहा है तुझे हर शख़्स प्यारा हो रहा है ये दिल को कब गवारा हो रहा है कि रह कर दूर भी तुझ से मिरी जाँ ख़सारा तो हमारा हो रहा है मता-ए-जाँ तुम्हारा ख़्वाब था जो मिरी आँखों का तारा हो रहा है

tumhāre bin guzārā ho rahā hai
Hadeed Fatema
Hadeed Fatema
Hadeed Fatema
poet4 quotes

More by Hadeed Fatema

View all →
Quote
"ghazal gham ki ik ham sunaane lage hain bhari bazm kaa dil dukhaane lage hain mire saare apne harifon se mil kar meraa zabt phir aazmaane lage hain mohabbat ki baatein jo karte the mujh se mujhe chhoD kar ab vo jaane lage hain tiri aas mein hi chalaa jaa rahaa huun vagarna ye raste thakaane lage hain tumhein dil se ham ne nikaalaa nahin par sabhi khat tumhaare jalaane lage hain puraane the jo gham unhein bhuul kar ab nae khvaab phir ham sajaane lage hain ye duniyaa nahin hai jagah dil-lagi ki so dil ham khudaa se lagaane lage hain"
Hadeed FatemaHadeed Fatema
Quote
"pahle lagtaa thaa bin tere mar jaaungaa tu ne chhoDaa to phir main kidhar jaaungaa tu bhi lagtaa hai mujh ko zamaane saa hi tere dil se bhi ik din utar jaaungaa teri aadat ne mujh ko bigaaDaa hai par ek din dekhnaa main sudhar jaaungaa phir tire paas se dekhnaa kaise main tujh ko dekhe binaa hi guzar jaaungaa aaj baaton mein huun teri nazron mein huun jald dil mein tire ho amar jaaungaa teri nazar-e-karam ki hi bas der hai ye jo bigDaa huaa huun sanvar jaaungaa us ki yaadein raheingi mire saath saath shahr ye chhoD kar ab agar jaaungaa ek din chhoD ye gham-zadon kaa jahaan ban main guzri puraani khabar jaaungaa ban ke baadal havaaon ke sang uD ke main DhunDne tujh ko har ik nagar jaaungaa kyaa kahaa tujh ko mujh par bharosa nahin tujh ko lagtaa hai ki main mukar jaaungaa huun mohabbat mohabbat mohabbat huun main teraa dil to nahin huun jo bhar jaaungaa aaj khushbu miri hogi kal chhaanv bhi phuul huun aaj kal ban shajar jaaungaa"
Hadeed FatemaHadeed Fatema

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil