SHAWORDS

tumhein daaman bhigonaa chaahiye thaa — Nisar Rahi

HomeNisar RahiGhazal
"tumhein daaman bhigonaa chaahiye thaa kabhi to khul ke ronaa chaahiye thaa nigaahon mein bhare hain khvaab kitne koi manzar bhi honaa chaahiye thaa tumhein laDiyon mein yaaro aansuon ki khayaalon ko pironaa chaahiye thaa jo dil mein hai use paani ki khvaahish to pahle khud ko khonaa chaahiye thaa bachaayaa hai agar us ne bhanvar mein kinaare par Dubonaa chaahiye thaa zamin-e-dil pe jab itni hai baarish tumhein bhi khvaab bonaa chaahiye thaa 'nisaar' apni haqiqat sirf miTTi magar us ko to sonaa chaahiye thaa"
Urdu

تمہیں دامن بھگونا چاہئے تھا کبھی تو کھل کے رونا چاہئے تھا نگاہوں میں بھرے ہیں خواب کتنے کوئی منظر بھی ہونا چاہئے تھا تمہیں لڑیوں میں یارو آنسوؤں کی خیالوں کو پرونا چاہئے تھا جو دل میں ہے اسے پانی کی خواہش تو پہلے خود کو کھونا چاہئے تھا بچایا ہے اگر اس نے بھنور میں کنارے پر ڈبونا چاہئے تھا زمین دل پہ جب اتنی ہے بارش تمہیں بھی خواب بونا چاہئے تھا نثارؔ اپنی حقیقت صرف مٹی مگر اس کو تو سونا چاہئے تھا

Hindi

तुम्हें दामन भिगोना चाहिए था कभी तो खुल के रोना चाहिए था निगाहों में भरे हैं ख़्वाब कितने कोई मंज़र भी होना चाहिए था तुम्हें लड़ियों में यारो आँसुओं की ख़यालों को पिरोना चाहिए था जो दिल में है उसे पानी की ख़्वाहिश तो पहले ख़ुद को खोना चाहिए था बचाया है अगर उस ने भँवर में किनारे पर डुबोना चाहिए था ज़मीन-ए-दिल पे जब इतनी है बारिश तुम्हें भी ख़्वाब बोना चाहिए था 'निसार' अपनी हक़ीक़त सिर्फ़ मिट्टी मगर उस को तो सोना चाहिए था

tumheñ dāman bhigonā chāhiye thā
Nisar Rahi
Nisar Rahi
Nisar Rahi
poet6 quotes

More by Nisar Rahi

View all →
Quote
"fazaa mein naghmagi kuchh kam hui hai har ik lab par hansi kuchh kam hui hai ye maanaa TuuT kar barse hain baadal magar kyaa tishnagi kuchh kam hui hai andheraa jab se phailaa hai dilon mein musalsal raushni kuchh kam hui hai vahi baatein vahi chehraa hai lekin ghazal mein taazgi kuchh kam hui hai tumhaare dil se mere dil ki duuri khayaalon mein sahi kuchh kam hui hai use shiddat se ab bhi chaahtaa huun magar divaangi kuchh kam hui hai 'nisaar' aavaaz jab bhi di havaa ne gulon ki be-rukhi kuchh kam hui hai"
Nisar RahiNisar Rahi
Quote
"raah mein ek sitaaraa hi bahut hotaa hai yaad kaa us ki sahaaraa hi bahut hotaa hai ru-ba-ru milne ki us se kabhi himmat na hui khvaab mein us kaa nazaara hi bahut hotaa hai dil ki gahraai nigaahon se ziyaada hai magar Dubnaa ho to kinaaraa hi bahut hotaa hai be-khabar itne bhi mausam se parinde kyon the jab havaaon kaa ishaara hi bahut hotaa hai ho gayaa ishq se sone mein suhaagaa varna sirf taqdir kaa maaraa hi bahut hotaa hai e'timaad us ne kahaan mujh pe kiyaa hai varna ek tinke kaa sahaaraa hi bahut hotaa hai intizaar aaj bhi kyon chaand kaa karte ho 'nisaar' jab andhere mein sitaaraa hi bahut hotaa hai"
Nisar RahiNisar Rahi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil