SHAWORDS

ubharte Dubte suraj ye faasla kyon hai — Ayaz Jhansvi

HomeAyaz JhansviGhazal
"ubharte Dubte suraj ye faasla kyon hai vo meraa saaya hai mujh se magar baDaa kyon hai har ek shakhs yahi baat sochtaa kyon hai vo jis maqaam pe hai koi dusraa kyon hai na saaf dil na khule zehn hain to phir yaaro ye saath baiThne uThne kaa silsila kyon hai hamaaraa haal hamaaraa mizaaj barson se vo jaantaa hai magar sab se puchhtaa kyon hai na apni fikr na apnaa khayaal hai us ko vo is qadar mire baare mein sochtaa kyon hai ham apne ghar mein jab aae to ye huaa ehsaas tamaam shahr mein gard-o-ghubaar saa kyon hai 'ajab nahin ki ho donon kaa ek haal 'ayaaz' hamaari tarh koi raah mein khaDaa kyon hai"
Urdu

ابھرتے ڈوبتے سورج یہ فاصلہ کیوں ہے وہ میرا سایہ ہے مجھ سے مگر بڑا کیوں ہے ہر ایک شخص یہی بات سوچتا کیوں ہے وہ جس مقام پہ ہے کوئی دوسرا کیوں ہے نہ صاف دل نہ کھلے ذہن ہیں تو پھر یارو یہ ساتھ بیٹھنے اٹھنے کا سلسلہ کیوں ہے ہمارا حال ہمارا مزاج برسوں سے وہ جانتا ہے مگر سب سے پوچھتا کیوں ہے نہ اپنی فکر نہ اپنا خیال ہے اس کو وہ اس قدر مرے بارے میں سوچتا کیوں ہے ہم اپنے گھر میں جب آئے تو یہ ہوا احساس تمام شہر میں گرد و غبار سا کیوں ہے عجب نہیں کہ ہو دونوں کا ایک حال ایازؔ ہماری طرح کوئی راہ میں کھڑا کیوں ہے

Hindi

उभरते डूबते सूरज ये फ़ासला क्यों है वो मेरा साया है मुझ से मगर बड़ा क्यों है हर एक शख़्स यही बात सोचता क्यों है वो जिस मक़ाम पे है कोई दूसरा क्यों है न साफ़ दिल न खुले ज़ेहन हैं तो फिर यारो ये साथ बैठने उठने का सिलसिला क्यों है हमारा हाल हमारा मिज़ाज बरसों से वो जानता है मगर सब से पूछता क्यों है न अपनी फ़िक्र न अपना ख़याल है उस को वो इस क़दर मिरे बारे में सोचता क्यों है हम अपने घर में जब आए तो ये हुआ एहसास तमाम शहर में गर्द-ओ-ग़ुबार सा क्यों है 'अजब नहीं कि हो दोनों का एक हाल 'अयाज़' हमारी तरह कोई राह में खड़ा क्यों है

ubharte Dūbte sūraj ye fāsla kyoñ hai
Ayaz Jhansvi
Ayaz Jhansvi
Ayaz Jhansvi
poet4 quotes

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil