SHAWORDS

umidein to vaabasta hain abr-e-tar se — Amn Lakhnavi

HomeAmn LakhnaviGhazal
"umidein to vaabasta hain abr-e-tar se jo barse to barse na barse na barse jahaan kyaa hai aur is ki ranginiyaan kyaa ye puchho kisi dida-e-haq-nigar se zabaan o dahan se jo khulte nahin hain vo khul jaate hain raaz aksar nazar se miraa raasta kaarvaan se alag hai guzarnaa hai ik manzil-e-pur-khatar se ye hai 'amn' insaan ki pasti si pasti gunah se bachaa bhi to dozakh ke Dar se"
Urdu

امیدیں تو وابستہ ہیں ابر تر سے جو برسے تو برسے نہ برسے نہ برسے جہاں کیا ہے اور اس کی رنگینیاں کیا یہ پوچھو کسی دیدۂ حق نگر سے زبان و دہن سے جو کھلتے نہیں ہیں وہ کھل جاتے ہیں راز اکثر نظر سے مرا راستہ کارواں سے الگ ہے گزرنا ہے اک منزل پر خطر سے یہ ہے امنؔ انساں کی پستی سی پستی گنہ سے بچا بھی تو دوزخ کے ڈر سے

Hindi

उमीदें तो वाबस्ता हैं अब्र-ए-तर से जो बरसे तो बरसे न बरसे न बरसे जहाँ क्या है और इस की रंगीनियाँ क्या ये पूछो किसी दीदा-ए-हक़-निगर से ज़बान ओ दहन से जो खुलते नहीं हैं वो खुल जाते हैं राज़ अक्सर नज़र से मिरा रास्ता कारवाँ से अलग है गुज़रना है इक मंज़िल-ए-पुर-ख़तर से ये है 'अम्न' इंसाँ की पस्ती सी पस्ती गुनह से बचा भी तो दोज़ख़ के डर से

umīdeñ to vābasta haiñ abr-e-tar se
Amn Lakhnavi
Amn Lakhnavi
Amn Lakhnavi
poet19 quotes

More by Amn Lakhnavi

View all →
Quote
"har manzil ke aage manzil Tuut na jaae rahrau kaa dil farzi hai har hadd-e-faasil kaun hai 'aalim kaun hai jaahil yuun to bahut hain ‘ishrat-gaahein un ki mahfil un ki mahfil dard nahin hai to kyaa khush ho dil hi nahin hai dard ke qaabil tufaanon kaa zor musallam tang nahin hai daaman-e-saahil un se milnaa un ko bhulaanaa ye bhi mushkil vo bhi mushkil jiine ki har dil mein havas hai koi bataae is kaa haasil sau daa'von par aaj bhi insaan ghaafil aur ghaafil se ghaafil"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi
Quote
"lazzat-e-‘ishq nahin khaak-basar hone tak naubat aaegi abhi chaak jigar hone tak tiliyon mein jo sakat hai vo mujhe hai maa'lum haan salaamat hai qafas jumbish-e-par hone tak chand zarre jinhein masjud-e-malak honaa thaa kin manaazil se vo guzre hain bashar hone tak ham ne maanaa ki shab-e-gham ki sahar hoti hai ziist ki shaam na ho jaae sahar hone tak surma-e-chashm banegi usi parvaane ki khaak zindagi jis ki thi takmil-e-nazar hone tak rang-e-mahfil nazar aataa nahin kyaa 'amn' tumhein uTh chalo bazm se aahang-e-digar hone tak"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi
Quote
"neki hai ik junun mujhe ab tak yaqin nahin hai sidq sar-nigun mujhe ab tak yaqin nahin kahte ho tum ye daur hai makr-o-fareb kaa ai dost kyaa kahun mujhe ab tak yaqin nahin khanjar-ba-kaf hazaar hain baatil ki quvvatein imaan kaa ho khuun mujhe ab tak yaqin nahin hangaama-kheziyon pe lage mohr-e-shaadbaash badnaam ho sakun mujhe ab tak yaqin nahin kahte hain ab rahegaa na baaqi koi sharif badlegaa rang yuun mujhe ab tak yaqin nahin mustaqbil-e-qarib mein gir jaaeinge tamaam akhlaaq ke sutun mujhe ab tak yaqin nahin rasm-e-vafaa-o-mehr mein paataa huun dilkashi baatil hai ye fusun mujhe ab tak yaqin nahin"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi
Quote
"gham-e-duniyaa agar kuchh mukhtasar hotaa to kyaa hotaa jo ye gham mukhtasar hotaa bashar hotaa to kyaa hotaa ye fikr-e-haal yaad-e-'ahd-e-maazi ik musibat hai jo mustaqbil se insaan baa-khabar hotaa to kyaa hotaa zamin-o-aasmaan ki gardishein to sab mu'ayyan hain agar bil-farz aahon mein asar hotaa to kyaa hotaa ye saaraa khel duniyaa kaa hai qaaem kam-nigaahi par agar insaan kahin saahib-nazar hotaa to kyaa hotaa farishton ne kiyaa insaan ko sajda hukm-e-khaaliq se jo ye farmaan ba-andaaz-e-digar hotaa to kyaa hotaa ye zikr-e-jannat-o-dozakh pe hans kar rind kahte hain khudaa-naa-karda qissa mo'tabar hotaa to kyaa hotaa nazar mahdud jalve muntashir hain ik qayaamat hai agar har jalva paaband-e-nazar hotaa to kyaa hotaa ye teri be-zari aur haasidon kaa ye hasad tauba agar ai 'amn' tere paas zar hotaa to kyaa hotaa"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi
Quote
"hai 'aarzi hayaat bas itni si baat hai insaan hai be-sabaat bas itni si baat hai insaan ko khudaa pe bharosa nahin rahaa vajh-e-tafakkuraat bas itni si baat hai tul-e-shab-e-firaaq ki tafsil kyaa kahein kaTti nahin hai raat bas itni si baat hai garmi baDhi dimaagh ki dil ho gae hain sard az-ru-e-nafsiyaat bas itni si baat hai shaatir jo the harif 'ajab chaal chal gae ham khaa gae hain maat bas itni si baat hai do harf kah diye to ye sab kuchh 'ayaan huaa takhliq-e-kaaenaat bas itni si baat hai"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi
Quote
"kuchh bhi aaj bhi tauqir-e-vafaa hai to sahi kam hai yaa besh hai is baat se kyaa hai to sahi dair ki sair bhi ki sair-e-haram bhi kar li dekhnaa kyaa dar-e-mai-khaana hai vaa hai to sahi lab pe rindon ke hain allaah ko sau salvaatein na sahi khauf-e-khudaa zikr-e-khudaa hai to sahi jis se duniyaa ko na kuchh kaam na duniyaa se jise vo bhalaa hai to sahi aur buraa hai to sahi soch kar kahne lagaa ye maraz-e-gham kaa tabib kyaa likhun is ki davaa ek davaa hai to sahi koi gumraah miri sust-ravi par na hanse na sahi taaqat-e-paa raah-numaa hai to sahi imtihaan-e-sho’araa bazm-e-sukhan mein tauba kaisi rakkhi hai radif aur sunaa hai to sahi fursat-e-she’r-o-sukhan 'amn' ko kam hai lekin she'r-goi kaa abhi hausla saa hai to sahi"
Amn LakhnaviAmn Lakhnavi