Quote
"kahin to hotaa nahin huun zaraa baraabar bhi kahin kahin pe to main be-hisaab hotaa huun kharaab ho to rahaa huun tumhaari chaahat mein ye dekhnaa hai kahaan tak kharaab hotaa huun ba-vaqt-e-fajr zaraa der ko sanbhaltaa hai ba-vaqt-e-‘asr main khud par 'azaab hotaa huun"
