"aaj yuun dil mein tiri yaad hui hai bedaar jaise maasum se chehre pe tabassum ki phuvaar taa-kujaa zulf-o-lab-o-rukh ki ye komal jhankaar sun sako gar to suno vaqt ke zakhmon ki pukaar jumbish-e-lab ki sazaa aaj bhi is duniyaa mein tauq-o-zanjir kahin hai to kahin manzil-e-daar jis taraf dekhiye jalve hain tiri qudrat ke har taraf dekhiye riste hue zakhmon ki bahaar aaj jo dhaj hai tire kuche ki pahle to na thi yuun to guzre hain inhi raston se ham saikDon baar pursish-e-gham hi bahut hai ki zamaane mein 'ayaaz' kis ko fursat jo kare baiTh ke zakhmon kaa shumaar"
vaade in hasinon ke vafaa ho nahin sakte — Ayaz Bilgrami
"vaade in hasinon ke vafaa ho nahin sakte patthar ke sanam hain ye khudaa ho nahin sakte ik umr chubhe hain miri aankhon mein jo aansu vo to mire zakhmon ki davaa ho nahin sakte fikr-e-gham-e-duniyaa hai kabhi fikr-e-gham-e-dil ehsaan zamaane ke adaa ho nahin sakte ik shokh ne yuun dil ko dukhaayaa hai ki yaaro siine se mire haath judaa ho nahin sakte jazbaat jo ik umr se is dil mein nihaan hain alfaaz mein ai yaar adaa ho nahin sakte jannat mile ab yaa na mile lekin 'ayaaz' ham is but se kisi tarah judaa ho nahin sakte"
وعدے ان حسینوں کے وفا ہو نہیں سکتے پتھر کے صنم ہیں یہ خدا ہو نہیں سکتے اک عمر چبھے ہیں مری آنکھوں میں جو آنسو وہ تو مرے زخموں کی دوا ہو نہیں سکتے فکر غم دنیا ہے کبھی فکر غم دل احسان زمانے کے ادا ہو نہیں سکتے اک شوخ نے یوں دل کو دکھایا ہے کہ یارو سینے سے مرے ہاتھ جدا ہو نہیں سکتے جذبات جو اک عمر سے اس دل میں نہاں ہیں الفاظ میں اے یار ادا ہو نہیں سکتے جنت ملے اب یا نہ ملے لیکن ایازؔ ہم اس بت سے کسی طرح جدا ہو نہیں سکتے
वा'दे इन हसीनों के वफ़ा हो नहीं सकते पत्थर के सनम हैं ये ख़ुदा हो नहीं सकते इक उम्र चुभे हैं मिरी आँखों में जो आँसू वो तो मिरे ज़ख़्मों की दवा हो नहीं सकते फ़िक्र-ए-ग़म-ए-दुनिया है कभी फ़िक्र-ए-ग़म-ए-दिल एहसान ज़माने के अदा हो नहीं सकते इक शोख़ ने यूँ दिल को दुखाया है कि यारो सीने से मिरे हाथ जुदा हो नहीं सकते जज़्बात जो इक उम्र से इस दिल में निहाँ हैं अल्फ़ाज़ में ऐ यार अदा हो नहीं सकते जन्नत मिले अब या न मिले लेकिन 'अयाज़' हम इस बुत से किसी तरह जुदा हो नहीं सकते
More by Ayaz Bilgrami
View all →"husn-o-ulfat ki kahaani kyaa hai kyaa bataaein ki javaani kyaa hai teri zulfon se mahaktaa hai jahaan mushk kyaa raat ki raani kyaa hai chand ilzaam junun ke varna aur do din ki javaani kyaa hai tere daaman kaa bharam rakhte hain ashk kyaa chiiz hai paani kyaa hai tere honTon se huaa dil sairaab pyaas kyaa tishna-dahaani kyaa hai jumbish-e-lab ko tarastaa hai 'ayaaz' puchhte kyaa ho kahaani kyaa hai"
"hui hai diid na koi naved aai hai ajiib rang mein kuchh ab ke eid aai hai jidhar jidhar bhi tiri muztarib nigaah uThi idhar udhar se dil-o-jaan kharid aai hai sanbhal sanbhal ke chale jab bhi un ke kuche mein to jaan-o-dil pe tabaahi mazid aai hai kisi ne puchh liyaa hai jo dil kaa haal kabhi to jaise kucha-e-armaan mein eid aai hai 'ayaaz' kucha-e-qaatil se aaj dil ki havas khushi ke naam pe kuchh gham kharid aai hai"
"ab tir-e-sitam dil pe jo chal jaae to achchhaa hasrat mire qaatil ki nikal jaae to achchhaa aanaa hai to aa jaao ki phir ham na mileinge kuchh din dil-e-divaana sanbhal jaae to achchhaa hai maut to bar-haq magar us shokh ki khaatir kuchh din ke liye aur jo Tal jaae to achchhaa piine do mujhe aaj miraa haath na roko ye jaan ab is tan se nikal jaae to achchhaa ab us ke sitam hon ki karam yaad na kiije ye hijr ki shab hai yunhi Tal jaae to achchhaa saaqi se hamein koi shikaayat nahin lekin maikhaane kaa dastur badal jaae to achchhaa ik umr 'ayaaz' us ki tamanna mein kaTi hai ab rang-e-tabiat jo badal jaae to achchhaa"
"ho ke ik roz phir baham ham tum baanT lein is jahaan kaa gham ham tum ab koi dil kisi se ho na judaa ahd aa kar lein kam se kam ham tum pyaar anqaa hai is zamaane mein rakh rahe hain bas ik bharam ham tum ho hi jaaegaa jaan-o-dil kaa hisaab phir hue gar kabhi baham ham tum jaate Dartaa hai jis taraf ye jahaan ab uThaa lein udhar qadam ham tum muttahid ho to ai chaman vaalo toD dein baazu-e-sitam ham tum aao mil-jul ke baanT lein yaaro fikr-e-dil fikr-e-besh-o-kam ham tum aaj rasm-e-vafaa nibhaa Daalo phir kabhi hon na ho baham ham tum aaj bhi vaan gulaab khilte hain kal hue the jahaan baham ham tum"
More on Dil
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"