SHAWORDS

vaaiz ke paas jaaeinge ham mai piye hue — Meer Mohammad Sultan Aaqil

"vaaiz ke paas jaaeinge ham mai piye hue muddat hui hai tauba se tauba kiye hue mashq-e-khiraam gor-e-gharibaan mein kyaa zarur mahshar bapaa kareinge ye murde jiye hue khaamosh kyuun hain shahr-e-khamoshaan ki saakenin goyaa dahan hain taar-e-nafas se siye hue naa-aazmuda-kaari-e-husn un ki hai ghazab sharmaae phirte hain vo miraa dil liye hue ye didani hai mai-kada mein josh-e-be-khudi aae hain aaj hazrat-e-vaaiz piye hue"
Urdu

واعظ کے پاس جائیں گے ہم مے پیے ہوئے مدت ہوئی ہے توبہ سے توبہ کیے ہوئے مشق خرام گور غریباں میں کیا ضرور محشر بپا کریں گے یہ مردے جئے ہوئے خاموش کیوں ہیں شہر خموشاں کی ساکنین گویا دہن ہیں تار نفس سے سئے ہوئے ناآزمودہ کاریٔ حسن ان کی ہے غضب شرمائے پھرتے ہیں وہ مرا دل لئے ہوئے یہ دیدنی ہے مے کدہ میں جوش بے خودی آئے ہیں آج حضرت واعظ پئے ہوئے

Hindi

वाइज़ के पास जाएँगे हम मय पिए हुए मुद्दत हुई है तौबा से तौबा किए हुए मश्क़-ए-ख़िराम गोर-ए-ग़रीबाँ में क्या ज़रूर महशर बपा करेंगे ये मुर्दे जिए हुए ख़ामोश क्यूँ हैं शहर-ए-ख़मोशाँ की साकेनीन गोया दहन हैं तार-ए-नफ़स से सिए हुए ना-आज़मूदा-कारी-ए-हुस्न उन की है ग़ज़ब शरमाए फिरते हैं वो मिरा दिल लिए हुए ये दीदनी है मय-कदा में जोश-ए-बे-ख़ुदी आए हैं आज हज़रत-ए-वाइज़ पिए हुए

vaa.iz ke paas jā.eñge ham mai piye hue
M
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Meer Mohammad Sultan Aaqil
poet10 quotes

More by Meer Mohammad Sultan Aaqil

View all →
Quote
"yuun nahin chain to ghaflat kaa sitam aur sahi ham ye samjheinge ki afzaaish-e-gham aur sahi tum na aaoge to kyaa jaan na jaaegi miri aamad-o-raft nafas ki koi dam aur sahi kahte hain zulm ke baad aah karoge to kyaa lashkar-e-jaur-o-jafaa mein ye alam aur sahi jhuk ke milne se tumhaare mujhe khauf aataa hai go ye kham aur sahi tegh kaa kham aur sahi asl mein jalva ye kis kaa hai tu hi kah vaaiz teraa rab aur sahi meraa sanam aur sahi vaada-e-vasl ki takraar pe kahte hain ki jhuuT inhin ahdon mein tire sar ki qasam aur sahi jashn-e-jamshed mayassar hai ki dil rakhte hain jaam ye aur sahi saaghar-e-jam aur sahi khuub hai tum mein jafaa ki na rahegi aadat mere badle bhi raqibon pe karam aur sahi"
M
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Quote
"idhar to ham jaan kho rahe hain udhar vo ulfat se ro rahe hain kuduratein umr bhar ki dil se vo aaj ashkon mein dho rahe hain na baaz rakh ham ko rone se tu girein jo ashkon ke daane bahattar ye kisht-e-hasrat mein apni hamdam umiid kaa tukhm bo rahe hain idhar taraqqi khayaal ko hai udhar taraqqi jamaal ko hai vahaan to madd-e-nazar hai surma yahaan tasavvur mein ro rahe hain jahaan huaa tifl koi paidaa kahaa ye maan ne abul-bashar ki miri bhi aaghosh hai kushaada abas ye saamaan ho rahe hain kiyaa hai be-jurm qatl mujh ko hujum-e-aghyaar-o-aashnaa mein aur is pe dekho DhiTaai ashkon se daaman apnaa bhigo rahe hain na puchho kuchh maasiyat kaa aalam farishto ham kyaa ki tum ne bachte haqiqat is ki unhin se puchho sara-e-duniyaa mein jo rahe hain khabar visaal-e-adu ki sun kar visaal ke maani sochte hain unhin ko vaan kuchh nahin hai shaadi ki khush yahaan ham bhi ho rahe hain gila abas un se kiije 'aaqil' kiyaa hai qismat ne un ko ghaafil jo dar pe jaa kar pukaaraa main ne to bole kah do ki so rahe hain"
M
Meer Mohammad Sultan Aaqil
Quote
"na zinda na murda na duniyaa na diin kaa mujhe tu ne zaalim na rakkhaa kahin kaa abas imtihaan mein lagaate ho vaqfa bharosaa hai kyaa meri jaan-e-hazin kaa mujhe ghar mein gardish hai patli ki surat ye eajaaz hai chashm-e-sehr-aafrin kaa puraanaa na fitna tire ghar se uTThaa nayaa aasmaan hai magar is zamin kaa kabhi mere tan mein kabhi us ke ghar mein yahi shaghl hai meri jaan-e-hazin kaa ghazab hai miri us se takraar-e-vaada sitam hai jo mauqaa milaa ab nahin kaa sunaa tu ne 'aaqil' ajab raat guzri mohabbat kaa mazkur niklaa kahin kaa"
M
Meer Mohammad Sultan Aaqil

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud