SHAWORDS

ye meraa aks jo Thahraa tiri nigaah mein hai — Amir Ameer

HomeAmir AmeerGhazal
"ye meraa aks jo Thahraa tiri nigaah mein hai nahin hai pyaar to phir kyaa tiri salaah mein hai nahin hai vaqt ki jurat ki chhu sake us ko ye teraa husn ki jab tak miri panaah mein hai nazar jo tujh pe ruke to zaraa nahin sunti kahaan savaab mein hai ye kahaan gunaah mein hai zabaan sambhaal ke ab naam le raqib us kaa jo teraa pyaar thaa vo ab mire nikaah mein hai"
Urdu

یہ میرا عکس جو ٹھہرا تری نگاہ میں ہے نہیں ہے پیار تو پھر کیا تری صلاح میں ہے نہیں ہے وقت کی جرأت کہ چھو سکے اس کو یہ تیرا حسن کہ جب تک مری پناہ میں ہے نظر جو تجھ پہ رکے تو ذرا نہیں سنتی کہاں ثواب میں ہے یہ کہاں گناہ میں ہے زباں سنبھال کے اب نام لے رقیب اس کا جو تیرا پیار تھا وہ اب مرے نکاح میں ہے

Hindi

ये मेरा अक्स जो ठहरा तिरी निगाह में है नहीं है प्यार तो फिर क्या तिरी सलाह में है नहीं है वक़्त की जुरअत कि छू सके उस को ये तेरा हुस्न कि जब तक मिरी पनाह में है नज़र जो तुझ पे रुके तो ज़रा नहीं सुनती कहाँ सवाब में है ये कहाँ गुनाह में है ज़बाँ सँभाल के अब नाम ले रक़ीब उस का जो तेरा प्यार था वो अब मिरे निकाह में है

ye merā aks jo Thahrā tirī nigāh meñ hai
Amir Ameer
Amir Ameer
Amir Ameer
poet17 quotes

More by Amir Ameer

View all →
Quote
"tiri hi shakl ke but hain kai taraashe hue na puchh kaaba-e-dil mein bhi kyaa tamaashe hue hamaari laash ko maidaan-e-ishq mein pahchaan bujhi hui si hain aankhein to dil kharaashe hue ba-vaqt-e-vasl koi baat bhi na ki ham ne zabaan thi sukhi hui honT irtiaashe hue vo kaise baat ko toleinge aur boleinge jo pal mein tole hue aur pal mein maashe hue mazaaq chhoD bataa ye ki mujh se kyaa parda tire nuqush hain saare mire talaashe hue main tere shahr se niklaa thaa ain us lamha tire nikaah pe taqsim jab bataashe hue"
Amir AmeerAmir Ameer
Quote
"na ghaur se dekh mere dil kaa kabaaD aise ki main kabhi bhi nahin rahaa thaa ujaaD aise buraa ho teraa jo band rakhe the main ne ghar ke to khol aayaa baghair puchhe kivaaD aise jo meri ruh-o-badan ke Taanke udheD Daale to meri nazron pe apni nazron ko gaaD aise samajh na paayaa ki toD detaa yaa saath rakhtaa ki is taalluq mein aa gai thi daraaD aise ai ishq! rah jaaun phaDphaDaa ke yuun kar de be-bas so meri gardan mein apne daanton ko gaaD aise to meri aadat se meri fitrat hi ho chalaa hai abhi bhi kahtaa huun mujh ko tu na bigaaD aise ye mere baazu hi jang kaa faisla kareinge pakaD le talvaar aur mujh ko pachhaaD aise tumhaare gham kaa pahaaD TuuTaa to phir ye jaanaa pahaaDon par hi to TuTte hain pahaaD aise hazaar minnat hazaar minnat hazaar mehnat tujhe manaane ko kar rahaa huun jugaaD aise"
Amir AmeerAmir Ameer
Quote
"pyaar ki har ik rasm ki jo matruk thi main ne jaari ki ishq-labaada tan par pahnaa aur mohabbat taari ki main ab shahr-e-ishq mein kuchh qaanun banaane vaalaa huun ab us us ki khair nahin hai jis jis ne ghaddaari ki pahle thoDi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai par jab asli chehra dekhaa main ne to phir saari ki jo bhi muD kar dekhegaa vo patthar kaa ho jaaegaa dekho dekho shahr mein aae sannaaTaa aur taariki ek janam mein main us kaa thaa ek janm mein vo meraa ham ne ki har baar mohabbat lekin baari baari ki ham saa ho to saamne aae aadil aur insaaf-pasand dushman ko bhi khuun rulaayaa yaaron se bhi yaari ki aisaa pyaar thaa ham donon mein ki barson laa-ilm rahe us ne bhi kirdaar nibhaayaa main ne bhi fankaari ki baat to itni si hai vaapas jaane ko main aayaa thaa saans uThaai umr sameTi chalne ki tayyaari ki"
Amir AmeerAmir Ameer
Quote
"tasvir teri yuun hi rahe kaash jeb mein goyaa ki husn-e-vaadi-e-kailaash jeb mein raste mein mujh ko mil gayaa yuun hi giraa-paDaa main ne uThaa ke rakh liyaa aakaash jeb mein pandrah minute se DhunD rahaa hai na jaane kyaa Daale hue hai haath ko qallaash jeb mein aa jaa ki yaar paan ke khokhe pe jama hain cigarette chhupaa ke haath mein aur taash jeb sab tent aur kursiyon vaale kamaa gae shaair ne Thuns kar bhari shaabaash jeb mein ab us gharib chor ko bhejoge jail kyuun ghurbat ki jis ne kaaT li paadaash jeb mein rakhtaa nahin huun paas mein apni kabhi shanaakht phirtaa hai kaun le ke kabhi laash jeb mein"
Amir AmeerAmir Ameer
Quote
"vo bhi ab yaad karein kis ko manaane nikle ham bhi yunhi to na maane the siyaane nikle main ne mahsus kiyaa jab bhi ki ghar se niklaa aur bhi log kai kar ke bahaane nikle aaj ki baat pe main hanstaa rahaa hanstaa rahaa choT taaza jo lagi dard puraane nikle ek shatranj-numaa zindagi ke khaanon mein aise ham shaah jo pyaadon ke nishaane nikle tu ne jis shakhs ko maaraa thaa samajh kar kaafir us ki muTThi se to tasbih ke daane nikle kaash ho aaj kuchh aisaa vo miraa maalik-e-dil mere dil se hi mire dil ko churaane nikle aap kaa dard in aankhon se chhalaktaa kaise mere aansu to piyaazon ke bahaane nikle main samajhtaa thaa tujhe ek zamaane kaa magar tere andar to kai aur zamaane nikle laapata aaj talak qaafile saare hain 'amir' jo tire pyaar mein kho kar tujhe paane nikle"
Amir AmeerAmir Ameer