Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anwar Shuoor
yaad aa gayaa vo shakhs to yaad aae jaaegaa
rulvaae jaaegaa hamein taDpaae jaaegaa
taa'bir se kabhi to navaazegaa aasmaan
kab tak hamaare khvaab-mahal Dhaae jaaegaa
· · ·
Anwar Shuoor
rahi raat un se mulaaqaat kam
mudaaraat khaasi hui baat kam
tiri yaad itnaa baDaa kaam hai
ki maalum hote hain din raat kam
· · ·
Anwar Shuoor
mere siine mein kuchh zer-o-zabar hai
chaman mein ghaaliban vaqt-e-sahar hai
chalaa jaataa huun aksar shahr vaalo
bayaabaan mein bhi meraa ek ghar hai
· · ·
Anwar Shuoor
aise dekhaa hai ki dekhaa hi na ho
jaise mujh ko tiri parvaa hi na ho
baaz ghar shahr mein aise dekhe
jaise un mein koi rahtaa hi na ho
· · ·
Anwar Shuoor
ittifaaq apni jagah khush-qismati apni jagah
khud banaataa hai jahaan mein aadmi apni jagah
kah to saktaa huun magar majbur kar saktaa nahin
ikhtiyaar apni jagah hai bebasi apni jagah
· · ·
Anwar Shuoor
vo bhi kyaa daur zindagi kaa thaa
koi meraa thaa main kisi kaa thaa
aankh kyaa aaftaab par jamti
masala tez raushni kaa thaa
· · ·
Anwar Shuoor
divaar jaane dijiye dar jaane dijiye
dasht-o-daman basaaiye ghar jaane dijiye
har phuul dekhne ke liye hai bahaar kaa
jis jis pe jaa rahi hai nazar jaane dijiye
· · ·
Anwar Shuoor
ham us ke sahi vo hamaaraa nahin
mohabbat pe koi ijaara nahin
main fitrat ki ik khaam tasvir huun
kisi ne banaayaa sanvaaraa nahin
· · ·
Anwar Shuoor
un ki surat hamein aai thi pasand aankhon se
aur phir ho gai baalaa-o-buland aankhon se
koi zanjir nahin taar-e-nazar se mazbut
ham ne is chaand pe Daali hai kamand aankhon se
· · ·
Anwar Shuoor
kuchh dinon apne ghar rahaa huun main
aur phir dar-ba-dar rahaa huun main
dusron ki khabar to kyaa letaa
khud se bhi be-khabar rahaa huun main
· · ·
Anwar Shuoor
dhoka karein fareb karein yaa daghaa karein
ham kaash dusron pe na tohmat dharaa karein
rakkhaa karein har ek khataa apne dosh par
har jurm apni fard-e-‘amal mein likhaa karein
· · ·
Anwar Shuoor
mujhe ye justuju kyuun ho ki kyaa huun aur kiyaa thaa main
koi apne sivaa huun main koi apne sivaa thaa main
na jaane kaun saa aatish-fishaan thaa mere siine mein
ki khaali thaa bahut phir bhi dhamak kar phaT paDaa thaa main
· · ·
Anwar Shuoor
ham use kaash ru-baru karte
aur aankhon se guftugu karte
dosto mere saath ye neki
tum na karte to kyaa 'adu karte
· · ·
Anwar Shuoor
bayaabaan huun yaa samundar huun main
vahi saamne huun jo andar huun main
khudaaraa na khulvaao meri zabaan
shikaayaat kaa ek daftar huun main
· · ·
Anwar Shuoor
saamne aa kar vo kyaa rahne lagaa
ghar kaa darvaaza khulaa rahne lagaa
paas rahne se to apne darmiyaan
jaise koi faasla rahne lagaa
· · ·
Anwar Shuoor
puuri sazaa-e-zindagi karne ke baa'd hi
ab ham rihaai paaeinge marne ke baa'd hi
aaraam se raho ki taDapte raho miyaan
aati hai subh raat guzarne ke baa'd hi
· · ·
Anwar Shuoor
sar gharibon ke kham ziyaada hain
is liye un ke gham ziyaada hain
jaane vo zulf hai bahut pur-pech
yaa giraftaar ham ziyaada hain
· · ·
Anwar Shuoor
balaa se garebaan hai yaa nahin
uTho jism mein jaan hai yaa nahin
mohabbat mein aakhir ye kyaa sochnaa
vo kaafir musalmaan hai yaa nahin
· · ·
Anwar Shuoor
tanhaai pasandida hai mahfil se ziyaada
duniyaa mein koi dost kahaan dil se ziyaada
har chiiz mayassar hui lekin na mile aap
laa-haasili-e-'umr hai haasil se ziyaada
· · ·
Anwar Shuoor
raabta subh-o-shaam hai ham se
kyaa unhein koi kaam hai ham se
tauba ne haath baandh rakkhe hain
varna kyaa duur jaam hai ham se
· · ·
Anwar Shuoor
us bazm mein kyaa koi sune raae hamaari
ye baat ye auqaat kahaan haae hamaari
ham chaahte kyaa hain nahin maa'lum kisi ko
kis tarh tabi'at koi bahlaae hamaari
· · ·
Anwar Shuoor
log saae dikhaai dete hain
phir bhi haae dikhaai dete hain
bolte kuchh nahin magar mazlum
tilmilaae dikhaai dete hain
· · ·
Anwar Shuoor
aasaaniyon ki raah khuli mushkilon ke baa'd
ghar lauTnaa nasib huaa gardishon ke baa'd
aise hi naa-umid nahin ho gae hain ham
aayaa hai ye maqaam bahut koshishon ke baa'd
· · ·
Anwar Shuoor
tum guzre the kis jaldi se
dekh rahaa thaa main khiDki se
main imaan nahin bechungaa
roTi khaa lungaa chaTni se
· · ·







