Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Shahzad Ahmad
raat ki nindein to pahle hi uDaa kar le gayaa
rah gai thi aarzu so vo bhi aa kar le gayaa
din nikalte hi vo khvaabon ke jazire kyaa hue
subh kaa suraj miri aankhein churaa kar le gayaa
· · ·
Shahzad Ahmad
dil bahut masruf thaa kal aaj be-kaaron mein hai
saat pardon mein jo rahtaa thaa vo baazaaron mein hai
khaak ke putle falak ki sarhadon ko chhu chuke
aur jise insaan kahte hain abhi ghaaron mein hai
· · ·
Shahzad Ahmad
sukun kuchh to milaa dil kaa maajraa likh kar
lifaafa phaaD diyaa phir tiraa pata likh kar
samajh mein ye nahin aataa khitaab kaise karun
huruf kaaT diye main ne baar-haa likh kar
· · ·
Shahzad Ahmad
khile jo phuul to munh chhup gayaa sitaaron kaa
misaal-e-abr chalaa kaarvaan bahaaron kaa
na mujh se puchh shab-e-hijr dil pe kyaa guzri
ye dekh haal hai kyaa mere gham-gusaaron kaa
· · ·
Shahzad Ahmad
chamak chamak ke sitaaro mujhe fareb na do
tum apni raat guzaaro mujhe fareb na do
tilism TuuT gayaa hai tumhaari ulfat kaa
miri havas ko pukaaro mujhe fareb na do
· · ·
Shahzad Ahmad
dil kaa buraa nahin magar shakhs ajiib Dhab kaa hai
mujh se hai khaas dushmani vaise to yaar sab kaa hai
duriyon ne miTaa diye jo bhi the qurbaton ke ranj
ab miri baat baat mein rang tiri talab kaa hai
· · ·
Shahzad Ahmad
is bhare shahr mein aaraam main kaise paaun
jaagte chikhte rangon ko kahaan le jaaun
pairahan chust havaa sust khaDi divaarein
use chaahun use rokun ki judaa ho jaaun
· · ·
Shahzad Ahmad
tujh pe jaan dene ko tayyaar koi to hogaa
zindagi teraa talabgaar koi to hogaa
takhta-e-daar pe chaahe jise laTkaa diije
itne logon mein gunahgaar koi to hogaa
· · ·
Shahzad Ahmad
aaj tak us ki mohabbat kaa nasha taari hai
phuul baaqi nahin khushbu kaa safar jaari hai
sehr lagtaa hai pasine mein nahaayaa huaa jism
ye 'ajab niind mein Duubi hui bedaari hai
· · ·
Shahzad Ahmad
hijr ki raat miri jaan pe bani ho jaise
dil mein ik yaad ki neze ki ani ho jaise
nahin maalum ki main kaun huun manzil hai kahaan
chaadar-e-khaak har ik samt tani ho jaise
· · ·
Shahzad Ahmad
tiri talaash to kyaa teri aas bhi na rahe
ajab nahin ki kisi din ye pyaas bhi na rahe
har ek samt khalaa hi khalaa nazar aaein
kharaaba-e-dil-e-viraan mein yaas bhi na rahe
· · ·
Shahzad Ahmad
kitni be-nur thi din bhar nazar-e-parvaana
raat aai to hui hai sahar-e-parvaana
shama jalte hi yahaan hashr kaa manzar hogaa
phir koi paa na sakegaa khabar-e-parvaana
· · ·
Shahzad Ahmad
ishq vahshi hai jahaan dekhegaa
husn ko siine se lipTaa legaa
gham agar saath na teraa degaa
phir tujhe koi nahin puchhegaa
· · ·
Shahzad Ahmad
jaane kis samt se havaa aai
baar baar apni hi sadaa aai
husn bhi hech saamne jis ke
mere hisse mein vo balaa aai
· · ·
Shahzad Ahmad
ye soch kar ki teri jabin par na bal paDe
bas duur hi se dekh liyaa aur chal paDe
dil mein phir ik kasak si uThi muddaton ke baad
ik umr ke ruke hue aansu nikal paDe
· · ·
Shahzad Ahmad
main jo rotaa huun to kahte ho ki aisaa na karo
tum agar meri jagah ho to bhalaa kyaa na karo
ab to ai dil havas-e-saaghar-o-minaa na karo
chhoD bhi do ye taqaazaa ye taqaazaa na karo
· · ·
Shahzad Ahmad
fasl-e-gul khaak hui jab to sadaa di tu ne
ai gul-e-taaza bahut der lagaa di tu ne
teri khushbu se mire dil mein khile dard ke phuul
so gai thi jo balaa phir se jagaa di tu ne
· · ·
Shahzad Ahmad
ye na ho vo bhulne vaalaa bhulaa denaa paDe
aur phir ye raaz us ko bhi bataa denaa paDe
ai dil-e-hangaama-khu takraar itni bhi na kar
tang aa kar tujh ko mahfil se uThaa denaa paDe
· · ·
Shahzad Ahmad
ham logon ko apne dil ke raaz bataate rahte hain
log hamaari baatein sun kar hanste hansaate rahte hain
jin lamhon ne luuT liyaa thaa mere dil ki duniyaa ko
aksar meri mahfil-e-gham mein aate jaate rahte hain
· · ·
Shahzad Ahmad
dil o nazar pe tire baad kyaa nahin guzraa
tujhe gumaan ki koi haadsa nahin guzraa
vahaan vahaan bhi mujhe le gayaa hai shauq-e-safar
kabhi jahaan se koi qaafila nahin guzraa
· · ·
Shahzad Ahmad
muntazir dasht-e-dil-o-jaan hai ki aahu aae
saare manzar hi badal jaaein agar tu aae
niind aae to achaanak tiri aahaT sun luun
jaag uTThun to badan se tiri khushbu aae
· · ·
Shahzad Ahmad
vo jaa chukaa hai to kyuun be-qaraar itne ho
mohabbat us se karo jis ko bhuul sakte ho
nishaan-e-manzil-e-jaan gar nahin milaa na sahi
chalo safar to kiyaa hai kahin to pahunche ho
· · ·
Shahzad Ahmad
ab na vo shor na vo shor machaane vaale
khaak se baiTh gae khaak uDaane vaale
ye alag baat mayassar lab-e-goyaa na huaa
dil mein vo dhuum ki sunte hain zamaane vaale
· · ·
Shahzad Ahmad
kaise guzar sakeinge zamaane bahaar ke
chup ho gayaa huun mausam-e-gul ko pukaar ke
yaa meri zindagi mein ujaalaa kare koi
yaa pheink de kahin ye sitaare utaar ke
· · ·







