Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anjum Usman
saaat-e-zer-o-zabar ke darmiyaan koi to hai
sun pas-e-idraak pesh-e-aasmaan koi to hai
main khud apne baab mein rahti huun mahv-e-justuju
ham-rikaab-e-vahshat-e-reg-e-ravaan koi to hai
· · ·
Anjum Usman
umr bhar is ko rahi ik sargiraani aur bas
vo to kahiye thi hamaari sakht-jaani aur bas
ek musht-e-khaak bil-aakhir jo khaakistar hui
so maaal-e-zindagi hai raaegaani aur bas
· · ·
Anjum Usman
utraa jo iltifaat kaa dariyaa na thaa kabhi
dil is qadar bhi hijr kaa maaraa na thaa kabhi
sarmaaya-e-hayaat the fardaa ke khvaab so
likkhaa bisaat-e-jaan pe khasaaraa na thaa kabhi
· · ·
Anjum Usman
suraj se ras bhanvar se tu saahil kashid kar
sahraa ke zarre zarre se mahmil kashid kar
in raaegaaniyon se kinaaraa na kar qubul
laa-haasili ke karb se haasil kashid kar
· · ·
Anjum Usman
main tujh par munkashif ho jaaun ye mujh par garaan hai
khasaara saa khasaara taa-ba-imkaan sab ziyaan hai
ye chashm-e-nam ki khunaaba-fishaani tham rahe to
khule ashkon ki tughyaani kaa sar-chashma kahaan hai
· · ·
Anjum Usman
ek malbus-e-darida hai miri vahshat-e-hijr
hui jaati hai hijaabon mein ayaan qaamat-e-hijr
ik tahayyur saa tahayyur hai tilism-gaah-e-talab
hai fusun-khez kahin us se sivaa ishrat-e-hijr
· · ·
Anjum Usman
jin ko tauqir-e-rah-o-rasm-e-vafaa yaad nahin
kyaa gila un se karein jin ko khudaa yaad nahin
jaane aae bhi the khushbu ke sandese mujh ko
jaane guzri thi dabe paanv sabaa yaad nahin
· · ·
Anjum Usman
pas-e-yaqin kahin ham bhi tire gumaan mein hain
tiraa nishaan hain ye taare jo aasmaan mein hain
haram-saraa thaa tiraa dil so chhoD aae use
vagarna kahne ko ab bhi usi makaan mein hain
· · ·
Anjum Usman
har pal tiraa khayaal surud-e-khayaal hai
so chashm-e-tar bhi aaina-e-aks-e-yaar hai
us hila-ju ki yaad bhi ab raftani hui
ik hijr rah gayaa hai so vo be-shumaar hai
· · ·
Anjum Usman
azaab raaton khizaan-ruton ki kahaani likkhun
main teri furqat ki saaaton ko zabaani likkhun
bas ek paakiza rabt hai ruh-o-jaan kaa tujh se
to phir main is saare vaaqiye ko gumaani likkhun
· · ·
Anjum Usman
jo chand sikkon ki chaah mein kiin vo hijratein kyaa shumaar karnaa
safar mein apnon se duriyon ki aziyyatein kyaa shumaar karnaa
jo mere dil ki ujaaD basti mein ek mausam Thahar gayaa hai
balaa se aae bahaar yaa phir khizaan rutein kyaa shumaar karnaa
· · ·







