Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anwar Anjum
meri har soch mein poshida kahaani us ki
sach bataaun to huun khud main bhi nishaani us ki
us ko israar ki nazdik na aauun us ke
mujh pe kuchh aisaa fusun ek na maani us ki
· · ·
Anwar Anjum
qarib aa ki khazaana huun laal-o-gauhar kaa
hazaar ret sahi ret huun samundar kaa
khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa
bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa
· · ·
Anwar Anjum
shikaayaton mein bhi us ko ajab mazaa aayaa
ki bad-gumaan thaa magar duur tak chalaa aayaa
qadam qadam pe fasilein harif thiin lekin
main sakht-jaan thaa un ko phalaangtaa aayaa
· · ·
Anwar Anjum
tu chaand hai to chaand-nagar mujh se chhin le
main kyaa karungaa khaak-basar mujh se chhin le
ab teri be-rukhi kaa bhi aataa hai yuun khayaal
jaise koi mataa-e-digar mujh se chhin le
· · ·
Anwar Anjum
kyaa ravish rakkhi hai phir aap ne auron ke liye
gar yahi tarz-e-mulaaqaat hai apnon ke liye
rasm-e-ulfat bhi agar aap ke aadaab mein hai
to uThaa rakkhi hai vo kaun se vaqton ke liye
· · ·
Anwar Anjum
jahaan-bhar se na yuun meraa tazkira kiije
main dil kaa raaz huun dil se miraa gila kiije
ye kyaa yaqin ki samajh legaa har ishaara vo
labon kaa farz nigaahon se kyuun adaa kiije
· · ·
Anwar Anjum
dhuup ho gae saae jal gae shajar jaise
jam gai hai dharti par ab ke dopahar jaise
ziist ke kharaabe mein ik siyaah ghar dil kaa
aur dil mein yaad us ki raushni kaa dar jaise
· · ·
Anwar Anjum
chup baiThaa main kyaa kyaa sochtaa rahtaa huun
aakhir main kyuun itnaa tanhaa tanhaa huun
pahron jin ki jhiil mein khoyaa rahtaa huun
un aankhon ki yaad mein Duubaa rahtaa huun
· · ·
Anwar Anjum
chaand taare jise har shab dekhein
ham bhi us shokh ko yaarab dekhein
yuun milein un se ki apnaa chehra
vo bhi hairaan huun kal jab dekhein
· · ·
Anwar Anjum
huaa kare agar us ko koi gila hogaa
zabaan khuli hai to phir kuchh to faisla hogaa
kabhi kabhi to ye dil mein savaal uThtaa hai
ki is judaai mein kyaa us ne paa liyaa hogaa
· · ·
Anwar Anjum
ye haath apnaa mire haath mein thamaa diije
thakaa huaa huun zaraa dil ko hausla diije
bas ab mile hain to kiije na aas-paas kaa khauf
jo sang-e-raah mile paanv se haTaa diije
· · ·
Anwar Anjum
ye narm haath mare haath mein thamaa diije
thakaa huaa huun zaraa dil ko hausla diije
bas ab mile hain to kiije na aas-paas kaa khauf
jo sang-e-raah mile paanv se haTaa diije
· · ·
Anwar Anjum
mahv-e-zaari to rakhaa dil ki lagi ne shab-bhar
lekin aansu bhi jo ponchhe to usi ne shab-bhar
ye mire dil ki chamak hai ki tiri aankh kaa nuur
zehn mein naachte rahte hain nagine shab-bhar
· · ·
Anwar Anjum
chaand taare jise har shab dekhein
ham bhi us shokh ko yaarab dekhein
yuun milein un se ki apnaa chehra
vo bhi hairaan hon, kal jab dekhein
· · ·
Anwar Anjum
vo bevafaa koi dam aur jo Thahar jaataa
rah-e-talab mein ye dil yuun na dar-ba-dar jaataa
tiri gali mein fasaane bikherne ke liye
ye laazmi thaa ki ham saa hi be-khatar jaataa
· · ·
Anwar Anjum
khilaa hai phuul bahut roz mein muqaddar kaa
bas ab na band ho darvaaza tere mandar kaa
tamaam shahr hai hangaama-e-nashaat mein gum
magar ye karb ye sannaaTaa mere andar kaa
· · ·
Anwar Anjum
chale hi jaaegi kyaa dard ki kaTaari bhalaa
rahegi saath kahaan tak ye aah-o-zaari bhalaa
jahaan khulus ki azmat samajh sake na koi
is anjuman mein ho kyaa qadr-e-jaan-nisaari bhalaa
· · ·
Anwar Anjum
kab lazzaton ne zehn kaa pichhaa nahin kiyaa
ye meraa hausla thaa ki lab vaa nahin kiyaa
tajdid-e-irtibaat bhi mumkin thi baa'd mein
main ne hi is ravish ko gavaaraa nahin kiyaa
· · ·
Anwar Anjum
vo but binaa nigaah jamaae khaDaa rahaa
main aankh band kar ke use pujtaa rahaa
khush-fahmiyon kaa aaj bharam khul gayaa to kyaa
ik moD par to us kaa miraa saamnaa rahaa
· · ·
Anwar Anjum
kab lazzaton ne zehn kaa pichhaa nahin kiyaa
ye meraa hausla thaa ki lab vaa nahin kiyaa
vo kam-nigaah thaa magar us se churaa ke aankh
main ne bhi apne saath kuchh achchhaa nahin kiyaa
· · ·
Anwar Anjum
jab se paDi hai un se mulaaqaat ki tarah
aati nahin giraft mein haalaat ki tarah
aayaa jo likhte likhte tire qurb kaa khayaal
khat bhi ulajh gayaa hai miri baat ki tarah
· · ·
Anwar Anjum
koi sadaa na duur talak naqsh-e-paa koi
vo moD hai ki miltaa nahin raastaa koi
haan dil ki dhaDkanon se sadaa chhin lo magar
chup-chaap hi jo aa ke yahaan bas gayaa koi
· · ·







