SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAyaz Rasool Nazki(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

andheri raat nauhe gaa rahi hai

khamoshi shahr bhar mein chhaa rahi hai

zamin par khuun itnaa bah gayaa hai

havaaon mein bhi khushbu aa rahi hai

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

ishq mein koi hamsari kartaa

ham ko ilzaam se bari kartaa

ek botal mein vo samaa jaati

us ko jaadu se main pari kartaa

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

hijr thaa yaa visaal kis kaa thaa

khvaab thaa yaa khayaal kis kaa thaa

saamne vo hamaare baiThe the

dil mein un ke khayaal kis kaa thaa

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

miri maan ne mujh ko janam jab diyaa thaa

main laashon ke ambaar par jaa giraa thaa

jahaan par tumhaari ridaa chhin gai thi

vahin par hamaaraa bhi baazu kaTaa thaa

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

aas mein kaaTe biis baras aur yaas mein kaaTe biis baras

kuchh na puchho ham ne kaise kaaTe hain chaalis baras

jis ne ham ko ishq sikhaayaa jis se samjhe saare gur

us ki umr thi sola satrah apni thi ikkis baras

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

siipi saada munh jab khole kirnon ki tab baarish ho

moti ki do maalaaein aur un par chamke gangaa jal

kaali laT hai naagin jaisi kaan ki lohe us kaa phan

us ki nazron mein dhokaa hai us ki baaton mein hai chhal

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

chaDhtaa dariyaa utar gayaa main bhi

sar se paani guzar gayaa main bhi

raat ki to fasil unchi thi

paar kaise utar gayaa main bhi

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

jahaan ham tumhaari panaahon mein the

vahaan sabz saae bhi raahon mein the

miyaan dhuul aankhon mein jhonki gai

kai log meri nigaahon mein the

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

an-ginat peD the peDon pe jhukaa thaa baadal

mere bachpan mein yahaan par thaa ghanaa saa jangal

god mein maan ki paDaa rahtaa kahaani suntaa

koi totaa kisi mainaa ke lagaataa kaajal

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

yahaan to shahr se divaar-o-dar hi ghaaeb hain

chhaton ke baad makaanon ko le uDi hai havaa

tamaam shahr thaa saDkon pe aaj raat gae

sunaa hai phir se javaanon ko le uDi hai havaa

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

shab-e-firaaq mein mire vo baal-o-par katar gayaa

parind us ki yaad kaa nai uDaan bhar gayaa

yahaan pe khuun bah gayaa vahaan pe laash gir paDi

na jaane kaun shakhs thaa safar tamaam kar gayaa

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

TukDe TukDe jab baT jaaun shaam gae

din kaa saaraa qarz chukaaun shaam gae

ghar se chalte main ne aksar sochaa hai

shaayad hi main luuT ke aauun shaam gae

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

bhikshu se khvaahishaat kaa ban maangti rahi

kashkol-e-tan mein 'umr tapan maangti rahi

sargoshiyaan suni thiin dar-o-baam ne yahaan

khaali thi chaarpaai badan maangti rahi

· · ·

GhazalAyaz Rasool Nazki

Ayaz Rasool Nazki

chhatein uDi hain daraaDein paDein makaanon mein

sitam ki ghaas ugi hai nigaar khaanon mein

lahu lahu thaa badan us kaa haath TuuTe the

hinaa hinaa vo pukaari thi aastaanon mein

· · ·